sukoon e dil.....sana afroz

by sana Afroz on December 05, 2014, 11:22:05 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1025 times)
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
Reply with quote
Sukoon e dil,
yehi wo shai hai.
jise dhoondhne main nikla tha !
jab se rakhkha ha,
mere paaon ne,
Zameen pe qadam.
ek safar mein hoon musalsal,
tab se main dam ba dam.
kis se poochein Huh?
kis se kahein Huh?
wo jo mujh se bichar gaya,
wo mera sukoon e dil kahan gaya ?
nutfa jism bana hai jab se,
jism mein rooh pari hai jab se.
teri hamd o sana mein tha mashgool,
sirf jab rooh thi ye jism na tha,
jism k saath NAFS bhi aaya,
saari dunia tabaah karne ko !!
mere dil ko tabaah karne ko !!
muztarib dil mera hua tab se,
nafs mera jawaan hua jabse !!
tab se sargarm hoon ,
talaash mein hoon !!
waqt k har qadam ki aahat par,
chaunk uthta hai dil k shayed ho ??
ab meri justaju ka safar khatm,,
tha abad se rahega azal tak !!
ye safar ek safar e musalsal hai,,,

kyunk mujhey pata hai....
dilon ka sukoon ALLAH K ZIKR mein hai...
'sana' duniya ki fikr mein nahin !!!!!!!!!
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: December 06, 2014, 10:14:54 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: December 06, 2014, 01:50:55 PM »
Reply with quote
 icon_flower icon_flower
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #3 on: December 07, 2014, 08:26:45 AM »
Reply with quote
Tasawuf ke aasar liye apki is nazm ki kya taareef karen...bus yun samjh len ...tareekat aur marafat ki dahliz phalang kar jub insaan per wajd ka alam taari hota hai to wo duniya se kanni kaat kar sahera o chateel maidaan ka ruq karta hai ...duniya se door jub khaleeq e kainaat ko paa lene ke safar ka aghaz karta hai to us per hooo ka alam taari ho jaata hai aur zubaan ko ball maarke nara e haq ko buland karta hai to uske andar se jo ghoon ghaan ki awaazen aati hain tu uski asar afreeni se arsh ki maqlooq aap apna uski jaanib khenchi chali aati hai aur uska qalandar ki hisaar bandi karne lagti hai....aapki nazm me jo sufiyana madak hai wo bila shuba kissi dad ki mahutaj nahi balke salame aqeedat ki mustahaq hai zindabad sana sahibah ...
Logged
sana Afroz
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 24
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 days, 8 hours and 22 minutes.
Posts: 173
Member Since: Nov 2014


View Profile
«Reply #4 on: December 07, 2014, 01:14:37 PM »
Reply with quote
Tasawuf ke aasar liye apki is nazm ki kya taareef karen...bus yun samjh len ...tareekat aur marafat ki dahliz phalang kar jub insaan per wajd ka alam taari hota hai to wo duniya se kanni kaat kar sahera o chateel maidaan ka ruq karta hai ...duniya se door jub khaleeq e kainaat ko paa lene ke safar ka aghaz karta hai to us per hooo ka alam taari ho jaata hai aur zubaan ko ball maarke nara e haq ko buland karta hai to uske andar se jo ghoon ghaan ki awaazen aati hain tu uski asar afreeni se arsh ki maqlooq aap apna uski jaanib khenchi chali aati hai aur uska qalandar ki hisaar bandi karne lagti hai....aapki nazm me jo sufiyana madak hai wo bila shuba kissi dad ki mahutaj nahi balke salame aqeedat ki mustahaq hai zindabad sana sahibah ...

shukriyaaaa!!!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 08:24:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer