Kyun shaam se Aankh mein nami si hai

by Shalu RV on December 02, 2011, 04:59:34 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2464 times)
Shalu RV
Guest
Reply with quote
Kyun shaam se Aankh mein nami si hai,
Chahte hai jinke saath rehna, bas unhi ki kami si hai..

Waqt gujarta jaata hai,phir bhi unhe iljaam nahi dete,
Kyunki shayad unki yeh majboori bhi laajmi hai..
ek hum hai raahon mein unke kab se thehre, Par
Chahte hai jinke saath rehna, bas unki kami hai..

Is zindagi ne bahut dard dia, khushiyon ka bhi aana jaana raha,
Har mod pe ek naye shaks se kinara karte gaye,
Kyunki unhe diye huye vaade ka humein hamesha sahara raha,
har baar unse mile to laga ki waqt yahin thehar jaaye,
Par jab ho gaye hum do jaan- ek jism, toh waqt ka hi thikana na raha,
Jaane kyun yeh saansein sehmi si hai,
Chahte hai jinke saath rehna, bas unki kami si hai..

Shayad woh bhi samaj le ki badal toh aate hai, chale jaate hai,
Par phir bh unke aane ka ehsaas rehta hai,
akele mein jab us aasmaan ki taraf dekho,
door kahin ek taara muskurata rehta hai..
Kab se yeh dil udaas hai, ki aap hamara naam pukaare,
Par shayad hum mein hi koi kami si hai..Kyunki
Chahte hai hum "HAMESHA" jinke saath rehna,bas unki kami si hai...

Kyun shaam se aankh mein nami si hai,
Chahte hai jinke saath rehna, bas unki kami si hai..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine, by Satya.patel in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Kisi Bhi Aankh Mein Nami Nahi Hogi. by majid in Shayri-E-Dard
Aankhon Mein Aaj Ek Nami Si Lagti Hai....... by khwahish in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ankhon Mein Nami Aaj Bhi Hai by ali_nadan in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Na Ankhon Mein Nami Ho by riyaz106 in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3  All »
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: December 02, 2011, 07:04:09 AM »
Reply with quote
Kyun shaam se Aankh mein nami si hai,
Chahte hai jinke saath rehna, bas unhi ki kami si hai..

Waqt gujarta jaata hai,phir bhi unhe iljaam nahi dete,
Kyunki shayad unki yeh majboori bhi laajmi hai..
ek hum hai raahon mein unke kab se thehre, Par
Chahte hai jinke saath rehna, bas unki kami hai..

Is zindagi ne bahut dard dia, khushiyon ka bhi aana jaana raha,
Har mod pe ek naye shaks se kinara karte gaye,
Kyunki unhe diye huye vaade ka humein hamesha sahara raha,
har baar unse mile to laga ki waqt yahin thehar jaaye,
Par jab ho gaye hum do jaan- ek jism, toh waqt ka hi thikana na raha,
Jaane kyun yeh saansein sehmi si hai,
Chahte hai jinke saath rehna, bas unki kami si hai..

Shayad woh bhi samaj le ki badal toh aate hai, chale jaate hai,
Par phir bh unke aane ka ehsaas rehta hai,
akele mein jab us aasmaan ki taraf dekho,
door kahin ek taara muskurata rehta hai..
Kab se yeh dil udaas hai, ki aap hamara naam pukaare,
Par shayad hum mein hi koi kami si hai..Kyunki
Chahte hai hum "HAMESHA" jinke saath rehna,bas unki kami si hai...

Kyun shaam se aankh mein nami si hai,
Chahte hai jinke saath rehna, bas unki kami si hai..


Bahut Khooob!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
RAAJA1234
Guest
«Reply #2 on: December 02, 2011, 07:38:45 AM »
Reply with quote
Bahut sundar
Logged
Shalu RV
Guest
«Reply #3 on: December 02, 2011, 09:47:44 AM »
Reply with quote
Shukriya.. Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: December 02, 2011, 06:21:49 PM »
Reply with quote
Aadaab S RV jee !

Achche ahsaas O khayaal bayaaN kiye hai aapne.. Usual Smile
KhayaaloN ko lafz dene ki aapki koshish achchi
rahi... Usual Smile

Humari daad kabul kijiye.. Likhate rahiye.. Nikhaar
aata raheNga Usual Smile

Aate rahiye.. Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile         

Logged
Sarang Arman
Guest
«Reply #5 on: February 08, 2013, 08:38:19 AM »
Reply with quote
Na he ibteda pay udaas hon,

na he inteha pay malaal hay,

Bina wasl kaisay guzer gaie?

mera zindagi say sawaal hay,
 
Tujhay poojnay main guzaar dein,

main nay sadiyan lail-o-nahar ke

Teray ishq say bandhi hay jo,

meri chah laa zawaal hay,


Meri chahaton say baikhaber,

tou waadiyun main khhoo gaya,

Teri yaad ka ik qaafla,

meri zaat main badhaal hay,

Kaie uljhanoN say sujee hoe,

meri zindagi ke lakeer main,

Kehin qarbay mazi-o-hal,

hay kehin moj-e-dard-e-wisaal hay,

Kabhi khawhishon ke talab mujhay,

kabhi baiyaqeeni ka dar mujhay,

Mera nafs jis simt bhe chalay,

wohi rusta mera zawaal hay,

Teray aks main pinhaan hon,

main teray dard say jurda hon main,

Tujhay soochna tau azeem hay,

tujhay pana kasb-e-muhaal hay,

Kehin ishq hay,

kehin nuferatain,

kehin baibasi ke udaasiyaN,

Yehi zindagi ke hain raahatain,

yehi zindagi ka wabaal hay,

Kisay dil say shaukat juda krain?

kisay dil main apnay panah dain?

Issi kashmakash main jeeye chalo,

yehi bandage ka Jamaal hay.........................
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 07:53:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 27 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer