balika vadhu

by neha verma on October 28, 2012, 07:55:11 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 2864 times)
neha verma
Guest
Rangeele Sapno k badal mandrate hai
bachpan k is aangan me
lal,peele,hare,gulabi saptrang hai bagiya me
bula rahe hai tanman se mujhe athkheliya krne ko

k,kh,g,gh ki seedhiyon per chadhna shuru kiya hai aabhi mene
ek roz ye chanchal mann mera
gubbaro ki dor thame
gudde gudiya k khel me plavan kr
jhum rha tha usi aangan k niche
jhan me ghar ghar kheli
mitti ke khilone pramudit krte the mujhe
vo maa ki lal chunar odhe sir per
jo kono per me mandrati thi
us titli ke navpankho ki
anubhuti mujhko badi lubhati thi


kintu anbhigyta ki rassi kb mujhe
bal de gai pata na chla...
aur bandh gai kacchi umra ke pakke rishto me...


shadi ka khel khel bda bhinna hai
sach aur jhuth ki chadar liye ghumta
bindiya,kangan,chudi,sindoor hai chinhit
meri pehchan ab...
doob gya hai bachpan jisme
vo nadaan umar ab bhinna hai


sakhi saheliya sath nhi ab
sasur saas ka sang hai
hai bhram me jeeti duniya
mithya bhra hai mera jeevan
dukh k paashan bahut hai
bahut hai jimmewari bhi ab


hathon me kitaab nahi ab
sir per matkon ka bojh lda hai
ret per anguliyo ka athkhelan
badal gya hai grih-leepan me


lori,kahani,geet,nisha ke
suna rahe hai taane mujhe  ab
kha gae vo raag ab malhaar ke
haay ye sawan kesa sawan!
jo bhiga na ska tanman ko
paas chod gya ab k mere
beete sawan me masti ki killole
chapak-cham-cham barasta vo
vatsalya un mamtamayi lochan ka
vo snehbhra mridul moti
pyar aur dular ka
lupt ho gya hai parijano ke takrav me


dhul ho gai sari chaviya
bna kr saat janmo ka nata rishta tut gya jo
chod gya vo sathi mujhko
shwet rang  pehanne ko
door ho gya indradhanush vo
jeevan se mere
chod gya tanhai ab


katra-katra ban bhikhar gai hathon
se meri vo chudiyan
abhi kalai se utri bhi nahi mehndi  ki vo mehak nirali
door ho gae jeevan k swad ab
vo shiksha ki lo bhuj gai hai ab
mere is berang sansar se
ban gai thi balika vadhu me
ban gai hu ab kuch aur me kuch aur me
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mera Bachpan (Ek baal vadhu ki kahani) by usha rajesh in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #1 on: October 28, 2012, 08:15:56 AM »
Rangeele Sapno k badal mandrate hai
bachpan k is aangan me
lal,peele,hare,gulabi saptrang hai bagiya me
bula rahe hai tanman se mujhe athkheliya krne ko

k,kh,g,gh ki seedhiyon per chadhna shuru kiya hai aabhi mene
ek roz ye chanchal mann mera
gubbaro ki dor thame
gudde gudiya k khel me plavan kr
jhum rha tha usi aangan k niche
jhan me ghar ghar kheli
mitti ke khilone pramudit krte the mujhe
vo maa ki lal chunar odhe sir per
jo kono per me mandrati thi
us titli ke navpankho ki
anubhuti mujhko badi lubhati thi


kintu anbhigyta ki rassi kb mujhe
bal de gai pata na chla...
aur bandh gai kacchi umra ke pakke rishto me...


shadi ka khel khel bda bhinna hai
sach aur jhuth ki chadar liye ghumta
bindiya,kangan,chudi,sindoor hai chinhit
meri pehchan ab...
doob gya hai bachpan jisme
vo nadaan umar ab bhinna hai


sakhi saheliya sath nhi ab
sasur saas ka sang hai
hai bhram me jeeti duniya
mithya bhra hai mera jeevan
dukh k paashan bahut hai
bahut hai jimmewari bhi ab


hathon me kitaab nahi ab
sir per matkon ka bojh lda hai
ret per anguliyo ka athkhelan
badal gya hai grih-leepan me


lori,kahani,geet,nisha ke
suna rahe hai taane mujhe  ab
kha gae vo raag ab malhaar ke
haay ye sawan kesa sawan!
jo bhiga na ska tanman ko
paas chod gya ab k mere
beete sawan me masti ki killole
chapak-cham-cham barasta vo
vatsalya un mamtamayi lochan ka
vo snehbhra mridul moti
pyar aur dular ka
lupt ho gya hai parijano ke takrav me


dhul ho gai sari chaviya
bna kr saat janmo ka nata rishta tut gya jo
chod gya vo sathi mujhko
shwet rang  pehanne ko
door ho gya indradhanush vo
jeevan se mere
chod gya tanhai ab


katra-katra ban bhikhar gai hathon
se meri vo chudiyan
abhi kalai se utri bhi nahi mehndi  ki vo mehak nirali
door ho gae jeevan k swad ab
vo shiksha ki lo bhuj gai hai ab
mere is berang sansar se
ban gai thi balika vadhu me
ban gai hu ab kuch aur me kuch aur me

very nice composition Neha ji keep it up welcome to yoindia, yoonhi aate rahiye likhte rahiye khush rahiye.
ghanshamdas ahuja
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #2 on: October 28, 2012, 09:44:16 AM »
bahut khoob, heart touching
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: October 28, 2012, 12:52:20 PM »
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
aqsh
Guest
«Reply #4 on: October 29, 2012, 02:07:44 PM »
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
neha verma
Guest
«Reply #5 on: October 30, 2012, 02:38:51 PM »
thanx to one and all....for their beautiful admiration
Logged
ripan dev
Guest
«Reply #6 on: October 31, 2012, 02:35:59 AM »
very very  very niceeeee
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 11:32:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer