Ye kya ke aap kareN Sirf apni chaah ki baat.

by Ghulam Haider on June 18, 2014, 12:19:46 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 859 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Mera tazah kalaam aHbaab ki khidmat meN...

Ye kya ke aap kareN Sirf apni chaah ki baat.
KreN jo aur to bas aap se nibaah ki baat.

Mile jo aap se koie to munkasir ho kar,
ZubaaN pe aap ki rehti hai apni jaah ki baat.

Khuda ko apne takbbur meN bhool jaate haiN,
NaZar meN aap ki kuchh bhi nahiN gunaah ki baat.

WahaN pe kaise koie apne Haq ki baat kare,
JahaN samajhte hoN sab aap ki nigaah ki baat.

Chalan ye hai ke chaleN Sirf aise log ke jo,
Banaa ke aap se chlte haiN rasm o raah ki baat.

Bahaaduri ka koie aap ki jawaab nahiN.
Akele aap hi karte haiN ek sipaah ki baat.

Lo baargaah meN Allaah k,i amaaN Haider,
Wo khoob sunta hai shaiTaan se panaah ki baat
Logged
sbechain
Guest
«Reply #1 on: June 18, 2014, 03:23:28 AM »

her sher lajawaab mujhe her sher pe comments karne ka mann kar raha tha per chunke main aap ke mizaaj se wauaqif nahin hoon kahin aap bura na maan jaaye.n isliye nahin kiya meri taraf se rau icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 2 hours and 38 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006

View Profile
«Reply #2 on: June 18, 2014, 04:02:30 AM »
Reply with quote

Ye kya ke aap kareN Sirf apni chaah ki baat.
KreN jo aur to bas aap se nibaah ki baat.

Mile jo aap se koie to munkasir ho kar,
ZubaaN pe aap ki rehti hai apni jaah ki baat.

Khuda ko apne takbbur meN bhool jaate haiN,
NaZar meN aap ki kuchh bhi nahiN gunaah ki baat.

WahaN pe kaise koie apne Haq ki baat kare,
JahaN samajhte hoN sab aap ki nigaah ki baat.

Bahut Khub Haider Sahab Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 
Dili Dad Ke Saath Rau Kabul Farmaayen

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012

View Profile
«Reply #3 on: June 18, 2014, 04:45:31 AM »
Reply with quote
WaaaaaaaH kyaa baat hai ,bahut umdah peshkash, dheron daad.
Surindar.N
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: June 18, 2014, 05:06:59 AM »
Reply with quote

her sher lajawaab mujhe her sher pe comments karne ka mann kar raha tha per chunke main aap ke mizaaj se wauaqif nahin hoon kahin aap bura na maan jaaye.n isliye nahin kiya meri taraf se rau icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!

Sheba ji ye aap ki moHabbat hai ke na cheez se kalaam ko pasand kiya. Apne khayaalaat ka az raah e iHtiyaaT, iZhaar bhi farmaya. Mazeed ye ke rau se bhi Haqeer ko nawaaza. Aap ka tashakkur aur adaa karne ke liye alfaaZ na kaafi haiN. MaiN nahiN jaanta ke yahaN ka ma Haul kaisa hai. YahaN kalaam par kis TarH iZhaar e khayaal kiya jata hai, lekin mere liye ye baRi khushnaseebi ki baat hogi ke koie mere kalaam par khul ke iZhaar e khayaal farmaye, taaki us ke maHaasin aur o'yoob sab Zaahir aur waaZ'eH ho jayeN aur koie ishkaal ki Soorat baaqi na rahe. Is se mujhe aur bhi seekhne ko milega. Agar aap ki nigaah meN koie bhi qaabil e ishkaal baat ho to us ki Taraf mujhe Zaroot mutavajjeh farmaayeN. Mujhe be Had khushi hogi
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: June 18, 2014, 05:22:49 AM »
Reply with quote
Ye kya ke aap kareN Sirf apni chaah ki baat.
KreN jo aur to bas aap se nibaah ki baat.

Mile jo aap se koie to munkasir ho kar,
ZubaaN pe aap ki rehti hai apni jaah ki baat.

Khuda ko apne takbbur meN bhool jaate haiN,
NaZar meN aap ki kuchh bhi nahiN gunaah ki baat.

WahaN pe kaise koie apne Haq ki baat kare,
JahaN samajhte hoN sab aap ki nigaah ki baat.

Bahut Khub Haider Sahab Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 
Dili Dad Ke Saath Rau Kabul Farmaayen

Shad o Aabaad Rahiye

Shihab
MoHtaram shihab tasleemaat!
Mujhe khushi hai ke aap ko kalaam pasand aaya. Aap ne daad o taHseen ke saath 2 rau se bhi himmat afzaayi farmayi. Apni nek dua'aoN se bhi nawaza. Ye Haqeer par aap ka intihaayi karam hai. Tah e dil se aap ka shukr guzaar hooN .
Allah aap ko seHhat o salaamati ke saath lambi umr aTaa farmaye aur sadaa khush rakhe..
MukhliS : Haider
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #6 on: June 18, 2014, 05:33:40 AM »
Reply with quote
WaaaaaaaH kyaa baat hai ,bahut umdah peshkash, dheron daad.
Surindar.N
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Surindar.N ji aap ka intihaayi mamnoon hooN ke is Taraf naZar e karam farmaayi.
Apne jazbaat se aagaah kiya. Daad e taHseen se nawaza. Umeed hai ke yuoN hi himmat afzaayi se kaam lete raheNge. MaiN bhi yehi koshish karta hooN ki kalaam aap ke mizaaj ke muTaabiq ho. Kisi TarH bhi wo baat ho jaaye jis se mujhe  aap ki dili daad aur duaayeN mil jaayeN. Ba har Haal maiN aap ka shukr guzaar hooN khush rahiye salaamat rahiye.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #7 on: June 18, 2014, 08:00:59 AM »
Reply with quote
ek rau ke saath dher saaree daad
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011

View Profile
«Reply #8 on: June 18, 2014, 03:58:12 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

bahut khub kalaam haidarji
Logged
sbechain
Guest
«Reply #9 on: June 18, 2014, 08:14:43 PM »
Reply with quote
Sheba ji ye aap ki moHabbat hai ke na cheez se kalaam ko pasand kiya. Apne khayaalaat ka az raah e iHtiyaaT, iZhaar bhi farmaya. Mazeed ye ke rau se bhi Haqeer ko nawaaza. Aap ka tashakkur aur adaa karne ke liye alfaaZ na kaafi haiN. MaiN nahiN jaanta ke yahaN ka ma Haul kaisa hai. YahaN kalaam par kis TarH iZhaar e khayaal kiya jata hai, lekin mere liye ye baRi khushnaseebi ki baat hogi ke koie mere kalaam par khul ke iZhaar e khayaal farmaye, taaki us ke maHaasin aur o'yoob sab Zaahir aur waaZ'eH ho jayeN aur koie ishkaal ki Soorat baaqi na rahe. Is se mujhe aur bhi seekhne ko milega. Agar aap ki nigaah meN koie bhi qaabil e ishkaal baat ho to us ki Taraf mujhe Zaroot mutavajjeh farmaayeN. Mujhe be Had khushi hogi

haidar sahab

salaam amsnoo.n

Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard main kisi ghazal pe tanqeedi nazrariya ki baat nahin kar rahi thi main to ghazal ki ABC......... bhi nahin jaanti hoon main mazaahiya comments ki baat kar rahi thi jo kalaam mujhe khasa pasand aataa hai uske her sher pe main mazahiya comments karti hoon mujhe mazaa ataa hai. main is qabil qatai nahin hoon ki kisi shaayr pe comments karoon ya literature points of view se comments karoon!
Logged
sanchit
Guest
«Reply #10 on: June 23, 2014, 11:30:10 AM »
Reply with quote
Waah bahut khoob...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:07:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer