---chalo aaj ghamo se naata---

by killbill on December 15, 2010, 05:57:38 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1761 times)
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
Reply with quote
chalo aaj ghamo se naata toda jaye
khushiyon se naata joda jaye
akelepan aur tanhai ko seh liye bahat
machalti tamannao ko daba liye bahat
kuch aasaon ke bijo ko ab boya jaye
armaano ke pahlu me ab soya jaye
seene me dhadakta hai ek dil
iski har dhadkan zamaane ko ab sunaya jaye
chamak aankho me kisi sunahre khab ki hai
aaj sabhi ko dikhaya jaye
umeedon se bhar lu ab daaman apna
chalo bhula diya jaye ab har adhoora sapna
jo chhod gaye yun tadapne ko akela
chalo unsabko ab dil se nikala jaye
*
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ghamo ke saagar se baahar nikle bhi na the........ by veethi in Shayri-E-Dard
teri sabhi ghamo ko by NABROY in Miscellaneous Shayri
Mhbt ka naata... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri
***Mera Aur Aapka Naata*** by AVTAR RAYAT in Share:Love Poetry
Mohabbat Ghamo Se.......... Touhid by Mohammad Touhid in Miscellaneous Shayri
Intezar
Guest
«Reply #1 on: December 15, 2010, 06:17:56 PM »
Reply with quote
kya baat KB ji bahut badhiya roshni ki taraf rukh kiya hai aapne... lekin

kaise usay dil se bhulaaya jaaye
kaise usay yaadon se mitaaya jaaye,
jo ban gaya hai andher jab naseeb apna
to fir roshni ko chirag kaise jalaaya jaye... !

Intezar !
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #2 on: December 15, 2010, 06:30:12 PM »
Reply with quote
bahut khoob kaha aapne Intezaar ji...
lekin dost jab insaan ka chaha hua uski meshnat se mil jaye to wo khud ko naseebwala aur agar na mile to Badnaseeb manta hai.
karta khus insaan hai aur naam naseeb ka hota hai---
naseeb par kya biswaas karun mai gar khud par hi biswaas na ho.
koi dil me sama jaye to wo dheere dheere nikal bhi jayega ...ye personal exp. hai mera :WinkingWinking
Logged
Intezar
Guest
«Reply #3 on: December 15, 2010, 06:38:55 PM »
Reply with quote
aage kya hona hai kya jaane KB ji
jo guzar rahi hai wo to aaj kaa chehra dikhaati hai... !

Intezar !
bahut khoob kaha aapne Intezaar ji...
lekin dost jab insaan ka chaha hua uski meshnat se mil jaye to wo khud ko naseebwala aur agar na mile to Badnaseeb manta hai.
karta khus insaan hai aur naam naseeb ka hota hai---
naseeb par kya biswaas karun mai gar khud par hi biswaas na ho.
koi dil me sama jaye to wo dheere dheere nikal bhi jayega ...ye personal exp. hai mera :WinkingWinking
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #4 on: December 15, 2010, 08:41:35 PM »
Reply with quote
chalo aaj ghamo se naata toda jaye
khushiyon se naata joda jaye
akelepan aur tanhai ko seh liye bahat
machalti tamannao ko daba liye bahat
kuch aasaon ke bijo ko ab boya jaye
armaano ke pahlu me ab soya jaye
seene me dhadakta hai ek dil
iski har dhadkan zamaane ko ab sunaya jaye
chamak aankho me kisi sunahre khab ki hai
aaj sabhi ko dikhaya jaye
umeedon se bhar lu ab daaman apna
chalo bhula diya jaye ab har adhoora sapna
jo chhod gaye yun tadapne ko akela
chalo unsabko ab dil se nikala jaye
*

Bahut khoob Subhash Ji
Logged
apriya
Guest
«Reply #5 on: December 15, 2010, 09:17:24 PM »
Reply with quote
bahut khub likhi  aapne bhaijee..kal ki fikra hai jo khaye jaa rhi hai ab mithi neend me khone se pahle aur sone se pahle ek asaar pash karna chahunga.................

na toota mera ghamo se naata
ise to humdum banaya hai maine
jis mod par aakar toot jaate hai log aksar
usi mod par aashiyana sajaya hai maine

log aksar dekar bewafaai ka iljaam chahat ko bhula dete hai
ek aisi hi bewafaa ko abtak dil me basaya hai maine.....
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #6 on: December 15, 2010, 09:55:26 PM »
Reply with quote
Yeh bhi khoob hai Anand Ji

bewafaa aksar koi bhi hota nahi
iljaam lagaa kar banaya jaata hai
jaise ki bad koi aksar apne aap hota nahi
badnaam kar ke hi usse bad banaya jaata hai
 
Kyon ki kisi ne theek kaha hai

"Bad Achchha Badnaam Bura"
Logged
apriya
Guest
«Reply #7 on: December 15, 2010, 10:35:29 PM »
Reply with quote
DEKAR BEWAFAA KA ILJAAM HUMDUM KO
APNI BHI KUCHH KHAAMIYO KE CHUPA LETE HA LOG
JATA KAR DUSRO KO KAMIYA HAZAAR
KHUD KO AKSAR KHUDA BANA LETE HAI LOG

EK KHATAA KI KHAATIR HAR HANSI PAL KO
PAL BHAR ME BHULA DETE HAI LOG
CHUP REHKAR HAR SITAM SAHA HUMNE
AAJ WO KISI GAIR KE SAATH HAI JO
USE MUHANNAT KI DEVI
AUR MUJHE BADMAASH KI SANGYA DETE HAI LOG.....
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: December 16, 2010, 01:15:12 AM »
Reply with quote
good one Anand Ji
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #9 on: December 16, 2010, 02:15:05 AM »
Reply with quote
Dhanyabaad Guduji or Chhote tum to kamaal kar rahe yar.
mehfil achhi jami hai Guruji..
par aap log fir bafa-bewafa ki baat kar rahe hai..
mujhe khushiyon ke geet gaane me madad karo
Logged
Anilrbhardwaj
Guest
«Reply #10 on: December 16, 2010, 04:46:23 AM »
Reply with quote
dekh uski bewafai hum pagal se ho gaye the
jab samjh aayi uski majboori toh hum sambhal gaye the
mana woh bewafa ho gayi par khata uski nahi thi
jitna bhi dard humein mila uski wajah woh nahi thi

Anil R Bhardwaj
Logged
Anilrbhardwaj
Guest
«Reply #11 on: December 16, 2010, 04:52:27 AM »
Reply with quote
Mohobat woh rutba hai jisse google mein search kiya nahi jata
Or ye woh mukam hai jisse yahoo or gtalk par paya nahi jata
Muqadar mein ho agar kissi ka milna,
toh use Orkut or facebook mein Dhundhna nahi padta!!!!!!!!!!

Anil R Bhardwaj
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #12 on: December 16, 2010, 05:56:51 AM »
Reply with quote
bahut khoob kaha Anil ji..
aapne to dil ki baat kah di.
ye baate har koi kahan samjhta hai--
bas apne mehbub par bewafai ka ilzaam lagate hain uski majboori ko samjhe bina hi.
**
sukriya aapka dil se
Logged
Anilrbhardwaj
Guest
«Reply #13 on: December 16, 2010, 07:00:35 AM »
Reply with quote
ohh Sukriya mat kahiye ye toh bus lafz te jo likh diye or kuch baat ban gayi
Logged
Anilrbhardwaj
Guest
«Reply #14 on: December 16, 2010, 07:38:58 AM »
Reply with quote
chod sari duniya hum kahin or hi ji rahe the
tanha kabhi akele khud ko hasaa rahe the
jab tak tu nahi thi meri zindagi mein
hum har Lamhe ko badi shidat se ji rahe the....

Anil R Bhardwaj
mail at:- anilrbhardwaj@gmail.com
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:08:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer