VERSATILE POET - GULZAAR SAAB...

by diya786 on March 24, 2009, 10:10:50 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3445 times)
diya786
Guest
Reply with quote
Friends I am starting a thread for a legendary poet Gulzaar saab hope you all will like it
=======================================================================================
Gulzaar saab, whenever his name comes to our mind we begin to float on some soothing lyrics with very deep meanings and great impact on our minds
Gulzaar saab was born as Sampoorn Singh, on August 18,1936.His birthplace was the town of Deena,which is now in Pakistaan.
======================================================================================

Logged
diya786
Guest
«Reply #1 on: March 24, 2009, 10:22:13 AM »
Reply with quote
Aankhon mein jal raha hai kyun bujhta nahin dhuan
Uththa to Hia ghata sa barasta nahin dhuan


Chulha nahin jalaye ya basti hi jal gayi
kuch roz ho gaye hai ab to uthta nahin dhuan

Aankhon se pochne se laga aanch ka pata
Yun chehra pher lene se chupta nahin dhuan

Aankhon se aansuon ke Marasim puraane hain
Mehmaan yeh ghar mein aaye to chubhta nahin dhuan...

Logged
diya786
Guest
«Reply #2 on: March 24, 2009, 10:29:40 AM »
Reply with quote
Qadam usi mod par jame hain

Nazar samete hue khada hoon

Junoon yeh majboor kar raha hai ki palat ke dekhun

Khudhi yeh kehti Hia mod mud jaana

Agarche ehsaas keh raha hai

Khule dareeche ke peeche do aankhein jhaankti hain

Abhi mere intezaar mein woh bhi jaagti hain

Kahin to uske Gosha-e-dil mein dard hoga

use yeh zid hai ki main use pukarun

mujhe taqaaza hai woh bula le

Qadam usi mod par jame hain

Nazar samete hue khada hoon...




Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: March 24, 2009, 10:37:05 AM »
Reply with quote
Roz saahil pe khade hokar yehi dekha hai
Shaam ka pighla hua surkh sunehri rogan
Roz matiyaale se paani mein yeh ghul jaata hai
Roz saahil pe khade hokar yehi dekha hai
Mein jo pighali hui rangeen shafaq ka rogan
Pooch luun haaton pe
Aur chupke se ek baar kabhi
Tere gulnaar se rukhsaaron pe chap se mal doon
Shaam ka pighla hua surk sunehri rogan...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: March 24, 2009, 10:40:14 AM »
Reply with quote
Nice sharing DIya.. Yea Gulzar sir is Superb!
Logged
diya786
Guest
«Reply #5 on: March 26, 2009, 10:01:18 AM »
Reply with quote
shukriya sophi dear
Logged
diya786
Guest
«Reply #6 on: March 26, 2009, 10:03:46 AM »
Reply with quote
Aadatan tume kar diye waade
aadatan humne aitbaar kiya

Teri raahon mein baarha ruk kar
humne apna hi intezaar kiya

An na maangenge zindagi ya Rab
yeh gunaah humne baar baar kiya
Logged
diya786
Guest
«Reply #7 on: March 26, 2009, 10:19:51 AM »
Reply with quote
Ek parwaaz dikhayi di hai
teri aawaaz sunaai di hai

Jiski aankhon mein kaati thi sadiyaan
usne sadiyon ki judaai di hai

Sirf ek safaah palat kar usne
beeti baaton ki safaai di hai

Phir wahin laut ke jaana hoga
yaar ne kaisi rihaai di hai

Aag ne kya kya jalaya hai shav par
kitni khushrang dikhayi di hai...



Logged
diya786
Guest
«Reply #8 on: April 04, 2009, 11:16:28 AM »
Reply with quote
Raat bhar sard hawa chalti rahi
Raat bhar humne alaav taapa
Maine maazi se kai khushk si shaakein kaati'in
Tumne bhi guzre hue lamhon ke patte tode
Maine jebon se nikaali'in sabhi sukhi nazmein
Tumne bhi haathon se murjhaye hue khat khole
Apni in aankhon se maine kai maanzee tode
Aur haathon se kai baasi lakeerein phenki
Tumne bhi jo palkon se nami sookh gayi thi so gira di
Raat bhar phonkon se har lau ko jalaye rakkha
Raar bhar bujhte hue rishte ko taapa humne



Logged
diya786
Guest
«Reply #9 on: April 04, 2009, 11:20:56 AM »
Reply with quote
Saans lena bhi kaise aadat hai
Jiye jaana bhi kaisi ravaayat hai
Koi aahat nahin badan mein kahin
Koi saaya na hin hai aankhon mein
Paanv behis hain, chalte jaate hain
Ek safar hai jo bahaata rehta hai
Kitne barson se, kitni sadiyon se
jiye jaate hain, jiye jaate hain  hum
Aadatein bhi ajib hoti hain...

Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: April 04, 2009, 11:26:38 AM »
Reply with quote
Din kuch aise guzaarta hai koi
Jaise ehsaan utaarta hai koi
Aaina dekh ke tasalli hui
Humko is ghar mein jaanta hai koi
Pak gaya hai shazar mein phal shayad
phir se pathar uchhalaata hai koi
Phir nazr mein lahoo ki chiintein hain
Tum ko shayad mughalta hai koi
Der se gunjte hain sannate
Jaise humko pukaarta hai koi...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #11 on: April 04, 2009, 04:03:37 PM »
Reply with quote
Wonderful Diya...

really Gulzaar sahab is amazing.. Glad to read all of them.

Thanks for sharing it here... Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: April 04, 2009, 04:38:10 PM »
Reply with quote
Ek parwaaz dikhayi di hai
teri aawaaz sunaai di hai

Jiski aankhon mein kaati thi sadiyaan
usne sadiyon ki judaai di hai

Sirf ek safaah palat kar usne
beeti baaton ki safaai di hai

Phir wahin laut ke jaana hoga
yaar ne kaisi rihaai di hai

Aag ne kya kya jalaya hai shav par
kitni khushrang dikhayi di hai...


Wow diya sab ke sab bahut khoob... Gulzar sb ka gazal k bare mein kya kehna.
Yeh wala mujhe bahut accha laga padkar. Thanks for sharing.. Keep sharing Thumbs UP
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: April 05, 2009, 09:21:56 AM »
Reply with quote
Gulzar Saheb is really a very very good poet...Nice sharing Diya jee
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #14 on: April 06, 2009, 05:42:59 AM »
Reply with quote
Waah...Dear La-Jawaab Thread Open Kiya Hai.
Waqaee Badhiya Collection.
Chalo Isi Bahaane Gulzaar Sa'b ki Nazme Taraane Padhne Ko Milenge,Insha allah.

 
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 03:08:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.201 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer