Hamain jee seyn pyaarou hai bhaiyaa hamaarou!!

by abdbundeli on August 05, 2009, 10:17:58 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 751 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
                
Aaj Rakshaabandhan kaa param paawan parw hai! Mein wishwa kee samast bahinoun key ujjwal bhawishhya kee kaamnaa kartaa huaa, Param Pitaa Parmeshwar sey prarthnaa kartaa huun, ki wey krupaa kar, un sabhee key pyaarey-dulaarey bhaaiyon ko swasth-saanand rakheyn, taa ki, un sabhee key bhayee apnee-apnee bahinoun key sukh-suhaag kee awirat rakshaa karney key yogya baney raheyn!
Is Shubh Awasar par BUNDELI mein eik geet prastut kar rahaa huun, kyoun  ki, Bhaarat Maan key is manoram aanchal mein, yah tyohaar atyant hi shrudhaa aiwam samarpan ki bhaawanaa key saath manaayaa jaataa hai!

Zamaaneyn seyn nyaarou hai bhaiyaa hamaarou!
Sabayi kou dulaarou hai bhaiyaa hamaarou!!

Ghaam na lag paaye hamain, karey aisou chhaanyarou!
Kaantey lag paayen na hamain, jhaarey raastaa!
Karrou khud khaaye; aur, kounrou khabaaye hamain;
Kabhoon akeyley karey naa, sakhi, naastaa!

Khud andyaarey mein rah, hamain rakhey ujiyaarey;
Man kou ujiyaarou hai, bhaiyaa hamaarou!

Kosan chal aaye; aur, jhuk raakhee bandhwaawe;
Kounauun tyohaar-teej ho: har aousar aaye!
Paanee barsey, bijuree tarhkey, aandhee jhaptey;
Chaahey jo ho jaaye, bhaiyaa dourhaa aaye!!

Balihaaree jaauun, lagaauun teekaa maathey pai;
Hamain jee seyn pyaarou hai bhaiyaa hamaarou!!

                   - Ram Prakash Garg 'Ramwatiya'
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Maaf kardena hamain by muneeb in Shayri for Dard -e- Judai
Kahaan milogey tum hamain? by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
Hamain garwa hai aap par! by abdbundeli in Shairy-E-Watan
Hamain yah ho gayaa hai kyaa? by abdbundeli in Shairi - E - Zindagi
Tum hamain hashra key din bhi yaad aaougey! by abdbundeli in Shayri-E-Dard
Roja
Guest
«Reply #1 on: August 05, 2009, 03:50:13 PM »
Reply with quote
Very Nice kavita  Applause Applause

Quote
Khud andyaarey mein rah, hamain rakhey ujiyaarey;
Man kou ujiyaarou hai, bhaiyaa hamaarou!

Wah wah uncle ji... Bahut khoob...

[/color][/b]
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: August 05, 2009, 04:56:31 PM »
Reply with quote
Lajawaab Peshaksh ABD ji... Bahoot bahoot Khoob Likha hai bahoot Khoob!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: August 05, 2009, 05:33:14 PM »
Reply with quote
Very Nice kavita  Applause Applause

Wah wah uncle ji... Bahut khoob...


Thanks Roja! I'm happy to note that you could follow even Bundeli dialect! You've simply surprised me!
             - abd bundeli
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: August 05, 2009, 05:37:34 PM »
Reply with quote
Lajawaab Peshaksh ABD ji... Bahoot bahoot Khoob Likha hai bahoot Khoob!
Thanks Sophi! I'm happy to note that you could follow even Bundeli dialect! You've also surprised me! Yea, after all we're Indians, quite capable of understanding each others heart!
                             - abd bundeli
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: August 05, 2009, 06:28:01 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Abd ji wonderful creation  icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: August 06, 2009, 05:12:25 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Abd ji wonderful creation  icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent
Thanks Madhu! I'm happy to note that you have followed the contents of this Bundeli poem!
                          - abd bundeli
Logged
cara
Guest
«Reply #7 on: August 06, 2009, 08:25:05 AM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI    ABD JI.......

ZAMAANE SEY JUDA HAI MERE BHAIYA,
HUM SAB KA DULAAR HAI MERE BHAIYA.

KABHI DUKH NA DEY HUMKO,HUM SEY KARE ITNA PYAAR,
KABHI KANTA NA LAG PAAYE, DIKHAYE AISAA RAASTA.
JAB KABHI KHUD KHAAHE,JARUR KHILAYE HUMKO BHI,
BIN HAMAARE KABHI NA KHAAHE AKELEY.

KHUD DUKHI RAHEKAR BHI,HAME HAR KHUSHI DETA HAI,
MAN KA BAHUT SAAF HAI MERA BHAIYA.

KAHAN BHI HO JARUR AAYE,AUR RAAKHEE BANDWAAYEN,
KITNI BHI TAKLEEF HO ,HAR TEJ-TOYHAAR MEIN,
JARUR AAYE MERA BHAIYA.

QURBAN JAAUN,USEY TILAK LAGAAUN,
HAMAARE JAAN SE BHI PYAARA HAI MERA BHAIYA.


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: August 06, 2009, 09:18:52 AM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI    ABD JI.......

ZAMAANE SEY JUDA HAI MERA BHAIYA,
HUM SAB KA DULAAR HAI MERA BHAIYA.

KABHI DUKH NA DEY HUMKO,HUM SEY KARE ITNA PYAAR,
KABHI KANTA NA LAG PAAYE, DIKHAYE AISAA RAASTA.
JAB KABHI KHUD KHAAHE,JARUR KHILAYE HUMKO BHI,
BIN HAMAARE KABHI NA KHAAHE AKELEY.

KHUD DUKHI RAHEKAR BHI,HAME HAR KHUSHI DETA HAI,
MAN KA BAHUT SAAF HAI MERA BHAIYA.

KAHAN BHI HO JARUR AAYE,AUR RAAKHEE BANDWAAYEN,
KITNI BHI TAKLEEF HO ,HAR TEJ-TOYHAAR MEIN,
JARUR AAYE MERA BHAIYA.

QURBAN JAAUN,USEY TILAK LAGAAUN,
HAMAARi JAAN SE BHI PYAARA HAI MERA BHAIYA.


Thanks cara!
Bahut achchha likhaa hai aapney!
I'm happy to note that you have only followed the contents of this Bundeli poem, but have also enjoyed it!
                          - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 03:39:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer