mohdtariq
Guest
|
Kal raat meri aahon ne tujhe jagaaya hoga, Jab tune mujhe dil se bhulaaya hoga..
Dard se dhuan bhi kuch kaanp uttha hoga, Jab tune mere khaton ko jalaaya hoga...
Toota hoga sannata door door tak, Jab koi sheesha, patthar se takraya hoga...
Kuchale honge jazbaat, tunhe apne khud hi, Jab baaton baaton mein, mera zikr hua hoga...
Dekh kar ek baar tujhe gussa to aaya hi hoga, Jab leheron ne ret par likha naam mitaaya hoga...
Duniya ke nigahon se, tujhe darr to zaroor laga hoga, Jab tune kitabon mein meri tasveer ko chupaya hoga..
Barse honge badal bhi, garaj garaj kar, Jab nazron se tune mujhe giraya hoga...
Ek baar uthkar tu bhi to chal padi hogi, Jab meri sadaaon ne dard se tujhe pukaara hoga..
Chaunki hogi tu bhi, ek baar hairaani se, Jab aaine mein bhi mera chehra nazar aaya hoga...
Kaanp uthe honge rongte, tere sehme se badan ke, Jab kisi aur ki bahoon ne tujhe sameta hoga..
Sulag rahi hogi, tu bhi ...angaaron mein aise, Jab meri yaadon ki lapton ne, jalaaya hoga...
Ankhon mein rok liye honge tune bhi apne aansoon, Jab saawan ki boondon ne, tujhe bhigoya hoga..
Ulajh gayin hongi zulphen ...khayalon ki tarah, Jab sawaalon ke bhanwar, ne tujhe ghera hoga...
Andhiyon ne hans hans kar tujhe sataya hoga, Jab shamma ne khud apna hi ghar jalaya hoga..
Tadap uthi hogi, tu bhi...bijliyon ki tarah.. Jab tune meri ghazlon mein, apna naam paaya hoga..
|