Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 273
Print
Author  (Read 118265 times)
angel4u
Guest
«Reply #15 on: November 16, 2006, 06:21:30 PM »

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi NagMa Bankar,
HuMse Har ShaaM Mili Hai Tera Chehra Bankar,

Chand Nikla Hai Teri Aankh Ke Aansu Ki Tarah,
Phool Mehke Hai Teri Zulf Ka Saya Bankar,

Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Talash Hai,
So Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Bankar,

Dilke Kagaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah,
Mere Hothon Pe Machalta Hai Tu NagMa Bankar,

Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahi Chehre Ki ChaMak,
Rooh Mein Phail Gaya Hai Wo Ujala Bankar,

Mera Kya Haal Hai Ye Ke Kabhi Dekh To Le,
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Waada Bankar,

Dhoop Mein Kho Gaya Wo Haath Chura Kar Aanchal
Ghair Se Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar,

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi NagMa Bankar,
HuMse Har ShaM Mili Hai Tera Chehra Bankar...
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #16 on: November 16, 2006, 06:23:54 PM »

Main Apne Aaj Apna Kal TuMhare NaaM Karta Hoon,
Main Is Jeevan Ka Har Pal TuMhare NaaM Karta Hoon,

Mera Guzra Hua Kal To Mere Mazi Ka Hisah Hai
Main Apna Aaj Apna Kal TuMhare NaaM Karta Hoon

Khizain, Sardian, GarMi, Baharein, Barishein, Jara
Main Har MosaaM Ka Har Har Pal TuMhare NaaM Karta Hoon

TuMhare Dukh, Udasi, GhaM, Sabhi Ranj-O-AlaM Lekar
Main Ye Khushion Bhari Chagal TuMhare NaaM Karta Hoon

Sitare AsMaan Ke Sab TuMhari Mang Mein Bhar Kar
Shaab-E-Tera Ka Sab Kajal TuMhare NaaM Karta Hoon

TuMhare Bin Yah Har Ek Pal Mujahy Bechain Rakhta Hai
Main Apna Dil Hai Jo Bekal, TuMhare NaaM Karta Hoon

Barasta Bheegta MosaaM Hai KaMzori Meri Lakin
Mein Yah Sawan, Ghatta, Badal TuMhare NaaM Karta Hoon
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #17 on: November 16, 2006, 06:26:52 PM »

Wo Janta Tha
Bahut Pasand Hai Baarishein Mujhe,
Aur Isi Liye
Jaate SaMay Meri Aankhon Ko
De Gaya Hai Sawan Ka Pata!!!
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #18 on: November 16, 2006, 06:27:47 PM »

Chirag Mangte Rehne Ka Kuch Sabab Bhi Nahin,
Andhera Kaise Bitayen Ke Ab To Shab Bhi Nahin,

Main Apne ZauM Mein Ek Bazyaft Par Khush Hoon,
Ye Waqeya Hai Ke Mujh Ko Mila Wo Ab Bhi Nahin,

Jo Mere Shair Mein Mujh Se Ziyada Bolta Hai
Mein Us Ki BazM Mein Ek Harf Zair Lab Bhi Nahin,

Aur Ab To Zindagi Karne Ke Sau Tareeqe Hain
HuM Us Ke Hijr Mein Tanha Rahe The Jab Bhi Nahin,

KaMal Shakhs Tha Jis Ne Mujhe Tabaah Kiya,
Khilaf Us Ke Ye Dil Ho Saka Hai Ab Bhi Nahin,

Ye Dastakein Ye Meri Zindagi Ki Adhi Raat,
Hawa Ka Shor SaMajh Lon To Kuch Ajab Bhi Nahin,

Ye Dukh Nahen Ke Andheron Se Sulah Ki HuM Ne,
Malal Ye Hai Ke Ab Subha Ki Talab Bhi Nahin,

Hisab Dar Badari Tujh Se Mang Sakta Hai
Gareeb Shahar Magar Itna Itna Be Adab Bhi Nahin,

HaMein Bohat Hai Ye Sadat-E-Ishq Ki Nisbat
Ke Ye Qabeela Koii Aisa KaM Nasab Bhi Nahin...
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #19 on: November 16, 2006, 06:28:31 PM »

Manzar Hai Wahi Thakthak Rahi Hoon,
Hairat Se Palkein Jhapak Rahi Hoon,

Ye Tu Hai Ke Mera WaheM Hai,
Band Aankonse Tujhko Tak Rahi Hoon,

Jaise Ke Kabhi Na Tha Taarruf,
Yun Milate Hue Jhijhak Rahi Hoon,

Pehchaan Main Teri Roshni Hoon,
Aur Teri Palak Palak Rahi Hoon,

Kya Chain Mila Hai Sar Jo Uske,
Shaano Pe Rakhe Sisak Rahi Hoon,

Ek UMr Hui Hai Khud Se Ladte
Andar Se TaMaaM Thak Rahi Hoon...
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #20 on: November 16, 2006, 06:30:14 PM »

Suno Ladki....
Abhi TuM Ishq Mat Karna,
Abhi Gudiya Se Khelo TuM,
TuMhari UMar Hi Kya Hai,
Faqat Satrah Baras Ki Ho,
Abhi MasooM Bachi Hai,
Nahi MaluM Abhi TuMko,
Ke Jab Ye Ishq Hota Hai,
To Insaan Kitna Rota Hai,
Sitaare Toot Jaate Hai,
Saharae Chhut Jaate Hai,
Abhi TuMne Nahi Dekha,
Ke Jab Sathi Bichadte Hai
To Kitna Dard Milta Hai,
Ke Har Farqat Ke MausaM Mein
Hazaron GuM Ubharte Hai,
Hazaron ZakhM Khulte Hai,
Suno Ladki...
Meri Mano
Padhai Par Tawajo Do,
Kitabon Mein Gulabon Ko
Kabhi Bhoole Se Mat Rakhna,
Kitabein Jab Bhi Khologi,
Ye Kaanto Ki Tarah Dil Mein
Chubhenge Khun Bahenge,
TuMhe Pehron Satayenge,
Kisiko Khat Nai Likhna,
Likhayi Pakdi Jaati Hai,
Badi Ruswai Hoti Hai,
Kisiko Phone Mat Karna,
Sadayein Dil Dukhati Hai,
Wo Awazein Satati Hai,
Meri NazMein Nahi Padhna,
Ye Mehshar Utha Dengi,
TuMhe Pagal Bana Dengi,
Suno Ladki...
Meri Mano
Apni Takdeer Se TuM
Khulke Mat Ladna
Abhi Gudia Se Khelo TuM,
Abhi TuM Ishq Mat Karna...
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #21 on: November 16, 2006, 06:31:54 PM »

Mere Liye NaMuMkin Hai Par TuM Bhi Nahi Kar Paaoge
HuM Judaa Ho Jayeinge To Dil Ko Kya SaMjhaaoge

Khushi Ka Yeh Mauqa Ke TuM Manzil Ko Paa Rahe Ho
Par Yeh GhaM Zaroor Hai Ke Mujh Se Door Jaa Rahe Ho

Dekho Jaate Jaate TuM Meri SiMt Na Dekhna
Aur Na Hi Koi Khayaal Mera Apne Dil Mein Uss Pal Rakhna

Warna TuM Bhi Ro Doge Aur Mujh Ko Bhi Rulaaoge
HuM Judaa Ho Jayeinge Tau Dil Ko Kya SaMjhaaoge

Jo Pal Sath Bitaaye Woh Yaad Yaqeenan Aayenge
Kabhi Karenge NaMM Naina, Aur Kabhi Hansayenge

Jab Yaad Meri Aayegi To TuM Chaand Ko Dekha Karna
Meri Nazar Hai Waheen Kahin Bas Yeh Socha Karna

Koi Bhi Halaat Ho Aise Mein TuM Muskuraoge
HuM Judaa Ho Jayenge To TuM Dilko Kya SaMjhaoge
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #22 on: November 16, 2006, 06:32:37 PM »

Mere Mohsinon Mere Doston Mujhe Zindagi Ki Dua Na Do
Main To Pyar Ke Qaabil Nahin Mujhey Dil Mein Itni Jagah Na Do

Mujhey Shauq-E-Zeest Na Raha Mujhe Zindagi Ne Diya Hai Kya
Main Maroon Yeh Mujh Ko Haq To Hai, Main Jiyun Yeh Mujh Ko Sazaa Na Do

Woh Bane The Merey Jo HuMsafar Wohi Chal Diye Mujhe Chor Keh
Main Jahan Se Aaya Hoon GhaMzada, Mujhe Phir Wahin Se Sadaa Na Do

Is Zindagi Ki ShaaM Ka, Mujhe Dar Tha Is AnjaaM Ka
Mujhe Ek Ansoo Ki Tarah Kahin Aankh Se TuM Giraa Na Do

ALMAS Is Dayaar Mein Ik Saya-E-Diwaar Main
Main Jo So Gayaa Hoon Chain Se Mujhe Neend Se Phir Jaga Na Do
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #23 on: November 16, 2006, 06:33:39 PM »

Is Wakt To Yun Lagta Hai Ke Kuch Bhi Nahi Hai,
Mehtaab Na Suraj, Na Andhera Na Sawera,
Aankhon Ke Dareeche Mein Koi Husn Ki ChilMan,
Aur Dil Ki Panahon Mein Kisi Dard Ka Dera,
Shayad Woh Koi WehM Tha MuMkin Hai Suna Ho,
Galiyon Mein Kisi Chap Ka Ek Aakhri Phera,
Shakhon Mein Khayalon Ke Ghane Ped Ki Shayad,
Ab Aa Ke Karega Na Koi Khwab Basera,

Ab Bair Na Ulfat Na Koi Rabt Na Rishta,
Apna Koi Tera Na Paraya Koi Mera,
Mana Ke Ye Sunsaan Ghadi Sakht Kadi Hai,
Lekin Mere Dil Ye To Fakt Ek Hi Ghadi Hai,
HiMMat Karo Jeene Ko To Ek UMar Padi Hai...
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #24 on: November 16, 2006, 06:34:48 PM »

Be ZaMeen Logon Ko
Bekarar Aankhon Ko,
Badnaseeb QadMon Ko,
Jis Taraf Bhi Le Jayein
Raasto Ki Marzi Hai,

Be-Nishaan Jazeeron Par,
BadguMan Shehron Mein,
Be-Zuban Musafir Ko
Jis Taraf Bhi Bhatka Dein,
Raaston Ki Marzi Hai,

Rok Dein Ya Badhne Dein,
ThaaM Le Ya Girne Dein,
Wasal Ki Lakeeron Ko,
Tod Dein Ya Milne Dein,
Raston Ki Marzi Hai,

Ajnabi Koi Laa Kar HuMsafar Bana Dein,
Saath Chalne Walon Ki Raakh Bhi Uda Dalein,
Ya Musaftein Saari
Khaak Mein Mila Dein,
Raaston Ki Marzi Hai...
* * * * *{NM}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #25 on: November 17, 2006, 07:53:28 PM »

Khush-Haal Se Tum Bhi Lagte Ho,
Yun Afsurda To Hum Bhi Nahi,
Par Jannewale Jante Hai Khush Tum Bhi Nahi,
Khush Hum Bhi Nahi.....

Tum Apne Khudi Ke Pehre Mein,
Aur Dam-E-Gharoor Mein Jakde Hue,
Hum Apne Zaum Ke Nerghay Mein,
Una Haath Hamare Pakde Hue,

Mehsoor-E-Talatum Aaj Bhi Ho,
Jo Tumne Kinare Dhund Liye,
Toofan Se Sambhle Hum Bhi Nahi,
Kehne Ko Kinare Dhund Liye,

Ek Muddat Se Ghaltan Paichan,
Tum Rabt-O-Guraiz Ke Dharaon Mein,
Hum Apne Aap Se Uljhe Hue,
Pachhtawon Ke Angaron Mein,

Khamosh Se Tum Ho Muhur Ba-Lub
Jug Beet Agye Kuch Baat Kiye,
Suno Khel Adhoora Chodte Hai,
Bina Chaal Chale Bina Maat Kiye,

Jo Bhagte Bhagte Thak Jayein,
Wo Saaye Ruk Bhi Sakte Hia,
Chalo Todo Kasam Ikraar Karein,
Hum Dono Jhuk Bhi Sakte Hai...
* * * * * {Nm}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #26 on: November 17, 2006, 07:54:33 PM »

Wisaal-O-Hijr Me
Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Me
Kisi Ahd-E-Rifaqat Me
Ke Tanhai Ke Jangal Me
Khyal-E-Khal-O-Khad Ki Roshani Ke Gahre Baadal Me
Chamkti Dhoop Me Ya Phir
Kisi Be Abr Saye Me
Kahin Baarish Me Bhige Jism-O-Jaan Ke Nasrparon Me
Kahin Hoton Pe Shairon Ki Mahaktie Aabsharon Me
Chiraghon Se Saji Shaamon Me
Ya Benoor Raaton Me
Sahr Ho Runuma Jaise Kahin Baaton Hi Baaton Me
Koi Lipta Hua Ho Jis Tarah
Sandal Ki Khushboo Me
Kahin Pe Titliyon Ke Rang Tasweeren Bana Te Hon
Kahin Pe Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshani Khud Ko Chupati Ho
Kahin Kaisa Hi Manzar Ho
Kahin Kaisa Hi Mausam Ho
Tere Saare Hawalon Ho
Teri Saari Misalon Ko
Mohabbat Yaad Rakhti Hai
* * * * * {Nm}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #27 on: November 17, 2006, 07:56:00 PM »

Hath Ki Lakeeron Mein
Kya Talash Kartey Ho?
In Fazool Baton Mein
Kis Liye Ulajhtey Ho?
Jisko Milna Hota Hey
Bin Lakeer Dekhey Hi
Zindagi Ke Raston Per
Sath Sath Chalta Hey
Phir Kahan Bichharta Hey
Jo Nahi Mukaddar Mein
Kab Hamein Wo Milta Hey
Kab Wo Saath Chalta Hey
Hath Ki Lakeeron Mein
Kya Talash Karte Ho?......
* * * * * {Nm}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #28 on: November 17, 2006, 07:57:01 PM »

Kya Tum Bhi
Aansoo Rokne Ki Koshish Mein,
Palkein Tez Tez Jhapakte Ho,
Aur
Kisi Sandese Ki Aas Mein Baar Baar,
Darwaze Ki Jaanib Lapakte Ho,
Kya Tum Bhi
Phool Pe Girti Barish Ki Awaz Se
Aur
Door Kahin Bajne Wale Almiyaan
Saaz Ki Awaz Se,
Aafsurda Ho Jaate Ho...
* * * * * {Nm}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #29 on: November 17, 2006, 07:58:13 PM »

Aye Dil-E-Tabah Tu
Khwahishon Ke Raasto Par
Kya Falah Payega
Is Jahan Ke Hangame
Tu Samajhna Payega
Aise Mein Mit Hi Jayega,

Barf Ki Chitano Mein,
Ishq Ki Tapish Kahan,
Munjamid Hawaon Mein,
Parwaz Ka Haasil Kahan,
Wo Shakhs Thik Kehta Hia,
Jahan Mein Jitne Dil Dukhega
Utna Sukun Payega,
Par Tu Ye Bhi Na Kar Payega,

Tere Is Dasht Nawardee Mein,
Jo Ek Sarab Aya Hai,
Jab Paas Uske Jayega
Tu Kuch Bhi To Na Payega,
Phri Tu Use Bhulega,
Aur Ye Bhi Kar Na Payega,
Aye Dil-E-Tabah Tu,
Khwahishon Ke Raaston Par,
Kya Falah Payega...
* * * * * {Nm}
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 08:16:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer