My Favorite Poetries

by khushi4pari on December 07, 2009, 05:59:55 PM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16
ReplyPrint
Author  (Read 11898 times)
Rajesh Harish
Guest
«Reply #180 on: April 02, 2010, 09:50:31 PM »
Reply with quote
Sarakti jaaye haiN rukh se naqaab aahistaa-aahista
nikalta aa raha hai aaftaab aahistaa-aahista

jawaN hone lage jab wo to humse kar liya parda
hayaa yakalaKht aaee aur shabaaB aahistaa-aahista

sawal-e-vasl pe unko uduu ka khauf hai itna
dabe hoToN se dete haiN jawab aahistaa-aahista

hamaare aur tumhaare pyaar meiN bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahistaa-aahista

baDi bedardi se sar kaate 'ameer' aur maiN kahooN unse
huzur aahistaa aahistaa janaab aahistaa-aahista

sab-e-furkat ka jaaga hoon paristhoN ab to sone do
kabhi fursat meiN kar lena hisaab aahistaa-aahista

--SUNG BY jAGJIT SINGH---written by...Ameer Meenai

Kaun kehta hai mohabbat ki zubaaN hoti hai
ye hakikat to nigaahoN se bayaaN hoti hai

wo naa aaye to sataati hai khalish si dil ko
wo jo aaye to khalish aur jawaan hoti hai

rooh ko shaad kare dil ko jo purnoor kare
har nazaare ki ye tanweer kahaN hoti hai

zabt-e-sailaab-e-mohaabt ko kahan tak roke
dil meiN baat ho aankhoN se ayaaN hoti hai

zindagi ek sulagti si chitaa hai 'saahir'
shola banti hai na ye buJh ke dhuwaN hoti hai   

-----BY Saahir----Sahir Hoshiyarpuri

Nice sharings Koyal Ji
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #181 on: April 08, 2010, 09:19:22 PM »
Reply with quote
Wah bohat khub...thxxx for sharing
Logged
kamal.shayari
Guest
«Reply #182 on: April 09, 2010, 04:53:45 PM »
Reply with quote
hum chah kar bhi use paa na ske,
ye dard~e~dil sunaa na ske,
socha ki smjh jayenge ankho se baaten,
par unki ankhon se ankhe mila na sake.
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #183 on: April 10, 2010, 12:13:53 PM »
Reply with quote
Thanks Khushi-di.....

Bohat khood dear very nice...thxx for sharing
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #184 on: April 10, 2010, 12:15:39 PM »
Reply with quote
Thanks Rajesh-bhai....

Nice sharings Koyal Ji
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #185 on: April 10, 2010, 12:49:56 PM »
Reply with quote
KUCHH Chowpayeeyen (char 4 lines) pesh hain....

Na mila dil ka qadardaan is zamanay main,
Yeh sheesha toot gaya hai dekhne aur dikhane main,
jee main aata hai ek roz shamma say pochoon,
Maza kis main hai, jalnay main ya jalanay main.

Pucha Kisi Ne Haal Bari Muddaton K Bad,
Aaya Mera Khyal Bari Mudaton K Bad,
Karti To Hai Wo Yaad Mujhy Chahat Se Magr,
Hota Hai Ye Kamal Bari Muddaton K Bad.

Yahan khamosh nazron ka nazara kon banta hai
Bahut gehre samndar ka kinara kon banta hai
Chalo Hm dekhte hai ab khud ko barbad kar ke bhi
Hamari brbadiyon me bhi hamara kon banta hai

Mohabbat Har Insaan Ko Azmati Hai
Kisi Se Rooth Jati Hai
Or Kisi pe Muskurati Hai
Mohabbat Khel Hi Aisa Hai,
Kisika Kuch N Jata
Or Kisi ki Jaan Chali Jati Hai !!

Aadat Hai Teri Yaad Ane Ki.
En Aankho ko Teri Ek Zalak Pane Ki,
Hamari To Tamanna Hai Apko Pane Ki
Par
Shayad Aapki Aadat Hai Hame Tadpane Ki !!
  
Teri Yaado Me Jiyenge Marenge
tujhe Apni Palkon Me Chuppa Lenge
Uss Chand Se Hume Kya Lena Hum to Is
Dharti Ke Chand Ko Seene Se Laga Lenge !!

Kya Hai Dil Ki Haalat Bataana Nahi Aata,
Kisi Ko Aise Tadpana Nahi Aata,
Sunna Chahte Hai ek Baar Fir Aawaz Uski,
Magar Baat Karne Ka Bahaana Bhi Nahi Aata !!
 
Zara Si Roshni Mujh Ko Achhi Lagi,
Mujhe Aap ke Ek Lamhe Ki Hansi Achi Lagi,
Aap Se Baat Ki Jo Ek Roz,
Us Hi Din Se Mujhe Aapni Zindagi Achhi Lagi !!
 
Dil-E-Aarzoo Ne Dewana Bana Diya
Roye The Na Kabhi Par Tune Rula Diya
Tujhe Meri Yaad Na Aayi Bhule Se Kabhi
Hamne Teri Yaad Me Zamana Bhula Diya !!

Gham Me Hasane Walo Ko Kabhi Rulaya Nahi Jata,
Lehro Se Pani Ko Hataya Nahi Jata,
Hone Wale Ho Jate Hain Khud Hi Dil Se Aapne,
Kisi Ko Kehkar Apna Banaya Nahi Jata !!
 
Kanch Ko Chahat Thi Pather Pane Ki,
Ek Pal Mein Tut Ke Bikhar Jane Ki,
Chahat Bas Itni Thi Us Diwane Ki,
Apne Hazar Tukdo Mein Uski Hazar Tasvirein Sajane Ki !!

Nazaro Ki Aas Kuch Aur Hoti Hai
Kasmo Me Baat Kuch Aur Hoti Hai
kaun Chahta Hai Kuch Kahe na Bin Kahe
Samajh Jane Ki Baat Kuch Aur Hoti Hai !!

Zindgi Ka Har Khwab Haqiquat Ban Jaye
Khushi Ke Chirago Se Zindgi Roshan Ho Jaye
Mahak Jaye Zindgi Aapki Ki Gulab Ki
Khushboo Bhi Aapke Samne Kam Ho Jaye !!  

Mujhse Apna Pyar Kabhi Wapas Mat Lena
Mujhse Ye Iqrar Kabhi Wapas Mat Lena
Kehte Rehna Har Pal Main Tumhari Hu
Mujh Sai Ye Izhar Kabhi Wapas Mat Lena !!

--------------N M-----------------------
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #186 on: April 10, 2010, 11:09:14 PM »

Bohat khub KOYAL JI thxxx alot for this wonderfull sharing...
Logged
khushi4pari
Guest
«Reply #187 on: April 10, 2010, 11:11:09 PM »
Reply with quote
AAYI JO TERI YAAD TO DIL KO DUKHA GAYI
TANHAYI BHI SHAM KI UDASI BHADHA GAYI

SAYA BHI SATH CHOD DE AISI GHADI BHI HAY
GARDISH ME LA K HAMKO YE DUNIYA SIKHA GAYI

AHL E WAFA SITAM HI TO SEHTE HEIN UMER BHAR
HAMKO GUREIZ E YAAR KI ADA SAMJHA GAYI

CHAK E JIGAR HUYA GULON KA NOK E KHAR SE
BAAD E SABA KHILA K GUL YE QISSA SUNA GAYI

MANZIL KI JUSTAJU MEIN TO RASTE BHI KHO DIYE
SEHRA KI KHAK NISHAN E SAFAR HI MITTA GAYI

KAISE LIKHOON MAIN KOI LAFZ DIL KI KITAB MEIN
JAZBON KI INTEHA MERE LAFZON KO KHA GAYI.

             ~By Shaz~

Wah very nice sab ki sab bohat umda hai Shihab ji thxxx so much for sharing..
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #188 on: April 12, 2010, 12:22:45 PM »
Reply with quote
VERY NICE SHARING Shihab-bhai.... Applause Applause Applause
and Thanks for appriciating mine....

AAYI JO TERI YAAD TO DIL KO DUKHA GAYI
TANHAYI BHI SHAM KI UDASI BHADHA GAYI

SAYA BHI SATH CHOD DE AISI GHADI BHI HAY
GARDISH ME LA K HAMKO YE DUNIYA SIKHA GAYI

AHL E WAFA SITAM HI TO SEHTE HEIN UMER BHAR
HAMKO GUREIZ E YAAR KI ADA SAMJHA GAYI

CHAK E JIGAR HUYA GULON KA NOK E KHAR SE
BAAD E SABA KHILA K GUL YE QISSA SUNA GAYI

MANZIL KI JUSTAJU MEIN TO RASTE BHI KHO DIYE
SEHRA KI KHAK NISHAN E SAFAR HI MITTA GAYI

KAISE LIKHOON MAIN KOI LAFZ DIL KI KITAB MEIN
JAZBON KI INTEHA MERE LAFZON KO KHA GAYI.

             ~By Shaz~

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #189 on: April 12, 2010, 12:26:57 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Khushi-di.....

Bohat khub KOYAL JI thxxx alot for this wonderfull sharing...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #190 on: April 12, 2010, 12:31:09 PM »
Reply with quote
Very touching poems thanks for sharing Koyal ji,Shihab ji,Khushi ji,Geet ji,sabhi ke choice bahut achi hai. icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #191 on: April 12, 2010, 12:43:44 PM »
Reply with quote
Sabhi ne bhot behtreen, lajwab sharing ki hai  Koyal ji,Shihab ji,Khushi ji,Geet ji,sabhi ki pasand bahot aala darje ki hai. Aap sabhi ne yahan share kiya aur dusre ki pasand padhne ka mauqa mila, sabka shukriya. Meri pasand ki ek ghazal hazir hai:

Raat Din Hijr Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai

Jis Ka Ji Chahey Humian Tod Ke Tukdey Kardey
Is Qadar Narm Tabiyat Bhhi Nahi Rakhni Hai

Ik Do Saal Ke Rishton Se Hamain Kiya Haasil
Ek Din, Ik Pal Ki Rafaaqat Bhi Nahi Rakhni Hai

Jisse Bichrain To Sambhalney Mein Zamane Lag Jaein
Aisey Logon Se Murawwat Bhi Nahi Rakhni Hai

Kya Ajab Haal Hai Chahat Ke Talabgaron Ka
Shauq Biknay Ka Hai, Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai

-----NM------
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #192 on: April 12, 2010, 12:48:43 PM »
Reply with quote
Very touching poem Riyaz bhai.thanks for sharing.bahut acha choice hai. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #193 on: April 12, 2010, 01:38:46 PM »
Reply with quote
Thanks Madhu-di....

Very touching poems thanks for sharing Koyal ji,Shihab ji,Khushi ji,Geet ji,sabhi ke choice bahut achi hai. icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #194 on: April 12, 2010, 01:57:07 PM »
Reply with quote
Thanks Riyaz-bhai....Aapne bhi achhi Gazal share ki hai....

Sabhi ne bhot behtreen, lajwab sharing ki hai  Koyal ji,Shihab ji,Khushi ji,Geet ji,sabhi ki pasand bahot aala darje ki hai. Aap sabhi ne yahan share kiya aur dusre ki pasand padhne ka mauqa mila, sabka shukriya. Meri pasand ki ek ghazal hazir hai:

Raat Din Hijr Ki Wehshat Bhi Nahi Rakhni Hai
Kisi Se Ab Itni Muhabbat Bhi Nahi Rakhni Hai

Jis Ka Ji Chahey Humian Tod Ke Tukdey Kardey
Is Qadar Narm Tabiyat Bhhi Nahi Rakhni Hai

Ik Do Saal Ke Rishton Se Hamain Kiya Haasil
Ek Din, Ik Pal Ki Rafaaqat Bhi Nahi Rakhni Hai

Jisse Bichrain To Sambhalney Mein Zamane Lag Jaein
Aisey Logon Se Murawwat Bhi Nahi Rakhni Hai

Kya Ajab Haal Hai Chahat Ke Talabgaron Ka
Shauq Biknay Ka Hai, Qeemat Bhi Nahi Rakhni Hai

-----NM------

Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 10:13:11 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.148 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer