Collections Of Sad Shayaries...

by Roja on September 02, 2009, 02:50:55 PM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13
ReplyPrint
Author  (Read 7939 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #150 on: October 26, 2009, 01:01:21 PM »
Reply with quote
chand khwabon k ata kar k ujale mujhko
kar diya waqtne duniya k hawale mujhko

jinko suraj bhi meri chaukhat se mila karta tha
aaj wo khairaat main dete hain ujaale mujhko

main hoon kamzor magar itna bhi kamzor nahi
toot jaye na kahin todne wale mujhko

aur bhi log mere saath safar karte hain
kar na dena kisi manzil k hawale mujhko

ye meri qabr mera aakhiri maskan hai naeem
kis main dam hai jo mere ghar se nikaale mujhko


Is Is Ghazal Ka Main To Dewaana Hogaya, Thankx For Sharing,.
Logged
Roja
Guest
«Reply #151 on: November 02, 2009, 02:43:08 AM »
Reply with quote
Is Is Ghazal Ka Main To Dewaana Hogaya, Thankx For Sharing,.

Bahut bahut thanks dear for reading my collections.
Logged
Roja
Guest
«Reply #152 on: November 02, 2009, 02:50:05 AM »
Reply with quote
Yun rah-eewafa ki saleeb per do qadam uterne ka shukriya
Bada khatin tha yeh rasta tere laut janey ka shukriya

Hai zamane bher ki rasam jo tune nibhayi hai
Sitamger mujhe is terah bhool jane ka shukriya

Ab to tujhe hamara chehra bhi gawara nahi
Hamein yu sar-e-bazam dekh ker tera munh chupane ka shukriya

Mera aaj ka haal dekh ker tere hont phir se khil uthe hai
Mujhe iska bilkul gham nahi tera muskurane ka shukriya
tearyeyed
Logged
pandit
Guest
«Reply #153 on: November 02, 2009, 02:52:59 AM »
Reply with quote
wow..
kya baat hai roja jee..
Logged
Roja
Guest
«Reply #154 on: November 02, 2009, 03:06:13 AM »
Reply with quote
wow..
kya baat hai roja jee..

Ahaaaa... Hamara Pandit ji wapis aagaye  hello2 hello2
Thanks ji and missed you a lot. Kaise ho
?
Logged
malli
Guest
«Reply #155 on: February 07, 2010, 09:00:48 AM »
Reply with quote
Hum thode nadan hai,
thode se hai natkhat,
kya muje apnaoge....?

chupkese rote rahete hai,
sabke samne to haste hai,
kya muje apnaoge....?

chillaye to ruth jayenge,
pyaar se hum maan jayenge,
kya muje apnaoge....?
Logged
malli
Guest
«Reply #156 on: February 07, 2010, 09:01:44 AM »
Reply with quote
Mera nahi kuch bhi tere siwa
Meri dosti
Meri zindagi
Meri khamoshi
Meri be-basi
Mera ilm bhi
Mera naam bhi
K meri subha
Meri shaam bhi
K jo mil saken mere daam bhi
Wo sabhi kuch tujhe atta kare
Mere chara-gar tu yaqeen to ker
Mujhe mangna to na a saka
Mai ne phir bhi mangi ye hi dua
K gawahi de ga mera khuda
Mai ne jb bhi us se talab kiya
Nahin manga kuch bhi
"TERE SIWA"
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #157 on: February 07, 2010, 09:07:33 AM »
Reply with quote
awesome collection.  Clapping Smiley
Logged
malli
Guest
«Reply #158 on: February 07, 2010, 09:47:54 AM »
Reply with quote
awesome collection.  Clapping Smiley

Thanks dear
Logged
malli
Guest
«Reply #159 on: February 07, 2010, 09:48:51 AM »
Reply with quote
Tum Mujhay
AL-Wida Nahi Kehna

Tum Se Naata Hay Yun Wafaon Ka
Jaisay Khushbu Se Hay Hawaon Ka

Jaisay Honton Se Hai Duaon Ka
Jaisay Rishta Hai Dhoop Chaon Ka

Jaisay Jismoon Se Aatmaoon Ka
Jaisay Poja Se Devtaon Ka

Saray Bandhan Na Tor k Jana
Ab Tere Bin Mujy Nahi Rehna

Tum Mujhay
AL-Wida Nahi Kehna
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 2 hours and 38 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #160 on: February 07, 2010, 11:01:37 AM »
Reply with quote
Bahut Khub

Hum Bhi Kuch Share Kiye Dete Hain...


[Khuun me.n lat-pat ho gaye saaye bhii ashjaar ke
kitane gehare vaar the Khushbuu kii talvaar ke

ik lambii chup ke sivaa bastii me.n kyaa rah gayaa
kab se ham par band hai.n daravaaze izhaar ke

aao uTTho kuchh kare.n saharaa kii jaanib chale.n
baiThe baiThe thak gaye saaye me.n dil_daar ke

raaste suune ho gaye diivaane ghar ko gaye
zaalim lambii raat kii taariikii se haar ke

bilkul banjar ho ga_ii dharatii dil ke dasht kii
ruKhsat kab ke ho gaye mausam saare pyaar ke


(SHAHARYAAR)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #161 on: February 07, 2010, 12:29:18 PM »
Reply with quote
Waah Kya Khoob Roja Sis,.
And Hum Dum Ji
Bohat Achchi Sharing,.

Logged
malli
Guest
«Reply #162 on: February 10, 2010, 01:51:34 PM »
Reply with quote
Waah Kya Khoob Roja Sis,.
And Hum Dum Ji
Bohat Achchi Sharing,.



Thank you Azeem dear
Logged
malli
Guest
«Reply #163 on: February 10, 2010, 01:52:12 PM »
Reply with quote
Bahut Khub

Hum Bhi Kuch Share Kiye Dete Hain...


[Khuun me.n lat-pat ho gaye saaye bhii ashjaar ke
kitane gehare vaar the Khushbuu kii talvaar ke

ik lambii chup ke sivaa bastii me.n kyaa rah gayaa
kab se ham par band hai.n daravaaze izhaar ke

aao uTTho kuchh kare.n saharaa kii jaanib chale.n
baiThe baiThe thak gaye saaye me.n dil_daar ke

raaste suune ho gaye diivaane ghar ko gaye
zaalim lambii raat kii taariikii se haar ke

bilkul banjar ho ga_ii dharatii dil ke dasht kii
ruKhsat kab ke ho gaye mausam saare pyaar ke


(SHAHARYAAR)


Lajawaab.... Applause Wonderful sharing ji
Logged
malli
Guest
«Reply #164 on: February 10, 2010, 01:53:39 PM »
Reply with quote
Tere pyar mein ye dil roya bhut hai,

Paya kuch bhi nahi per Khoya bhut hai ...

Aksar naseeb jaagtey dekha hai sabka,

Muqaddar mera kyu Soya bhut hai ..

Aainey mein khud ko na pehchaan saka,

Log kehte hai mere Gumm ne mujhe Dhoya bhut hai...

Shayad isey peekar rahat milegi,

Ye soch khud ko Duboya bhut hai..

Aansuon se ye dard shayad kum ho jayega,

Ye soch kar Daaman Bigoya bhut hai ....

Haan tere Ishq mein ye dil Roya bhut hai.....
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 03:01:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer