Tulsi,Meera,Wajid,Fareed,Raskhaan,,Sahjobai,Raidaas,Raheem

by @Kaash on September 10, 2013, 12:57:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1338 times)
@Kaash
Guest
Reply with quote



hari naam se neh laagyo re,ab laagyo re mhaare
hari naam se neh laagyo
yo rasiyu mhaare mann me basiyo I  jyun mala vich taago re
sab me basat sabahi se nyaaro nahi nedo nahi aago re
daasi meera sharan shyaam ki jeevan maran bhay bhaago re


हरी  नाम  से  नेह  लाग्यो  रे ,अब  लाग्यो  रे  म्हारे

हरी  नाम  से  नेह  लाग्यो ॥

यो  रसियो   म्हारे  मन में  बसियो । ज्यूं  माला  बिच  तागो  रे ॥

सब  में  बसत  सबही  से  न्यारो । नहीं  नेड़ो  नहीं  आगो  रे ॥

दासी  मीरा  शरण  श्याम  की ।जीवन  मरण  भय  भागो  रे  ॥



yahan Meera ji kahti hain ki unhe parmaatma ke naam se prem ho gaya hai.Mera priytam mere antar me viraajmaan ho gaya hai.Mala me dhaage ki tarah prabhu meri aatma me bas gaya hai.Vo sabhi me viraajmaan hai aur sabhi se alag hai.Vo to uska banta hai jo uske naam se isneh rakhta hai athaart naam hi parmaatma praapti ka sahaj maarg hai.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #1 on: September 10, 2013, 01:03:31 PM »
Reply with quote
तेरा  जन  काहे  कूं  बोलै ,बोलि  बोलि  अपनी  भगति  षोले ॥

बोल  बोलतां  बढे  वियाधि ,बोल  अबोलें  जाई ।

बोल  बोल  अबोल  कौं   पकड़े ,बोल  बोल  कूं षई  ॥

बोलै  बोल  मानि  परि  बोलै,बोलै  बेद  बड़ाई  ।

उरमां  धरि  धरि  जबहिं  बोलै ,तब  ही  मूल  गवाईं  ॥

बोलि  बोलि  औरही  समुझावै,तब  लग  समझि  नहीं  रे  भाई ।

बोलि  बोलि  समझि  जब  बूझी ,तब  काल  सहित  सब  षई ॥

बोलै  गुरु  अरु  बोलै  चेला ,बोल्या  बोल  की  परमिति  जाई ।

कहे  'रैदास ' थकित  भयो  जब ,तबहीं  परम  निधि  पाई ॥



Yahan sant Ravidaas(Raidaas) ji parmaatma ko sambodhit karte hue hain ki
hey parmaatma! jisne bhi tujhe jaan lia vo shaant ho jata hai.aakhir vo
vo bhala kyun jataye ki vo bhakt hai.aur phir bolne se to vikaar hi utpann hota hai.bolne se hi bolne ka naash hota hai.
ve kahte hain ki yadi bolna hi hai to pehle aham bhaav ka tyaag dena chahiye..aham bhaav se rahit ho bolne ki vedon me bhi prashansa ki gayi hai. Ravidaas ji kahte hain ki mann me kuch hai aur mukh me kuch hai to aisa bolna bhi parmaatm praapti me badhak hai.
Vakta jab doosron ko samjhane ke lie bolta hai to use khud ko hi kuch samajh nahi aata.Lekin jab bol ko vo swayam samajhta athwa apne hi bol par swayam chintan karta hai to badhayen door ho jati hain.
Raidaas ji kahte hain ki guru shishya parmaatm tatva par paraspar vichaar vimarsh karte hain.aisa karke ve vaak prabhaav ko simit kar lete hain.lekin jab unka bol isthagit ho jata hai athwa vo maun ho jate hain tab parmaatma tatva ki uplabdhi me deri nahi lagti.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #2 on: September 10, 2013, 01:06:49 PM »
Reply with quote
बड़े बड़ाई नहीं तजै, लघु रहीम इतराई
राइ करौंदा होत है, कटहर  होत न राइ

Yahan Raheem ji kahte hain ki bade aadmi aur chhote aadmi me fark yah hai ki bada aadmi ghamand se door hota hai aur chhota ghamand me choor.Bade logon ka badappan unki vinamrata me dikhayi deta hai.Ve use kabhi nahi chhodte kahin nahi chhodte.Ve apni dayaluta evam shaleenta badi khoobi se sambhale rahte hain.
Iske vipreet chhote vyakti athaart chhoti soch vale zara si baat par itraane lagte hain.Unki kaya kandara se ahankaar ki pratidhwaniyaan aane lagti hain.
Chhota karuanda raayi ka aakaar grahan kar sakta hai,parantu manaswi kathal apni unnati ke kisi bhi sopan par neeche nahi aa sakta.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #3 on: September 10, 2013, 01:10:21 PM »
Reply with quote


Maai ree main to leeno Govindo mol
koi kahe chhane koi kahe chupke,liyo ree bajanta dhol
koi kahe mehengo koi kahe sondho,liyo ree taraju tol
koi kahe kaaro koi kahe goro,liyo ree amolik mol
yaahi koon sab log janat hain,liyo ree aankhi khol
Meera koon prabhu darsann deejyo,purab janam ka kol


Meera ji kahti hain ki maine premdhan ke badle me us anmol prabhu ko le lia hai.Vo kahti hain,Prabhu poornataya vashiboot hain va mere hain.Log bhale hi kahte rahen ki Meera ne ghate ka sauda kia hai,parantu vo danke ki chot par kahti hai ki usne atilaabh ka sauda kia hai.Premmaarg par chalkar Parmeshwar ko pa lia hai.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: September 10, 2013, 02:41:56 PM »
Reply with quote
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 19 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #5 on: September 10, 2013, 03:10:41 PM »
Reply with quote
  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #6 on: September 10, 2013, 06:41:49 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Nice One  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #7 on: September 10, 2013, 10:27:40 PM »
Reply with quote
Bahut khoob.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #8 on: September 11, 2013, 05:18:30 PM »
Reply with quote
Saini ji,Nand ji,Ravi ji,Iftakhar bro! Aap sabhi ka bahut shukriya!
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #9 on: September 11, 2013, 05:26:54 PM »
Reply with quote
Tulsi is sansaar me sabse milye dhaay, na jane kis bhes me Narayan mil jaaye
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #10 on: September 11, 2013, 05:29:13 PM »
Reply with quote
Rahiman dhaage pram ka na todo chitkaay, jode se phir ye na jude jude gaanth pad jaay
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #11 on: September 25, 2013, 01:53:51 PM »
Reply with quote
Binu satsang bivek na hoyi Raam kripa binu sulabh na soyi, Satsangati mud mangal moola soi phal sidhi sab sadhan phoola
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 11:03:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer