Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 273
Print
Author  (Read 118853 times)
angel4u
Guest
«Reply #75 on: November 24, 2006, 05:44:57 PM »

Aankhein Dekhe Khwab,
Aankhien Dekhe Aur Kisike Khwab,
Apni Aankhein Jab Dekhe Kisi Aur Ke Khwab
Kaun Bane Phir Khwab HaMare Shikwe Kaun Sune,
Kaante Kaun Chune,
Dil Ko Hai Bas Ek Uljhan
Man Chahi Tabeer Se Roshan Sapna Kaise Ho?
Aankhon Me Jo Khwab Basa Hai Apna Kasie Ho?
TuM Dekho Ek Khwab
Apni Aankhonse TuM Dekho Mera Khwab
Apni Aankhonse TuM Dekho Khas Ek Mera Khwab
Shikwon Ki Parchhaiya Ude Mujhse Karo Phir Baat,
Mujhse Karo Ye Baat!
Dil Ko Hai Bas Ek Hi Uljhan
Man Chahi Tabeer Se Roshan Sapna Kaise Ho?
Aankhon Mein Jo Khwab Tera Hai Apna Kaise Ho???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #76 on: November 24, 2006, 05:45:35 PM »

Tera Kehna Hai...
"Mujh Ko Khaliq-E-Kon-O-Makaan Ne
Kitni Dhero NeMatein Di Hain
Meri Aankhon Mein Gehri ShaaM Ka DaaMan Kushaan Jadoo
Meri Baaton Mein Ujle MausaMon Ki Gul Fishaan Khushboo
Mere Lehje Ki GarMi Mauja-E-Gul Ne Tarashi Hai
Mere Alfaz Par Qaus-E-Qazah Ki Rang Paashi Hai
Mere Honton Mein Daisy Ke Gulabi Phool Ki Rangat
Mere Rukhsaar Per Gulnaar ShaaMon Ki Jawan Hiddat
Mere Haathon Mein Pankharion Ki ShabnaM LaMs NarMi Hai
Mere Baalon Mein Barsaaton Ki Raatein Apna Rasta Bhool Jaati Hain
Mein Jab DheeMe Suron Mein Geet Gaati Hoon
Tu Sahil Ki Hawaein
Adh Khule Honton Mein, Pyase Geet Leker
Saaya-E-Gul Mein SaMet Kar Baith Jati Hain
Mera Fun Soch Ko Tasveer Deta Hai
Mein Hurfon Ko Naya Chehra
Tu Chehron Ko Huroof Nau Ka Rishta Nazar Karti Hoon
Zaban Takhleeq Karti Hoon "
Tera Kehna Mujhe TasleeM Hai
Main Maanti Hoon
Usne Meri Zaat Ko Behad Nawaza Hai
Khuda-E-Barg-O-Gul Ke SaaMne
Main Bhi Dua Mein Hoon, Sarapa-E-Shukar Hoon
Us Ne Mujhe Itna Bohot Kuch Dedia...Lekin
Tujhe De De Tu Mein Jaanoon!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #77 on: November 24, 2006, 05:46:54 PM »

Mana Ke Tere Dil Mein Koi Aur Makien Hai,
Tu Bhi To Mera GhuM Hai Aqeeda Hai Yakeen Hai,
Main Jabr Ke Sajdon Mein Giron Toot Na Jaun,
Pathar Ke Khudao Meri Sheeshe Ki Jabeen Hai,
Aayne Tujhe Teri Khabar De Na Sakenge,
Aa Dekh Meri Aankh Mein Tu Kitna Haseen Hai,
Deewar Mein Chunwa Ke Mujhe JurM-E-Wafa Par,
Aye Mere Shahenshan Tu Pareshan To Nahi Hai,
Palkon Se Tarasha Tha HuMne Jo Wo Heera
Mat Puchh Ke Wo Kiski Angoothi Ka Nageen Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #78 on: November 24, 2006, 05:48:37 PM »

Khayal Rakhna....

Udasiyan Be-Sabab Nai Hai,
Udasiyon Ka Agar Ye MausaM
Theher Gaya To Gazab Karega,
Na Ji Sakoge Na Mar Sakoge,
Na KaaM Hi Kio Kar Sakoge,
Kisiki Har Pla Talab Karega,
Udasiyan Be-Sabab Nahi Hai,
Suno Jo LaMhe Hai Aaj Haasil,
Unhe HaMesha SaMbhal Rakhna,
Wafa Ke Gulshan Mein Charon Jaanib,
Bahar Rakhna Nikhaar Rakhna,
Mohabbat Ka Waqar Rakhna,
Udaasiyan Be-Sabab Nahi Hai,
Jahan Mein Ktine Hi Log Aaye,
Rahe Base Hai, Ujad Gaye Hai,
Magar Ye Jazbe Abud Se Hai,
Aur Azal Tak Rahenge,
TuM Apni Aankhon Mein Pehle Jaisa Jaal Rakhna,
Udaasiyan Be-Sabab Nahi Hai,
Zara Ye Socho Bichhad Gaye To,
Kahan Milenge
Yun Hi Rahengi TaMaM Raahein,
Magar Ye Rahi Na Mil Sakenge,
Bahar Mein Bhi Khizaan Ki Soorat
Na Phool Har SiMt Khil Sakenge,
Na Dil Ko Apne Udaas Rakhna,
Har Ek Jazbe Ka Paas Rakhna,
Milenge Aakhir Ye Aas Rakhna,
Udaasiyan Be-Sabab Nahi Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #79 on: November 25, 2006, 07:30:38 PM »

Wo Jiska NaaM Tha Saanson Mein,
Aur Hothon Par,
Wo Nas Nas Mein Kuch Is Tarah Utarta Gaya,
Har Ek Gosha Dil Khud Bakhud Mehakta Gaya,
Heena Se NaaM Hatheli Pe Bhi Likha Uska,
Wo Ek Shakhs Mujhe Aaj Is Tarah Se Mila,
Ke Uske Chehre Pe Dekhi Hai Ajnabi Aankhein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #80 on: November 25, 2006, 07:32:47 PM »

Bechain Bahut Phirna Ghabraye Hue Rehna,
Ek Aag Si Jazbon Ki Behki Hui Rehna,

Chhalkaye Hue Chalna Khusbu-E-Begani Ki,
Ek Baag Sa Tha Apna Mehakaye Hue Rehna,

Is Husn Ka Shevaa Hai, Jab Ishq Nazar Aaye,
Parde Mein Chale Jaana, SharMaye Hue Rehna,

Ek ShaaM Si Kar Rakhna Kaajal Ke KarishMe Se,
Ek Chand Sa Aankhon Me ChaMkaye Hue Rehna,

Aadat Hi Bana Li Hai TuMne To Munir Apni,
Jis Shaher Mein Bhi Rehna Uktaye Hue Rehna...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #81 on: November 25, 2006, 07:33:42 PM »

Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali,
Jaane Kis Arsh Pe Rehta Hai Khuda ShaaM Ke Baad,

Itna To Hota Nahi Khandir ShaaM Ke Baad,
Jitna Veeran Hua Jaata Hai Ghar ShaaM Ke Baad,

Toot Padti Ahi Nayi Roz Khabar ShaaM Ke Baad,
Waqt Hota Hai Azabon Mein Basar ShaaM Ke Baad,

Meri Aankhon Se Baraste Hue Daryaon Mein,
Doob Jaati Hai Teri Reh-Guzar ShaaM Ke Baad,

Gher Lete Hai Mujhe Raaste Teri Yaadon Ke,
Jab Bhi Karta Hoon Tere Baad Safar ShaaM Ke Baad,

Din Bhi Veeran Hi Guzarta Hai HaMara Lekin,
Aur Badh Jaata Hai Veerani Ka Dar ShaaM Ke Baad,

Hijar Ke Saaye To Har Roz Hi Aa Jaate Hai,
Kya Kabhi Hoga TuMhara Bhi Guzar ShaaM Ke Baad,

Aankh Ban Jaati Hai Sawan Ki Ghata ShaaM Ke Baad,
Laut Jaata Hai Agar Koi Khafa ShaaM Ke Baad,

Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala ShaaM Ke Baad,
Koi To Tha Ke Jo Deta Tha Dua ShaaM Ke Baad,

ShaaM Tak Qaid Raha Karte Hai Dil Ke Andar,
Dard Ho Jaate Hai Saare Riha ShaaM Ke Baad,

Khwab Takra Ke Palat Jaate Hai Band Aankhonse,
Jaane Kis JurM Ki Kisko Hai Saza ShaaM Ke Baad,

Maar Deta Hai Ujad Jane Ka Daheera Ehsaas,
Kaash Ho Koi Kisise Na Juda ShaaM Ke Baad,

Laut Aaye Kisi Roz Wo Awara Mijaz,
Khol Rakhte Hai Isi Aas Par Dar ShaaM Ke Baad...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #82 on: November 25, 2006, 07:34:36 PM »

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hai Naqsh-E-Maazi Mite Mite Se,
Wo AazMayish Si Dil-O-Nazar Ki, Wo Qurbatein Si Wo Faasle Se,

Kabhi Aarzu Ke Sehra Mein Aake Rukte Hai Qaafile Se,
Wo Saari Baatein Lagav Ki Si Wo Saare Unavaan Visaal Ke Se,

Nigah-O-Dil Ko Karaar Kaisa Nishaat-O-GaM Mein KaMi Kahan Ki,
Wo Jab Mile Hai To Unse Har Baar Ki Hai Ulfat Naye Sire Se,

Bahut Giraan Hai Ye Aish-E-Tanha Kahin Sabukatar Kahin Gavara,
Wo Dard-E-Pinhaan Ki Saari Duniya Rafiq Thi Jiske Waaste Se,

TuMhi Kaho Rind-O-Muhtasib Mein Ho Jaaj Shab Kaun Farq Aisa,
Ye Aake Baithe Hai Maikade Mein Wo Uthke Aaye Hai Maikade Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #83 on: November 25, 2006, 07:35:28 PM »

Koi Dhudla Sa Ek Chehra Meri Aankhon Mein Rehta Hai,
Koi Bhatka Sa Ek Jugnoo Mere Khwabon Mein Rehta Hai,

Ek Mayoos Si Awaz Mujhe Sone Nahi Deti,
Koi Uljha Sa Ek JuMla Meri Yaadon Mein Rehta Hai,

Haay Kiske ShabnaMi Aanchal Ki Khushbu Ab Talak Mujh Mein,
Koi Ehsaas Mehka Sa Meri Saanson Mein Rehta Hai,

Mujhe Khud Par Nahi Qaboo Na Main Kuch Bol Sakta Hoon,
Asar Ye Kiske Lafzon Ka Meri Baaton Mein Rehta Hai,

Sardiyon Ki Khunak Raatein Mujhe Bechain Kar Rakhti Hai,
LaMas Ka Ek Hath Ab Tak Meri Sochon Mein Rehta Hai,

Hai Dil Bhi Muztarib, Ehsaas Bhi, Sochon Ki Uljhan Bhi,
Ye Kiski Aankh Ka Aansu Meri Aankhon Mein Rehta Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #84 on: November 25, 2006, 07:37:02 PM »

Ye Sheeshe Ye Sapne Ye Rishte Ye Dhaage
Kise Kya Khabar Hai Kahan Toot Jaayein
Mohabbat Ke Dariyaa Mein Tinke Vafaa Ke
Na Jaane Ye Kis Mod Par Duub Jaayen

Ajab Dil Ki Bastii Ajab Dil Ki Vaadi
Har Ek Mod MausaM Nayi Khwahishon Ka
Lagaye Hai HuMne Bhi Sapno Ke Paudhe
Magar Kya Bharosa Yahan Baarishon Ka

Muradon Ki Manzil Ke Sapno Mein Khoye
Mohabbat Ki Raahon Pe HuM Chal Pade The
Zara Dur Chal Ke Jab Aankhen Khuli To
Kadi Dhuup Mein HuM Akele Khare The

Jinhe Dil Se Chahaa Jinhe Dil Se Pooja
Nazar Aa Rahe Hain Wahi Ajnabi Se
Ravaayat Hai Shaayad Ye Sadiyon Purani
Shikaayat Nahin Hai Koi Zindagii Se
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #85 on: November 26, 2006, 07:47:13 PM »
Thanks re.............. Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #86 on: November 29, 2006, 07:35:48 PM »

Sar-E-Shaam
Door Ufaq Par
Ek
Roshan Taara
Chamak Raha Tha,
Bilkul Aise
Jaise Waqt Judayi
Meri Aankhon Mein
Ek Nanha
"QATRA"
Laraz Raha Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #87 on: November 29, 2006, 07:38:10 PM »

Kisi Khushnigaah Ki Aankh Ne Ye Kamaal Mujhpe Karam Kiya,
Meri Loh-E-Jaan Pe Raqam Kiya,
Wo Jo Ek Chand Sa Harf Tha Wo Jo Ek Sehma Sa Naam Tha,
Wo Jo Ek Phool Si Baat Phirti Thi Darbard
Use Gulsitan Ka Pata Diya,
Mere Dilka Shaher-E-Malaal Tha Use Roshni Me Basa Diya,
Meri Aankh Aur Mere Khwab Ko Kisi Ek Pal Mein Beham Kiya,
Mafre Aaino Pe Jo Gard Thi Mah-O-Saal Ki,
Wo Utar Gayi,
Wo Jo Dhoond Thi Mere Chaaro Soo Wo Bikhar Gayi,
Sabhi Roop Aks-E-Jamaal Ke,
Sabhi Khwab Shaam-E-Khayal Ke,
Jo Ghubaar-E-Waqt Me Sas Basar The Aate Hue,
Wo Chamak Uthe,
Wo Jo Phool Raah Ki Dhool The Wo Mehek Uthe,
Liye Saat Rang Bahaar Ke,
Chala Main Jo Sang Bahar Ke,
To Saja Diye Sabhi Raaste,
Kisi Dast-E-Shubdahsaaz Ne,
Mere Naam Par Mere Waaste,
Meri Beghari Ko Panaah Di Meri Justaju Ko Nishan Diya,
Jo Yakeen Se Bhi Haseen Hai Mujhe Ek Aisa Guman Diya,
Wo Jo Reza Reza Wajood Tha,
Use Ek Nazar Mein Baham Kiya,
Kisi Khushnigaah Si Aankh Ne,
Ye Kamaal Mujh Pe Karam Kiya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #88 on: November 29, 2006, 07:40:54 PM »

Sitaara Apni Bhi Taabindagi Na Dekh Saka,
Wo Dhund Thi Ki Ye Manzar Kio Na Dekh Saka,

Talash Karate Hue Ungliya Jala Dalin,
Wo Tiragi Thi Ke Main Shama Bhi Na Dekh Saka,

Mila Tha Shaam Mujhe Ek Bujha Hua Suraj,
Main Uske Baad Phir Roshni Na Dekh Saka,

Jo Rabt Baaki The Sab Qataa Kar Liye Usne,
Wo Meherbaan Meri Bechaargi Na Dekh Saka,

Nigaah Wiase To Baam-E-Falak Ko Chhu Aayi,
Main Jis Zameen Pe Khada Tha Wahin Na Dekh Saka,

Wahi Hai Aaina Khaana Wahi Hain Tasveerein,
Main Umr Bhar Koi Surat Na Dekh Saka,

Tamaam Shaher Mein Wo Deedavaar Hua Mashoor,
Wo Apni Naak Se Aage Kabhi Na Dekh Saka...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #89 on: November 29, 2006, 07:41:55 PM »

Kitni Azeeyat Se Usne Mujhko Bhulaya Hoga,
Meri Yaadone Uskko Khoob Rulaya Hoga,

Baat Be Baat Yunhi Aankh Jo Teri Chhalki Hogi,
Usne Chehre Ko Bazooun Mein Chhupaya Hoga,

Socha Hoga Usne Din Mein Kayi Baar Mujhko,
Naam Hatheli Par Likh Likh Kar Mitaya Hoga,

Jahan Mera Zikr Suna Hoga Usne Kisise,
Uski Aankhon Mein Aansu To Aaya Hoga,

Hoke Nidhaal Meri Yaadon Se Tune Jaana,
Meri Tasveer Par Sar Tikaya Hoga,

Raat Ke Bhigne Tak Nind Nahi Aayi Hogi Tujhe,
Tune Takiye Ko Bhi Baahon Mein Chhupaya Hoga,

Puchha Hoga Jo Kisine Teri Halat Ka Sabab,
Tune Baaton Mein Usse Khoob Chhupaya Hoga...
* * * * *
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 13, 2024, 09:42:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer