Collections Of Sad Shayaries...

by Roja on September 02, 2009, 02:50:55 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 7949 times)
Roja
Guest
«Reply #60 on: September 07, 2009, 02:02:05 PM »
Reply with quote
Sir jhukaney ki aadat nahi rahi
Ansoo bahaney ki aadat nahi rahi

Hum kho gaye to pachtao gay bohat
Hamari laut ke aaney ki aadat nahi rahi

Tere dar pe mohabbat ke sawali ban jatey
Lekin hath phelaney ki aadat nahi rahi

Teri yaadein humko aziz hain bohat
Magar waqt ganwaney ki aadat nahi rahi

Tum sakhat dil nikley kya gilla karein hum
Shikwa-e-dil lab pe laney ki aadat nahi rahi

Bad'dua bhi kya karein haq mein tumhare
Humein to dil bhi dukhaney ki aadat nahi rahi
Logged
Roja
Guest
«Reply #61 on: September 09, 2009, 12:43:48 AM »
Reply with quote
Yun to saari sanse teri hi inayat hain magar,
E khuda tere khazane me mera kuchh bhi nahi !

Tune khush ho kar lakiren khiich di iss hath me,
Mere hathon me lakiiron ke siva kuchh bhi nahi !

Kya karun tujhse shikayat kya gila tera karun,
Mere lab pe ab to aahon ke siva kuchh bhi nahi !

Bheja tha tune farishte khusiyan dene mere ghar,
Chithda tha daman mera isme raha kuchh bhi nahi !

Tune to dii raonken, khusboo, nazare aur gul,
Meri aankhon me askon ke siva kuchh bhi nahi !

Jab bhi dekha maa ki gilee aankh ko haste huye,
Yad ki sab teri rahmat aur kaha kuchh bhi nahi !

Ho rahega faisala jis diin mujhe mil jayega,
Zid hai meri loonga sab tujhse wgarna kuchh bhi nahi !!
Logged
Roja
Guest
«Reply #62 on: September 09, 2009, 12:51:41 AM »
Reply with quote
chhupaaye dil main Gamon kaa jahaan baiThe hain
tumhaarii bazm main ham bezabaan baiThe hain

ye aur baat ki manzil pe ham pahuNch na sake
magar ye kam hai ki raahon ko chhaan baiThe hain

fuGaaN hai dard hai soz-o-firaaq-o-daaG-e-alam
abhii to ghar main bahut meharabaan baiThe hain

ab aur gardish-e-taqadiir kyaa sataayegii
luTaa ke ishq me.n naam-o-nishaan baiThe hain

vo ek lafz-e-mohabbat hii dil kaa dushman hai
jise shariat-e-ehasaas maan baiThe hain

hai maikadon kii bahaaro.n se dostii 'EHSSAS'
baraaye had-e-yaqiin-o-gumaan baiThe hain
Logged
Roja
Guest
«Reply #63 on: September 09, 2009, 12:52:25 AM »
Reply with quote
chup rahe hum jo koi tou wajah rahi hogi
khamoshion ko tarashe dildar aisa na hua

aksar utha sailab dil mei dafn ehsason ki
bas suna saku use wohi fursat ata na hua

dil ko behlate sehlate mana hi lete hai akhir
kabhi wo bhi dete tasalli naseeb aisa na hua

bedar shab mere khauf liye jagti har saher
subha wo bol chalein insaaf unke sath na hua

tarazu-e-waqt mei laga daao zindegi aur maut meri
hai nazuk kitna ye zulmat-e-mukaam ehsaas use na hua

kal hosh jab ayein unhe tou der na ho jaye kahi
zindegi ak bar jo age nikle dobara uska lautna na hua
Logged
Roja
Guest
«Reply #64 on: September 09, 2009, 01:16:04 AM »
Reply with quote
Kabhi Na Aaye Wo Mere Saath Chal Ke,
Hamesha Gaye Mujhe Naraz Kar Ke,
Meri Maut Per Agar Wo Aayen To Keh Dena Unsey,
Abhi Abhi Soye Hai Wo Tumh Yaad Kar Ke..
Logged
Roja
Guest
«Reply #65 on: September 09, 2009, 01:17:28 AM »
Reply with quote
Jab naam tera pyar se likhti hain ungaliyan
Meri taraf zamane ki uthti hain ungaliyan

Daaman sanam ka haath mein aaya tha ek pal
Din raat us ek pal se mahekati hain ungaliyan

Jis din se door ho gaye us din se hi sanam
bas din tumhare aane ke ginti hain ungaliyan

Patthar tarash kar na bana taj ek naya
Fankaar ki zamane mein katati hain ungaliyan
Logged
Roja
Guest
«Reply #66 on: September 09, 2009, 01:26:06 AM »
Reply with quote
Wo aakhri Shaam..!

Yaad rakhna..

Teri nigahon se jab

Mein apni nigahen choraye palat raha tha!!!!

TO

Tum ne kuch bhi nahi kaha tha

MAGAR!

Hawa mein nami

Achanak hi barh gayi thiWo aakhri Shaam..!

Logged
Roja
Guest
«Reply #67 on: September 09, 2009, 01:50:45 PM »
Reply with quote
Mujhe matti k ghar banany ka shoq tha
Usay ashiyanay girrany ka shoq tha

Mai khud ussay rooth jati hun aksar
Iss liye mujhe roothy huway log manane ka shoq tha

Ussy wadoon ki pas-darri pasand nahi tha lekin
Mujhe wadein nobhany ka shoq tha

Mai masroof thi tanhioon ki talash mein
Usse logon sey milne millane ka shoq tha

Wo bewafa tha iss mein khairat ki kya baat hai
Mujhe bi bewafa se dil laganey ka shouq bohut tha

Logged
Roja
Guest
«Reply #68 on: September 09, 2009, 01:55:40 PM »
Reply with quote
Yu lagta hai kuch honay wala hai
Ye dil koyi dost khonay wala hai

Dil ne kaha tu bohat hasta hai
Daman ko ashkoon se bhiganay wala hai

To kyu jaag raha hai ab tak pagal
Woh to bhula ke tujh ko, soney wala hai

To ne ek din poocha tha koun ho tum?
Teri zaat ko khud mein samaney wala hai

Ab apna yeh qalam ko rok le
Ye gazal parh kar koyi roney wala hai..
Logged
Roja
Guest
«Reply #69 on: September 09, 2009, 02:04:51 PM »
Reply with quote
Ranjish hi sahii dil hii dukhaane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jaane ke liye aa

Pehle se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
Rasm-o-rahe duniyaa hii niibhaane ke liye aa

Kis kis ko bataayenge judaaii kaa sabab ham
Tuu mujh se khafaa hai to zamaane ke liye aa

Kuchh to mere pindaar-e-muhabbat ka bharam rakh
Tuu bhii to kabhii mujh ko manaane ke liye aa

Ek umar se hun lazzat-e-giriyaa se bhii mahruum
Aai raahat-e-jaan mujh ko rulaane ke liye aa

Ab tak dil-e-khushfaham ko tujh se hain ummiiden
Ye aakhrii shammen bhii bujhaane ke liye aa

Maana ki muhabbat ka chhipana hai muhabbat
Chupke se kisii roz jataane ke liye aa

Jaise tujhe aate hain na aane ke bahaane
Aise hii kisii roz na jaane ke liye aa
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #70 on: September 09, 2009, 02:10:49 PM »
Reply with quote
bahut ache roja ji... Applause Applause

Mere dil pay kisi ka raj
Kal bhi tha aur aaj bhi hai
Jitna tha pehle itna zalim
Samaj kal bhi tha aaj bhi hai

Tum yeh samjhe ho kay main
Aadi ho chuki hoon sitam ki
Halan ke mujhe uska intezaar
kal bhi tha aur aaj bhi hai

haan yeh ishq la ilaj
kal bhi tha aaj bhi hai......nm
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #71 on: September 09, 2009, 02:12:13 PM »
Reply with quote
Tanhaiyon Ke Andheron Mein
Barasta Raha Ashqon Ka Sawan,
Tere Dilki Zameen
Phir Bhi Na Hui Nam In Boondon Se......nm
Logged
Roja
Guest
«Reply #72 on: September 09, 2009, 03:00:13 PM »
Reply with quote
Thank you dear Geet and Nice ... very good sharing  icon_thumleft
Logged
Roja
Guest
«Reply #73 on: September 09, 2009, 03:01:15 PM »
Reply with quote
Wo jo dil mein tera muqaam hey,
Kisi aur ko wo diya nahin

Wo jo rishta tujh se hey ban gaya,
Kisi aur se wo bana nahin

Wo jo payar tujh se ho gaya,
Kisi aur se wo hua nahin

Wo jo raaz tujh de hey keh diya,
Kisi aur se wo kaha nahin

Wo jo sukh mila teri zaat se,
Kisi aur se wo mila nahin ! ! !
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #74 on: September 09, 2009, 04:15:56 PM »
Reply with quote
thnx roja ji..
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 11:21:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.252 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer