My Favorite Poetries

by khushi4pari on December 07, 2009, 05:59:55 PM
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 16
ReplyPrint
Author  (Read 11940 times)
khushi4pari
Guest
«Reply #105 on: January 19, 2010, 03:24:36 PM »
Reply with quote
Zara Udass Hoon Lekin Zara Masroor Bhi Hoon
Tumharay Pas Hoon Shayad,Shayad Door Bhi Hoon

Yon Pathrilay Raston Pay Chalna Shauq Nahi Mera
Kuch Maamla Chahat Ka Hai Kuch Majboor Bhi Hoon

Muhabbat Ho Gai Tum Se Bus Itni Hai Khata Meri
Mana Ke Mujrim Hoon Magar Beqasoor Bhi Hoon

(--NM--)

Wowwwwww awsome very touchy thxx for sharing...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #106 on: January 19, 2010, 06:38:06 PM »
Reply with quote
Raah-e-talab me.n kaun kisii kaa apane bhii begaane hai.n -----Asrar Narvi

Raah-e-talab me.n kaun kisii kaa apane bhii begaane hai.n
chaa.Nd se mukha.De rashk-e-Gizaalaa sab jaane pahachaane hai.n

tanhaa_ii hii tanhaa_ii hai kaise kahe.n kaise samajhaaye.n
chashm-o-lab-o-ruKhsaar kii tah me.n ruuho.n ke viiraane hai.n

uff ye talaash-e-husn-o-haqiiqat kis jaa Thahare jaaye kahaa.N
sahan-e-chaman me.n phuul khile hai.n saharaa me.n diivaane hai.n

dil aaKhir thak haar ke yaaro.n ham ne bhii tasliim kiyaa
apanii zaat se ishq hai sachchaa baaqii sab afasaane hai.n
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #107 on: January 19, 2010, 06:42:42 PM »
Reply with quote
Lagataa nahii.n hai jii meraa uja.De dayaar me.n
Bahadur Shah Zafar

Lagataa nahii.n hai jii meraa uja.De dayaar me.n
kis kii banii hai aalam-e-naa_paayedaar me.n

ham ko hai baaG_baa.N se na sayyaad se gilaa
qismat me.n qaid thii likhii fasl-e-bahaar me.n

kah do in hasarato.n se kahii.n aur jaa base.n
itanii jagah kahaa.N hai dil-e-daaG_daar me.n

umr-e-daraaz maa.Ng kar laaye the chaar din
do aarazuu me.n kaT gaye do intazaar me.n

kitanaa hai badanasiib 'Zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n

Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #108 on: January 19, 2010, 07:43:24 PM »
Reply with quote
Wah koyal ji bohat khooooob thxxx for sharing... Applause Applause Applause
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #109 on: January 20, 2010, 10:46:58 AM »
Reply with quote
Khushi-di aap tarriff karti hain tou Achchha Lagta hai.....
Phir aur share nahi karu tou Achcha Nahi Lagta

Kisi Se Baat Karna Bolna Achchha Nahi Lagta
Tujhe Dekha Hai Jab Se Dusra Achchha Nahi Lagta
Teri Ankhon Me Jab Se Mai Ne Apna Aks Dekha Hai
Mere Chahre Ko Koi Aaina Achchha Nahi Lagta
Yahan Ahle Muhabbat Omr Bhar Barbad Rahte Hain
Ye Dariya Hai Ise Kachcha Ghada Achchha Nahi Lagta
Tere Bare Me Din Bhar Sounchti Raheti Hoon Laikin
Tere Baare Me Sab Se Puchhna Achchha Nahi Lagta
Mai Ab Chahat Ki Us Manzil Pe Aa Pohnchi Hu Rehana
Teri Janib Kisi Ka Dekhna Achchha Nahi Lagta

Shayara: Rehana Nawaz
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #110 on: January 20, 2010, 11:30:07 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Koyal Ji. Jawaab nahin aapki sharing ka. Aisi ghazlon, nazmo ki talash me hi hum yahan aaye hain. Aapne bhi hamare taste ko bakhoobi pehchaana hai. Bahut bahut shukriya aapka. Isi tarah sharing karti rahiye.

«Reply #111 on: January 20, 2010, 12:19:56 PM »
Reply with quote
Thanks for such encouraging words.....Riyaz-bhai

Bahut khoob Koyal Ji. Jawaab nahin aapki sharing ka. Aisi ghazlon, nazmo ki talash me hi hum yahan aaye hain. Aapne bhi hamare taste ko bakhoobi pehchaana hai. Bahut bahut shukriya aapka. Isi tarah sharing karti rahiye.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #112 on: January 21, 2010, 09:41:39 AM »
Reply with quote
Mujhey apnay zabt pey naaz tha sar-e-bazm raat ye kya hua
Meri aankh kaisey chhalak gai mujhey ranj hai ye bura hua

Humain iska koi bhi haq nahin key shreek-e-bazm-e-kholoos hoon
Na hamarey paas naqab hai na kuchh aasteen mein chupa hua

Mujhey aap kyon na samajh sakey yeh khud apnay dil se hi puchhiye
Meri daastan-e-hayaat ka to hai  warq warq khula hua

Wo chura ke nazrein guzar gaye meray samney sey abhi abhi
Yeh meray hi shehr key log thay mere ghar sey ghar hai mila hua

Kisi badnaseeb ka khat mila mujhey raastey main pada hua
Kahin khoon-e-dil sey likha hua kahin aansuon sey mita hua
(NM)
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #113 on: January 21, 2010, 10:27:17 AM »
Reply with quote
Nice sharing Riyaz-bhai....

Mujhey apnay zabt pey naaz tha sar-e-bazm raat ye kya hua
Meri aankh kaisey chhalak gai mujhey ranj hai ye bura hua

Humain iska koi bhi haq nahin key shreek-e-bazm-e-kholoos hoon
Na hamarey paas naqab hai na kuchh aasteen mein chupa hua

Mujhey aap kyon na samajh sakey yeh khud apnay dil se hi puchhiye
Meri daastan-e-hayaat ka to hai  warq warq khula hua

Wo chura ke nazrein guzar gaye meray samney sey abhi abhi
Yeh meray hi shehr key log thay mere ghar sey ghar hai mila hua

Kisi badnaseeb ka khat mila mujhey raastey main pada hua
Kahin khoon-e-dil sey likha hua kahin aansuon sey mita hua
(NM)

Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #114 on: January 21, 2010, 08:39:36 PM »
Reply with quote
Khushi-di aap tarriff karti hain tou Achchha Lagta hai.....
Phir aur share nahi karu tou Achcha Nahi Lagta

Kisi Se Baat Karna Bolna Achchha Nahi Lagta
Tujhe Dekha Hai Jab Se Dusra Achchha Nahi Lagta
Teri Ankhon Me Jab Se Mai Ne Apna Aks Dekha Hai
Mere Chahre Ko Koi Aaina Achchha Nahi Lagta
Yahan Ahle Muhabbat Omr Bhar Barbad Rahte Hain
Ye Dariya Hai Ise Kachcha Ghada Achchha Nahi Lagta
Tere Bare Me Din Bhar Sounchti Raheti Hoon Laikin
Tere Baare Me Sab Se Puchhna Achchha Nahi Lagta
Mai Ab Chahat Ki Us Manzil Pe Aa Pohnchi Hu Rehana
Teri Janib Kisi Ka Dekhna Achchha Nahi Lagta

Shayara: Rehana Nawaz

Wowwwwwww awsome bohat khooooob...aap sharing hi itni achi karti hai ke tareef kiye bina raha nahi jata....thxxxxx for this lovly sharing ye mujhe behad pasand aayi once again thxxxxx.....
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #115 on: January 21, 2010, 08:42:14 PM »
Reply with quote
Mujhey apnay zabt pey naaz tha sar-e-bazm raat ye kya hua
Meri aankh kaisey chhalak gai mujhey ranj hai ye bura hua

Humain iska koi bhi haq nahin key shreek-e-bazm-e-kholoos hoon
Na hamarey paas naqab hai na kuchh aasteen mein chupa hua

Mujhey aap kyon na samajh sakey yeh khud apnay dil se hi puchhiye
Meri daastan-e-hayaat ka to hai  warq warq khula hua

Wo chura ke nazrein guzar gaye meray samney sey abhi abhi
Yeh meray hi shehr key log thay mere ghar sey ghar hai mila hua

Kisi badnaseeb ka khat mila mujhey raastey main pada hua
Kahin khoon-e-dil sey likha hua kahin aansuon sey mita hua
(NM)

Awsome wonderfullllll hamesha ki tarah behad umda sharing hai bohat dard hai isme...thxxxx for sharing
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #116 on: January 21, 2010, 08:56:35 PM »
Reply with quote
    **Kabhi Woh Bhi...**

Kabhi woh bhi meri yaad me kho jaate hoge
Apni ankhon me mere khuwaab sajate hoge

Wo jo har waqt khayaalo me basse rehte hai
Kabhi to meri bhi socho me doob jaate hoge

Wo jiski raah me palkein bichi rehti hain
Kabhi mujhey bhi apney paas bulate hoge

Labon par rehte hai wo har pal hansi bann kar
Tasawur se merey .... wo bhi muskuraate hoge

Wo jo shaamil hai mere geet meri ghazlo me
Kabhi tanhai me mujh ko bhi gun gunaate hoge

Jis ke liye mera dil beqaraar rahta hai
Merey liye apna chain wo bhi gawate hoge

Jiss se izhaar e wafa har pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahte hoge

Jiske liye meri har raat hai karwat karwat
Kabhi to mere khayal unki bhi neend  churate hoge

Jiski ulfat ki shamma se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bhi deep jalate hoge

Ghame -e- firaaq mera hi muqadar hai ya phir!!
Meri judaai me wo bhi yunhi aansu bahate hoge.... tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #117 on: January 21, 2010, 09:49:51 PM »
Reply with quote
Very nice...thx for sharing
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #118 on: January 22, 2010, 12:57:01 PM »
Reply with quote
WAH WAH VERY NICE SHARING...... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

    **Kabhi Woh Bhi...**

Kabhi woh bhi meri yaad me kho jaate hoge
Apni ankhon me mere khuwaab sajate hoge

Wo jo har waqt khayaalo me basse rehte hai
Kabhi to meri bhi socho me doob jaate hoge

Wo jiski raah me palkein bichi rehti hain
Kabhi mujhey bhi apney paas bulate hoge

Labon par rehte hai wo har pal hansi bann kar
Tasawur se merey .... wo bhi muskuraate hoge

Wo jo shaamil hai mere geet meri ghazlo me
Kabhi tanhai me mujh ko bhi gun gunaate hoge

Jis ke liye mera dil beqaraar rahta hai
Merey liye apna chain wo bhi gawate hoge

Jiss se izhaar e wafa har pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahte hoge

Jiske liye meri har raat hai karwat karwat
Kabhi to mere khayal unki bhi neend  churate hoge

Jiski ulfat ki shamma se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bhi deep jalate hoge

Ghame -e- firaaq mera hi muqadar hai ya phir!!
Meri judaai me wo bhi yunhi aansu bahate hoge.... tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #119 on: January 22, 2010, 12:58:24 PM »
Reply with quote
Good sharing.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Tujko ab sochta hun mai to mujhko lagta hai !
Ke jaise mere andar aasma sulagta hai !

Mujhe aksar tera chahra dikhai deta hai ..
Kahin bhi jab koi bachha udaas milta hai !

Mai kya karun tujhe bhulana bhi nahi aasan ..
Tera saaya sa mere saath saath chalta hai !

Dil mai jab bhi koi armaan sa machalta hai ..
Aansuon ke saath aankhon se bah nikalta hai !

Mai falak hun  tamam tare jakhm hain mere..
Aaftab dil hai mera roj yun hee jalta hai !

              (N/M)

Logged
Pages: 1 ... 4 5 6 7 [8] 9 10 11 12 ... 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 09, 2024, 10:18:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer