Mujh se juda na ho jana

by ehsaas chahat ka on November 16, 2009, 08:14:23 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1157 times)
ehsaas chahat ka
Guest
Reply with quote
woh kehta tha mujh ko toh har rang hi acha lagta hai
mein kehti thi itne rangon mein kho jaoge


woh kehta tha mujh ko toh izhar-e-mohabbat karna hai
mein kehti thi itni mohabbat kaise tum de paoge?

woh kehta tha tere bin ab jeena mushkil lagta hai
mein kehti thi mushkil ko tum kaise hal kar paoge?

woh kehta tha kuch bhi ho tum mujh se juda na ho jana
mein kehti thi kaise tum iss duniya ko samjhaoge?

ab kehta hai mujh ko toh rang dekhne ki fursat hi nahi
mein kehti hoon mujh ko toh har rang hi acha lagta hai

woh kehta hai iss duniya mein mohabbat naam ki cheez nahi
mein kehti hoon mujh ko toh izhar-e-mohabbat karna hai

woh kehta hai mushkil toh katt hi jati hai waqt ke saath
mein kehti hoon tere bin ab jeena mushkil lagta hai

woh kehta hai doori se toh pyar mein shiddat aati hai
mein kehti hoon kuch bhi ho tum mujh se juda na ho jana
__________________NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mujh ko paana hai to phir mujh main utar kar dekho by Dewana_Badal in Shayri-E-Dard
Juda by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tum mujh chor kar na jana kabhi(personal) by muneeb in Shayri for Khumar -e- Ishq
mujhse dur na jana o jana. . . by tinda in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mujh Se Juda Ho Gaye! by Shireen Hakani in Shayri for Dard -e- Judai
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: November 17, 2009, 05:26:29 AM »
Reply with quote
Nice Sharing Ehsaas JI
Logged
ehsaas chahat ka
Guest
«Reply #2 on: November 17, 2009, 07:39:01 AM »
Reply with quote
thanx
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: November 20, 2009, 11:55:01 AM »
Reply with quote
Behtareen shayari hai, dil ko chhu gai. Dard ki shiddat bhi isme hai aur uska ilaaj bhi. Wah Wah, jo is poem ke bare mein soch raha hun use likhne ke liye lafz nahin hain. Be happy and keep writing such poems/ghazals/nazm. Thanks
Logged
ehsaas chahat ka
Guest
«Reply #4 on: November 27, 2009, 07:26:36 PM »
Reply with quote
pasand karne ke liye shukriya riyaz ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:52:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer