Maa-Baap

by Delicate_Doll on September 09, 2005, 07:46:02 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3724 times)
Delicate_Doll
Guest
Reply with quote


Nind apni bhula kar sulaya hamko,
Ansu apne gira kar hasaya hamko,
Dard kabhi na dena us khuda ki tasweer ko,
Khuda bhi kehta hai Maa-Baap jisko...!!!

nm
[/i][/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ladkiyon ke Baap... by NewYorker in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
ladki ka baap by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 8 9 »
Tere Baap Se Nahin Darta by Devdas_online in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3  All »
apun ka india, bole to mast hai baap 8) by myheart_ursonly in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
BAAP RE BAAP!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! by qalb in SMS , mobile & JOKES
pyarikudi1983
Guest
«Reply #1 on: September 09, 2005, 08:06:53 AM »
Reply with quote
:D Wah!!! kya sher maara hai Usual Smile very nice..... glasses2


Dil mein baasake raktein hain..
Ankhon mein chupake raktein hain...
Karz kabhi na chuka paayengen..Maa-baap ke pyaar ka hum
Bas hum unhe pyaar-aur saaman de...yehi umeed vo bhagwan raktein hain..........................!!!!! :D {kesi hai?} glasses2
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #2 on: September 09, 2005, 10:23:11 AM »
Reply with quote
Quote from: "pyarikudi1983"
:D Wah!!! kya sher maara hai Usual Smile very nice..... glasses2


Dil mein baasake raktein hain..
Ankhon mein chupake raktein hain...
Karz kabhi na chuka paayengen..Maa-baap ke pyaar ka hum
Bas hum unhe pyaar-aur saaman de...yehi umeed vo bhagwan raktein hain..........................!!!!! :D {kesi hai?} glasses2


adab arz hai pyari si kudi  :wink:
ye sher apne mob se maara hai  Usual Smile
aur iss ke liye apka shukriya ada karte hai Usual Smile

wah wah kya baath hai yaar bahut badiya hai  glasses2
nice one .......!!!
bahut mast likha dost  Usual Smile aise he likhte rehiye ga  Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: September 19, 2005, 09:46:30 PM »
Reply with quote
Good one salma and PK..
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #4 on: September 24, 2005, 01:40:30 PM »
Reply with quote
Thanks POOJA jee Usual Smile
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #5 on: October 17, 2005, 05:07:20 AM »
Reply with quote
bahoot sunder salma


always Harash
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: November 27, 2005, 04:03:51 PM »
Reply with quote
bahoot khub salama ji & PKji
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #7 on: February 19, 2006, 07:21:13 AM »
Reply with quote
fikra main bachchon ki kuch aise ghul jaati hai maa
nojawan hote hue bhi budhi nazar aati hai maa
rooh ke rishton ki yeh gehraiyan to dekhiye
chot lagti hai hamein aur chillati hai maa
kab zarurat ho mere bachchon ko itna sochker
jaagti rehti hain aankhein aur so jati hai maa
shukriya ho hi nahi sakta kabhi iska ada
marte marte bhi dua jeene ki de jati hai maa
piyar kehte hain kise aur mamta kiya cheej hai
yeh to un bachchon se pucho jinki mar jati hai maa
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: February 20, 2006, 09:13:38 AM »
Reply with quote
bahoot hi sunder likha hai apne samir.....Very Emotional too!!!
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #9 on: February 21, 2006, 06:45:56 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
bahoot hi sunder likha hai apne samir.....Very Emotional too!!!



thanks pooja ji
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #10 on: March 03, 2006, 11:47:11 AM »
Reply with quote
Thanks...Harsh Jee...n...Bekarar....N...samir...juz amazing....gr888...nice
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #11 on: March 03, 2006, 11:50:40 AM »
Reply with quote


Jab Tu Peda Howa Kitna Majbour Tha
Yeh Jahan Teri Socho Se Bhi Dour Tha

Hath Paon Bhi Tab Tere Apne Na The
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapne Na The

Tujh Ko Ata Tha Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pe Ke Kaam Tera Sona Hi Tha

Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maan Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maan Ne Teri

Maan Ke Saye Main Parwan Chalne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Barne Laga

Ahista Ahista Tu Kariyal Jawan Ho Giya
Tujh Pe Sara Jahan Mehrban Ho Giya

Zor Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khood Hi Sajne Laga Khood Hi Sanwarne Laga

Aik Din Ik Haseena Tujhe Bha Gayi
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi

Farz Apne Se Tu Dour Hone Laga
Bij Nafrat Ka Khood Hi Tu Bone Laga

Pheer Tu Maan Baap Ko Bhi Bhulane Laga
Teer Bato Ke Pheer Tu Chalane Laga

Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Laga
Qayda Ik Naya Tu Pheer Padne Laga

Yaad Kar Tujh Se Maan Ne Kaha Ik Din
Abb Humara Guzara Nahi Tere Bin

Sunn Ke Yeh Baat Tu Tesh Main Agiya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Giya

Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maan Se Kaha
Main Tha Khamosh Sub Dekhta Hi Raha

Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tor Do

Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro

Beth Kar Ahain Bharte The Woh Raat Bhar
Inki Ahon Ka Tujh Par Howa Na Asar

Aik Din Baap tera Chala Roth Kar
Kese Bikhri Thi Pheer Teri Maan Tout Kar

Pheer Woh Be Bass Ajal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi

Aik Din Mout Ko Bhi Taras Agiya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Giya

Ashk Ankhon Main The Woh Rawana Howi
Mout Ki Aik Hichki Bhana Howi

Ik Sukoon Isk Chehre Pe Chane Laga
Pheer Tu Mayyat Ko Iski Sajane Laga

Muddatain Ho Gayi Aaj Buda Hai Tu
Jo Para Touti Khatiya Pe Kora Hai Tu

Tere Bache Bhi Abb Tujh Se Darte Nahi
Nafrate Hain Muhabbat Woh Karte Nahi

Dard Main Tu Pukare Ke O MERI MAAN
TERE DAM SE ROSHAN THE DONO JAHAN

Waqt Chalta Rahe Waqt Rukta Nahi
Tout Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi

Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishan Reh Giya
Dhonde Zor Tera Kahan Reh Giya

Tu EHKAM-E-RABBI Bhulata Raha
APNE MAAN BAAP KO TU SATATA RAHA

Kaat Le Tu Wohi Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kese Mile Tu Ne Khoya Tha Jo

Yaad Kar Ke Giya Dor Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Hone Laga

Mout Mange Tujhe Mout Aati Nahi
Maan Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi

Tu Jo Khanse Tu Aulad Dante Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kon Bante Tujhe

Mout Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par

QADAR MAAN BAAP KI AGAR KOI JAAN LE
APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE
NM


[/color]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: March 09, 2006, 07:56:13 AM »
Reply with quote
Khuda Ne Kaha hai Paa Lo Janath...
Maa Ke kadmon Mein,..
Maa se Badkar Duniya Mein Koi Nahi,..
Humne Dekha hai Usko Pachtate Hue jisne Maa Ki Kadar Na Jaani,.
Usne Lahoo Bahaya hai Aankhon Se,..
Jo Laya tha Maa Ki aankh Mein Paani,..
Yeh Baat Haqeeqat Hai,Na samajh Naa Tum Isko Kahani,..
Maine Bhi Dukhaya Hai Maa Ka Dil,..
Kya Hogi Meri Hogi Kahani,...
Ya Main Zinda Rahooga Duniya Mein Ya Reh Jaayegi Meri Nishaani,..
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #13 on: March 29, 2006, 01:32:59 PM »
Reply with quote
likhte raho ek din baat ban jayegi
aaj ki maa bhi bachcho ke liye lori gayegi
jo ro dega kabhi bachcha to e dost
morderm maa bhi use dil se lagayegi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 09:52:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer