My Favorite Poetries

by khushi4pari on December 07, 2009, 05:59:55 PM
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 16
ReplyPrint
Author  (Read 11947 times)
madhuwesh
Guest
«Reply #135 on: January 26, 2010, 02:45:20 AM »
Reply with quote
Wow bahut achi sharing ki Koyal ji and Riyaz ji. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #136 on: January 26, 2010, 06:32:54 PM »
Reply with quote
thanks Madhu-di.......


Wow bahut achi sharing ki Koyal ji and Riyaz ji. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
..
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #137 on: January 27, 2010, 10:02:34 PM »
Reply with quote
           **Kitni mushkil**
 
Kitni mushkil se kati  meri har raat  naa pooch
dil se nikli huyi honto me dabee baat naa pooch

Main jis ke liye lar jaau har kisi se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat naa pooch

Woh kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarha maine sambhale mere jazbaat naa pooch

Waqt jo badle to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaat naa pooch

Woh kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar naa huyi
kis tarha usne churaya hai mujh se haath naa pooch

Is tarha pal me mujhay begana kar diya usne
Kis tarha apno se khayi hai maine maat naa pooch

Ab uske pyaar ke bina ye zindagi kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat naa pooch!!! tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #138 on: January 28, 2010, 08:44:21 AM »
Reply with quote
Very good sharing Khushi-di.... icon_flower icon_flower icon_flower

           **Kitni mushkil**
 
Kitni mushkil se kati  meri har raat  naa pooch
dil se nikli huyi honto me dabee baat naa pooch

Main jis ke liye lar jaau har kisi se
mujhay khud se hai pyaari yeh kis ki zaat naa pooch

Woh kis ada se mere saamnay se guzraa abhi
kis tarha maine sambhale mere jazbaat naa pooch

Waqt jo badle to insaan badal jaatay hain
kya nahi dikhlaatay yeh gardish-e-halaat naa pooch

Woh kisi ka ho bhi gaya or mujhay khabar naa huyi
kis tarha usne churaya hai mujh se haath naa pooch

Is tarha pal me mujhay begana kar diya usne
Kis tarha apno se khayi hai maine maat naa pooch

Ab uske pyaar ke bina ye zindagi kuch bhi nahi
kitni mushkil se bani thi dil ki kainaat naa pooch!!! tearyeyed tearyeyed

--NOT MINE--

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #139 on: January 28, 2010, 10:36:12 AM »
Reply with quote
Jab kabhi bhi mere dil ke aaina main atty ho
her saans ko meri tum mahaka jaaty ho
raat bhar chand ka deedar karati hu
kabhi chand se to kabhi khud se baat karati hu!!

Gunguna kar khayalo main, her pal atty ho
Khuli ankhon main akar hulchal muchaty ho
Band karati hu jo ankhein to tum Muskuraty ho
Pal pal roop badal kar, meri jaan, muje sataty ho

Haal kaya se kaya ho gaya mera
Jo kuch kahu to, majak tum urraty ho
Yah kaisa sama (Alam) payar ka tumne bandha hay
Mai hu akeli, phir bhi. Mujme tum gungunaaty ho!!


Ye poem jo mai share kar rahi hoon ye yoindia ki he
Ek bahoot he pyaari hasti ki hai....
Kya pehchaan rahe hai aap unko....bataaiye ?
Quiz he samajhiye essey....awaiting answers.....
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #140 on: March 19, 2010, 08:36:41 PM »
Reply with quote
Bohat achi poem hai Koyal ji...thxx for sharing
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #141 on: March 19, 2010, 08:40:17 PM »
Reply with quote
** MUJHEY KYON YAQEEN HAI**

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
UNHE YAAD MERI ATTI HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
UNHE CHAANDANI SATATI HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
UNHE INTIZAAR MERA HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
UN PEY HAQ SIRF MERA HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
WOH DIL SEY MUJH PEY MARTE HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
WOH PYAAR MUJH SEY KARTE HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK...

--NOT MINE--
Logged
shad
Guest
«Reply #142 on: March 19, 2010, 09:32:23 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Applause Clapping Smiley Applause icon_flower icon_flower Applause Applause

Bahut umda very nice
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #143 on: March 19, 2010, 09:34:55 PM »
Reply with quote
Thxx
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #144 on: March 20, 2010, 10:07:59 AM »
Reply with quote
Very Good Sharing Khushi-di.... Applause Applause Applause

Dil se dil ka unse mera rishta hai
Nazron mai meri wo ek farishta hai

Mujhe kyon yaqeen naa ho abb talak
Uski har saans se vasta hai mera.....

** MUJHEY KYON YAQEEN HAI**

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
UNHE YAAD MERI ATTI HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
UNHE CHAANDANI SATATI HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
UNHE INTIZAAR MERA HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
UN PEY HAQ SIRF MERA HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
WOH DIL SEY MUJH PEY MARTE HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
WOH PYAAR MUJH SEY KARTE HAI

MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK
MUJHEY KYON YAQEEN HAI ABB TAK...

--NOT MINE--

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #145 on: March 20, 2010, 10:14:04 AM »
Reply with quote
der lagi aane mein tum ko shukr hai phir bhi aaye to
aas ne dil kaa saath na chhoda vaise ham ghabaraaye to

shafaq dhanak mahtaab ghataayen taare nagme bijli phool
us daaman mein kyaa kyaa kuchh hai wo daaman haath mein aaye to

chaahat ke badale mein ham to bech dein apani marzi tak
koi mile to dil kaa gaahak koi hamein apanaaye to

kyon ye mehr angez tabassum mudd-e-nazar jab kuchh bhi nahin
haaye koi anjaan agar is dhoke mein aa jaaye to

suni sunaai baat nahin hai apane upar beetii hai
phuul nikalte hain sholon se chaahat aag lagaaye to

jhoot hai sab taarikh hameshaa apane ko dohraati hai
achhaa meraa Khwaab-e-jawaani thodaa saa doharaaye to

nadani aur majaburi mein yaaro kuchh to farq karo
ek bebas insaan kare kyaa Toot ke dil aa jaaye to

(NM)




Good sharing Riyaz Ji
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #146 on: March 20, 2010, 08:11:47 PM »
Reply with quote
Very Good Sharing Khushi-di.... Applause Applause Applause

Dil se dil ka unse mera rishta hai
Nazron mai meri wo ek farishta hai

Mujhe kyon yaqeen naa ho abb talak
Uski har saans se vasta hai mera.....


Thxx alottt...aap ne bhi bohat acha likha hai very nice once again thxxxxx
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 2 hours and 38 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #147 on: March 20, 2010, 08:19:44 PM »
Reply with quote
duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai
Published by Mohib March 18th, 2006 in Poets, Ghazals and Parveen Shakir.



duaa kaa TuuTaa hu’aa harf sard aah meN hai
terii juda’ii kaa manzar abhii nigaah meN hai

(harf : alphabet; aah : sigh; manzar : scene)

tere badalne ke baa-vajuud tujhko chaahaa hai
ye ai’tiraaf bhii shaamil mere gunaah meN hai

(baa-vajuud : even though; ai’tiraaf : acceptance; shaamil : included)

azaab degaa tou phir mujhko Khwaab bhii degaa
maiN mutma’iin huN, meraa dil terii panaah meN hai

(azaab : punishment; mutma’iin : satisfied; panaah : shelter)

jise bahaar ke mehmaan Khaalii chhoR gaye
vo ek makaan abhii tak makiiN kii chaah meN hai

(makiiN : house-holder)

yahii vo din the jab ek duusre ko paaya thaa
hamaarii saalgiraah thiik ab ke maah meN hai

(maah : month)

maiN bach bhii jaauuN tou tanhaa’ii maar daalegii
mere qabiilaa ka har fard, qatl-gaah meN hai

(tanhaa’ii : loneliness; qabliilaa : tribe; qatl-gaah : gallows)

Parveen Shakir

Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #148 on: March 20, 2010, 08:23:09 PM »
Reply with quote
Wah bohat umda very nice HUM DUM ji thxxxx for sharing... Applause Applause Applause Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #149 on: March 20, 2010, 08:24:59 PM »
Reply with quote
Very good sharing indeed Hum Dum Ji
Logged
Pages: 1 ... 6 7 8 9 [10] 11 12 13 14 ... 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 10, 2024, 04:28:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.182 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer