Meditation 5 : Chitt ki nirmalta ke baad swatah hi wikaar nahi uthte

by @Kaash on September 20, 2013, 03:03:46 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 655 times)
@Kaash
Guest
Jab tak ham vichaarshunya nahi honge vichaar vichaar me hi uljhaaye rakhenge. Aaj computer bhi vichaar kar leta hai aur aadmi se bhi adhik dakshta ke saath. Parantu hum apne hi vichaaron ke jaal me fanse rahte hain aur maze ki baat jitna sochte hain aur fanste jaate hain. Kabhi hum vichaar ko hi apna swaroop to kabhi vichaar kar rahe yantra man ko hi apna swaroop maan lete hain. Man ka kaarya hi hai sochna,sochte rahna. Jaise koi train bekaabu hoke sirf bhaagti ja rahi ho aur andar se bahar ke drashya tak nahi dikhai pad rahe. Man ek bekaabu train hai jiski prakrati hi bina thake chalte rahna hai. Parantu yadi hum sajag hoke do vichaaron ke beech me ruk jaayen hum is bekaabu train me chain pulling karke bahar nikal padte hain. Aur tab bahar ke drashyon ko dekh paate hain athaart vichaarshunyata ke jagat me pahunch jaate hain. Aur tab man ke swaroop ko swayam se alag dekhte hain. Tab hum ye anubhav karte hain ki hamara swaroop shareer man budhi vichaar indriya nahi kuch aur hai. Aur tab us shunya,us agyaat, us mahashaanti, us parmaatma ki pratidhwani ki pehli jhalak milti hai. Swatah hi dhyaan me hamara pravesh ho jaata hai. Swatah hi chitt nistarang ho jata hai,avrudhh ho jata hai. Hum chetanta ki dhaara se judte hain. Swayam ki chaitanyata me bahne lagte hain. Jaise jaise hamari ye chaitanyata deergh athaart badhne lagti hai ham samaadhi ki taraf agrasar hote hain. Dhyaan hamaara swaroop hai,hamara swabhaav hai. Hamara swabhaav nirvikaar hai. Isiliye jitni jaldi wa jitna zyada hum wikaar se mukt hote hain dhyaan ko praapt hote hain. Dhyaan ke dwaara hum jitna man ko bahar se dekhte hain,vichaaron se shunya rakhte hain aur tab jaake  nirmalta aati hai. Anyatha hum wikaaron ko daba lete the aur waqt pe unhe rok nahi paate the parantu ab wikaaron ka ankuran hi rukne lagta hai aur antas ki is yaatra me nirmal chitt bahut prabhaavi sidhh hota hai.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: September 20, 2013, 03:49:31 PM »
sunder prastuti
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: September 20, 2013, 04:16:01 PM »
अती सुंदर @काश जी.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 04:22:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer