Collections Of Sad Shayaries...

by Roja on September 02, 2009, 02:50:55 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 7947 times)
Roja
Guest
«Reply #30 on: September 05, 2009, 04:20:39 PM »
Reply with quote
Arre Suno

Abhi tum ishq mat karna
Abhi matti se khelo tum

Tumhari umar hi kya hai
Abhi to masoom ho tum

Nahi maloom abhi tum ko
Ke jab yeh ishq hota hai

To insaan kitna rota hai
Sitarey toot jaatey hai

Sahare choot jaatey hai
Abhi tum ne nahi dekha

Ke jab saathi bichertey hai
To kitna dard milta hai

Ke her furqat k mausam mein
Hazaron gham ubhertey hai

Hazaron zakham miltey hai

 sad7
Logged
Roja
Guest
«Reply #31 on: September 05, 2009, 04:22:38 PM »
Reply with quote
Yun na Mujh ko dekh Tera Dil pighal na jaye
Mere Aansuo se Tera Daman jal na jaye

Wo Mujh se phir mila hai Aaj Khawabon mai
Ae Khudaya kahin Meri Neend khul na jaye

Pucha na ker sab ke Samne Meri Kahani
Kabhi Tera Naam Hoton se nikal na jaye

Ji-Bhar ke dekh lo Hum ko Tum Sanam
Kya pata phir Zindagi ki Shaam dhal na jaaye

Yun na Mujh ko dekh Tera Dil pighal na jaye
Mere Aansuo se Tera Daman jal na jaye
Logged
Roja
Guest
«Reply #32 on: September 05, 2009, 04:26:54 PM »
Reply with quote
Tere qareeb rahun yaa ki door jaaun mai
Hai dil ka ek hi aalam tujhi ko chaahun mai

Mai janti hu wo rakhta hai chahatein kitni
Magar ye baat usse kis tarah bataun mai

Jo chup raha toh samjhega badgumaan mujhe
Bura bhala hi sahi kuch toh bol aaun mai

Phir iss ke baad ta'alluq mein faasle honge
Mujhe sambhaal ke rakhna bichhad na jaun mai

Mohabbaton ki parakh ka yahi toh raasta hai
Teri talaash mein nikalun tujhe na paun mai
Logged
Roja
Guest
«Reply #33 on: September 05, 2009, 04:28:42 PM »
Reply with quote
Apna gham bhool gaye teri jafaa bhool gaye.
Ham to har baat muhabbat ke siva bhool gaye..

Ham akele hi nahi pyar ke deewaane sanam.
Aap bhi nazare jhukane ki adaa bhl gaye..

Ab to socha hai ke daaman hi tera thaamenge.
Haath jab hamane uthaaye hain dua bhool gaye..

Shukr samajho ya ise apani shikayat samajho.
Tum ne vo dard diya hai ke dawa bhool gaye..
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #34 on: September 05, 2009, 04:30:24 PM »
Reply with quote
wah wah wah ..ROJA ji.. wah wah what superb collections ... great..


jasbir singh
Logged
Roja
Guest
«Reply #35 on: September 05, 2009, 04:33:08 PM »
Reply with quote
Iss mein koi shiqwa naa shiqayat naa gila hai
Ye bhi koi khat hai ki mohabbat se bhara hai

Kya yaad dilayenge mujhe mere sitamgar
Her naqsh-e-sitam khud mere seene pe likha hai

Mujh ko meri aawaz sunayi nahin deti
Kaisa ye mere jism mein ek shor macha hai

Chehre mein hai aaina ki aaine mein chehra
Maloom nahi kaun kise dekh raha hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #36 on: September 05, 2009, 04:33:43 PM »
Reply with quote
wah wah wah ..ROJA ji.. wah wah what superb collections ... great..


jasbir singh

Thank you very much Jas ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #37 on: September 05, 2009, 04:34:30 PM »
Reply with quote
Thank you very much Jas ji


oh welcome ji... tusi lagey raho sohniyoh..... keep posting ..

jasbir singh
Logged
Roja
Guest
«Reply #38 on: September 05, 2009, 04:37:04 PM »
Reply with quote

Tere pyaar meN ruswaa hokar jaayeN kahaaN diivane log
jaane kyaa kyaa puuchh rahe haiN yeh jaane pahchaane log

Her lamhaa ehsaas ki sahbaa ruuh meN Dhaltii jaatii hai
Ziist ka nasha kuchh kam ho to ho aayeN maikhaane log

Jaise tumheN hamne chaahaa hai kaun bhalaa yuuN chaahegaa
Manaa aur bohat aayenge tumse pyaar jataane log

Aage piichhe daayeN baayeN saaye se lahraate haiN
Dunyaa bhii to dasht-e-balaa hai ham hii nahiiN diivaane log

Kal maatam be-qiimat hogaa, aaj inkii tauqiir karo
Dekho khuun-e-jigar se kyaa kyaa likhte haiN afsaane log.
Logged
Roja
Guest
«Reply #39 on: September 05, 2009, 04:39:21 PM »
Reply with quote
Dil Lagi thi UsSay Hum Se Muhabbat Kab Thi
Mehfil-E-Gair Se Us Ko Fursaat Kab Thi

Hum Thay Muhabbat Main luTt Jane Ke QaAil
Us Ke Waadu'N Main Who Haqiqat Kab Thi

Who Waqt Guzari Ke Liye Karta Tha Piyar Ki Bate'N
Warna Meri Khatir UsKe Dil Main Chahat Kab Thi

Buhat Roka Lekin Nikal AaTe Hain Kam-Bakht Aa'NSu
Bazm-e-Yaara'N Main Magar Rone Ki Ijazat Kab Thi

KhudAa Jane Kis Ki Yaad Main Hoya Hai Who Behaal
Meray Ishq Main Us Ki Aesii HalAat Kab Thi
Logged
SARVESH RASTOGI
Guest
«Reply #40 on: September 05, 2009, 04:39:49 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Roja Ji
Kamaal ki sharing hai ye
Bahut bahut shukriya itni khubsurat mehfil sajane ka
Logged
Roja
Guest
«Reply #41 on: September 05, 2009, 04:48:10 PM »
Reply with quote
Hum tere sheher me aaye hai musafir ki tarah
sirf ek baar mulaqat ka mouka de de

Meri manzil hai kahan, mera thikana hai kahan
Subah tak tujhse bicharkar mujhe jaana hai kahan
Sochne ke liye ek raat ka mouka de de

Apni ankhon me chupa rakha hai jugnon maine
Apni palkon pe saja rakha hai aansu maine
Meri aankhon ko bhi barsaat ka mouka de de

Aaj ki raat mera dard mohabbat sun le
Kapkapate hue honton ki shikayat sun le
Aaj is haar khayalaat ka mouka de de

Bhoolna tha toh ye ikraar kiya hi kyon tha?
Bewafa tu ne mujhe pyar kiya hi kyon tha?
Sirf do char sawaalaat ka mouka de de
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #42 on: September 05, 2009, 04:53:21 PM »
Reply with quote
wah wah wah roja ji... wah wah


jasbir singh
Logged
Roja
Guest
«Reply #43 on: September 05, 2009, 04:56:20 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Roja Ji
Kamaal ki sharing hai ye
Bahut bahut shukriya itni khubsurat mehfil sajane ka

Bahut bahut shukriya Sarvesh Rastogi ji. Yahan jo share kiya hai sab nazm and ghazals mere dil k bahut kareeb hai. Thank you once again  Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #44 on: September 05, 2009, 04:57:49 PM »
Reply with quote
wah wah wah roja ji... wah wah


jasbir singh

Thanks thanks thanks... Thank you very very much Jas ji notworthy
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 09:46:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.16 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer