Collections Of Sad Shayaries...

by Roja on September 02, 2009, 02:50:55 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 7857 times)
Roja
Guest
Reply with quote
Yaa mere zahan se yaado.n ke diye gul kar do
mere ehasaas kii duniyaa ko miTaa do ham-dam
raat taare nahii.n a.ngaare liye aatii hai
in barasate huye sholo.n ko bujhaa do ham-dam
dil kii dha.Dakan ko sulaa jaao bahut tanahaa huu.N

a.Ndherii raat me.n jab chaa.Nd khilane lagataa hai
tumhaare pyaar ke diipak jalaake rotaa huu.N
tumhaare aane kii jab aas jaane lagatii hai
mai.n in chiraaGo.n ko Khud hii bujhaa ke rotaa huu.N
zindagii aisii miTaa jao bahut tanahaa huu.N

sochate sochate jab soch bhii mar jaatii hai
vaqt ke qadamo.n kii aahaT ko sunaa karataa huu.N
ashk thamate hai.n to aaho.n kaa dhuaa.N uThataa hai
raat bhar yuu.N hii ta.Dapataa huu.N jalaa karataa huu.N
baar-e-Gam kuchh to ghaTaa jaao bahut tanahaa huu.N
Logged
Roja
Guest
«Reply #1 on: September 02, 2009, 02:53:44 PM »
Reply with quote
Ai maut! unhe.n bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye

O jaane vaale aa ki tere intazaar me.n
raste ko ghar banaaye zamaane guzar gaye

Gam hai na ab Khushii hai na ummiid hai na yaas
sab se najaat paaye zamaane guzar gaye

Kyaa laayaq-e-sitam bhii nahii.n ab mai.n dosto.n
patthar bhii ghar me.n aaye zamaane guzar gaye

Jaane bahaar phuul nahii.n aadamii huu.N mai.n
aa jaa ki muskuraaye zamaane guzar gaye

Kyaa kyaa tavaqqo_at thii aaho.n se ai 'Khumar'
ye tiir bhii chalaaye zamaane guzar gaye
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: September 02, 2009, 02:57:05 PM »
Reply with quote
Zara si raat dhal jaye to shayad neend aa jaye
Zara sa dil behal jaye to shayad neend aa jaye

Abhi to qurb hai bechani hai aur beqarari hai
Tabiyat kuch sambhal jaye to shayad neend aa jaye

Abhi to naram jhonkon mein chupe hain teer yaadon ke
Hawa ka rukh badal jaye to shayad neend aa jaye

Ye hansta muskurata qafla chand aur taaron ka
Zara aagy nikal jaye to shayad neend aa jaye

Ye toofan ansuon ka jo ubhar aaya hai palkon tak
Kisi surat se tal jaye to shayad neend aa jaye......
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: September 02, 2009, 02:58:28 PM »
Reply with quote
Gamon Ko Mujhse Ek Chahat Si Ho Gayi Hai,
Main Udaas Nahi, Udaas Rehne Ki Aadat Si Ho Gayi Hai,

Ye Kaisa Wakt Aya Hai Ke Subah Bhi So Gayi Hai,
Kudrat Se Shayad Roshni Hi Kho Gayi Hia,

Jane Kyon Wo Mujhse Ajnabi Sa Ho Gaya Hai,
Lagta Hai Aisa Ke Phoolon Se Khushbu Hi Kho Gayi Hia,

Ye Kaisi Hawa Mere JisM Ko Chhu Gayi Hai,
Ukhdi Ukhdi Saans Bhi Be-Rubt Ho Gayi Hai,

Kyon Zindagi Ki Raat Itni Taweel Ho Gayi Hai,
Mujhse Shayad Pyar Ki Bhool Ho Gayi Hai,

Ab To Duniya Bahut Khush Ho Gayi Hai,
Saans To Chal Rahi Hai Lekin Rooh Saath Chhod Gayi Hia
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: September 02, 2009, 03:00:24 PM »
Reply with quote

Khuli jo aankhen to wo tha na wo jamana tha,
Dehekti aag thi, tanhai thi, fasana tha,

Ghumon ne baant liya yunmujhe aa-pas me,
Ki jaise mai koi loota hua khajana tha,

Ye kya ki chand kadmo me hi thak ke baith gaye,
Tumhe to saath mera door tak nibhana tha,

Mujhe jo mere lahoo me doobo ke gujra hai,
Wo koi gair nahi yaar ek purana tha,

Khud apne haath se usko khat diya,
Ki jis darakht ki tehni pe apna aashiyana tha.
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: September 02, 2009, 03:01:53 PM »
Reply with quote
Chahat ka ek meetha meetha dard jagaane shaam dhale
Teri yaadein aa jaati hain mujhko rulaane shaam dhale

Teri zulfein in kaandhon par tera chehra haathon mein
Maine bhi dekhe hain kitne khwaab suhaane shaam dhale

Har din humse waada karke yun hi agar tadpaoge
Ek din yun hi ho jayenge hum bhi deewane shaam dhale

Din ke ujale mein to mana lun laakh yatan se bahla lun
Lekin dil ka pagal panchhi ek na maane shaam dhale
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: September 02, 2009, 03:04:01 PM »
Reply with quote
kuch udaas kuch khamosh
kuch bebas see lakeerien merey
haath ki?

Dhoondti Rehti hoon aksar in Lakeeron main
Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hey
Kuch dil bhi janta hey

Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane kion dhondti Rehti hoon
Aksar ek lakeer tere naam ki
Aik lakeer
terey naam ki...
Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko

Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko

Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein,
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko

Vaada Utna Hi Karo Jitna nibha Saktay Ho,
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko

Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko.
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: September 02, 2009, 03:07:22 PM »
Reply with quote
Zindagi ne kis jagah sataya hame nahi
Kis mod pe be wajah rulaya hame nahi

Kis maan pe kare kisi ka aitbaar
Kabhi pyar se gale lagaya hame nahi

Sote rahe khwab e ghaflat me umer bhar
Kisi ne ek baar jagaya hame nahi

Bhatakte rahe hum manzil k aas paas
Rasta kisi ne bataya hame nahi
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: September 02, 2009, 03:12:49 PM »
Reply with quote
Aagar Bhigne Ka Intna Hi Shaukh Hai Barish Mein,
Too Zara Dekh in Ankhoo Mein

Baarish to har ek ke liye Barasti hai,
Lekin Yeh Ankhen Sirf Tumhare Liye Baraste Hain.

Aise Barsaat main.......Teri Yaad Aati Hai Bahut,
Hawaon ke Jhonke Mein...Tu Tarpati Hai Bahut,

Har Bund Pe Jaise...Teri Hi Khushboo Basi Hai,
Barish Ke.. is Mausam Mein Tu Ssatati Hai Bahut.

Ae Barish Zara Tham Ke Baras,
Jab Mera Yaar Aa Jaye To Jum Ke Baras.

Pehle Na Baras Ki Woh Aa Na Sake,
Phir Itna Baras Ki Woh Ja Na Sake
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: September 02, 2009, 03:16:19 PM »
Reply with quote
Kashti mei bitha kar humko,
Woh bhi kinara kar gaye,

Dhoop mei jala kar humko
Aag ka sahara kar gaye,

Hum mangtey rahe khuda se,
Unke jis gunah k liye maafi,

Dekar muskurane ki saza humko,
Woh gunah dobara kar gaye
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: September 02, 2009, 03:19:59 PM »
Reply with quote
WO dhalti sham thi wo nadi ka kinara tha....
Janha hum mil kar karte thye pyar ki baate kabhi......

Ek din tumne kaha tha mera hath apne hath mai le kar
Kabhi na bichdenge ek dusre ke ho ke rahenge hum

Tum hi ne kaha tha tum zindgi ho humari
Ye jism hai khuda ka ghar aur sanse aur jaan hai tumhari

Ye sun kar humari ankho se ashq to bahe par
Gumne apne garam haatho se tham liye thye

Aaj fir meri ankho mai ansu hai mere humsafar
Wo hi haath jo ansu na bhane dete thye

Aaj vahi tere garam haath kitne shard ho gaye hai
Aaj vahi haath jo hamesa dusro ke liye uthte thye

Aaj ussi ko uthane ke liye dusre haatho ki jarurat ho gayi
ZINDGI KITNI BAHERNUMA HO GAYI......

WO GAYE CHOD HUME HUM TANHA HO GAYE....... tearyeyed
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #11 on: September 02, 2009, 03:20:55 PM »
Reply with quote
Ai maut! unhe.n bhulaaye zamaane guzar gaye
aa jaa ki zahar khaaye zamaane guzar gaye


Roja behen sachh kehta hun is ghazal ko padh ke to jhoomne laga hun main, jitne ash'aar yaad the sab bhool gaya, is ke aage sab phike lagte hein, jitni tareef ki jaaye kam hai, shayad ye khumar barabankvi ki ghazal hai, zabardast!! Bemisaal!! lajawaab!! or jo kuchh tareef ke jumle ho sab is ke liye kam hai.. aap ne ek nayaab tohfa diya hai, shukriya behen... is ka har shear apni jagah mukammal hai, or har koi jo shayari ko seekhna chahta ho us ke liye ek mukammal sabaq hai.. phir se ek baar shukrya..

Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: September 02, 2009, 03:26:18 PM »
Reply with quote
Roja behen sachh kehta hun is ghazal ko padh ke to jhoomne laga hun main, jitne ash'aar yaad the sab bhool gaya, is ke aage sab phike lagte hein, jitni tareef ki jaaye kam hai, shayad ye khumar barabankvi ki ghazal hai, zabardast!! Bemisaal!! lajawaab!! or jo kuchh tareef ke jumle ho sab is ke liye kam hai.. aap ne ek nayaab tohfa diya hai, shukriya behen... is ka har shear apni jagah mukammal hai, or har koi jo shayari ko seekhna chahta ho us ke liye ek mukammal sabaq hai.. phir se ek baar shukrya..



Bahut bahut shukriya bhaiya... Aapne pada aur itna tarif kiya.
Haan yeh Ghazal bemisaal hai. Likhne wale ka naam nahi pata tha.
Thank you very much bhaiya
 
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: September 02, 2009, 03:28:08 PM »
Reply with quote

Meri chahat tha wo meri ana bhi tha,
Mere khamosh lehjon ki wo ik sada bi tha,

Rehta tha subh-o-sham wo mere wajod mein,
Meri awaaz mera lehja wo meri ada bi tha,

Deta tha mujhko zakham wo be-hisab magar,
Hamdard bi tha mera wo meri wafa bi tha,

Ab us ke zikr per aksar mai khamosh rehti hu,
Kabhi meri muhabbat ki wo intaha bi tha


Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: September 02, 2009, 03:31:11 PM »
Reply with quote
Jis Ne Dekha Hi Na Ho Rang E Mohabbat
Uski Aankh Main Khawabon Ko Sajaon Bhi To Kaise?

Maloom Hai Din Raat Wo Rota Hai Musalsal
Par Door Se Ashkoon Ko Churaon Bi To Kaise?

Larti Hai To Har Bat Pe Urr Jati Hai Yunhi
Pagli Hai Bari Usko Manaon Bi To Kaise?

Kehti Hai K Din Raat Muje Toot K Chaho
Bolo Naa! Usse Toot K Chahon Bi To Kaise?

Jis Aas Ne Tora Ho Meri Soch Ka Sheesha
Us Aas Se Phir Aas Lagaon Bi To Kaise?
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 06:26:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer