Dil Se Shukaria Tumahara

by Pooja on February 10, 2009, 05:36:36 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2400 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Dedicated to my Both sons:

Dil mai samman bahoot, ankhon main payar hai
E-mere bacho, tum per yah Ma dil se nissar hai

Mili her kadam per wo shakati tumse mujhe
Ajj is Ma ke samne, her dushman ki haar hai

Roti Ma ko sambhala tumne, dil mai liye hazaro sawal
Bin puche kuch, her halaat tumne, kiya mere sath sawikaar hai

Tham hath mera ghanto baithe rahe tum dono khamoshi se mere sath
Wo pal tumahri Ma ki zindagi main, sab se bada uphaar hai

Mujhe dekh thaka-preshan, sab kaam khud kar jaate ho
Bana nanhe hatho se khana, phir kahte Muskuara ke, Ma khana tyaar hai

Chulbuli hansi yah tumhari, jeene ki shakti deti hai
Dil se Pa sath tumhara, zindagi ka diya her dukh bhi mujhe sawikaar hai

Jab bhi dil ho ayya bechain, apni pyari baato se ubhara tumne
Tumahra jeevan ban jaaye uttam, bas yahi is Ma ke jeene ka ab saar hai

E-mere bacho, Dil Se Shukaria Tumahara, tumse yah mera jeevan-sanaar hai!!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda Tera Shukaria by Pooja in Shayari-e-Parastish
Asghr
Guest
«Reply #1 on: February 10, 2009, 06:16:23 PM »
Reply with quote

Dil mai samman bahoot, ankhon main payar hai
E-mere bacho, tum per yah Ma dil se nissar hai

Mili her kadam per wo shakati tumse mujhe
Ajj is Ma ke samne, her dushman ki haar hai

Roti Ma ko sambhala tumne, dil mai liye hazaro sawal
Bin puche kuch, her halaat tumne, kiya mere sath sawikaar hai

Tham hath mera ghanto baithe rahe tum dono khamoshi se mere sath
Wo pal tumahri Ma ki zindagi main, sab se bada uphaar hai

Mujhe dekh thaka-preshan, sab kaam khud kar jaate ho
Bana nanhe hatho se khana, phir kahte Muskuara ke, Ma khana tyaar hai

Chulbuli hansi yah tumhari, jeene ki shakti deti hai
Dil se Pa sath tumhara, zindagi ka diya her dukh bhi mujhe sawikaar hai

Jab bhi dil ho ayya bechain, apni pyari baato se ubhara tumne
Tumahra jeevan ban jaaye uttam, bas yahi is Ma ke jeene ka ab saar hai

Dil mai samman bahoot, ankhon main payar hai
E-mere bacho, Dil Se Shukaria Tumahara, tumse yah mera jeevan-sanaar hai!!

IM SO IMPRESSED POOJA JI MERE PAAS AISE SHABD NAHIN HAIN JO MAIN LIKOOHN MUGAR DUAA HAI K AAP KA PARIVAR SDAA HANSTA MUSKRATA REH.ASGHR
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: February 10, 2009, 06:24:48 PM »
Reply with quote
waise yah meri nahi, her ek MA ki problem hai, Jab baat bacho per aa jaaye to rukna mushkil ho jaata hai... ek aor kavita apne dono beto ko najar main rakhte hue

Meri ek Muskaan per khilkhilaye ho
Mere ek ansoo per tadap dikhaye ho

Gale laga kar mujhe, raah dikhate ho
Nanhe nahe hatho se, ansoo poche jaate ho

Itani si umar main bhi, meri khushi ka soche jaate ho
Dhanaye hue main, her tarah se, meri Kokh ki laaj nibhaye jaate ho

Dekh mujhe udaas, apni shararto se mera man behlaaye jaate ho
Kaise khushi se main ji sakti hu, na jaane kaya kaya soch apne se, mujhe samjhaye jaate ho

Dikha apna yah pyaar, mujhe jeene ki himmat diye jaate ho
Her boori najar se bhagwaan tumhe bachaye,
Gumo ke sitaro main bhi, Puranmasi ka chand diye jaate ho!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: February 10, 2009, 06:25:51 PM »
Reply with quote
IM SO IMPRESSED POOJA JI MERE PAAS AISE SHABD NAHIN HAIN JO MAIN LIKOOHN MUGAR DUAA HAI K AAP KA PARIVAR SDAA HANSTA MUSKRATA REH.ASGHR

Bahoot bahoot shukaria Asghr ji... Dua se bad kar aor kuch nahi hai is jahan main apno ko dene ke liye!!!   Thankyou ! Hats off to you!
Logged
Asghr
Guest
«Reply #4 on: February 10, 2009, 06:55:24 PM »
Reply with quote
Bahoot bahoot shukaria Asghr ji... Dua se bad kar aor kuch nahi hai is jahan main apno ko dene ke liye!!!   Thankyou ! Hats off to you!
Pooja ji kash sari duniya aik doosre ko achi duaain de to duniya kitni khoobsurat ho jaye.Asghr
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: February 10, 2009, 07:28:25 PM »
Reply with quote
Pooja ji kash sari duniya aik doosre ko achi duaain de to duniya kitni khoobsurat ho jaye.Asghr

Such kaha Asghr ji... magar yah likhte waqat Galib ji ki likhi ek line yaad aa gai... Dil behlaane ko Galib Khayal Acha hai!!
Logged
Asghr
Guest
«Reply #6 on: February 11, 2009, 01:02:05 AM »
Reply with quote
Such kaha Asghr ji... magar yah likhte waqat Galib ji ki likhi ek line yaad aa gai... Dil behlaane ko Galib Khayal Acha hai!!
CHALIYE PHIR DUNIYA KO ISS K HAL PEH REHNE DAITE HAIN JAB UMER ZYADA HUI SAMAJDAR HO JAYE GI.ASGHR
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: February 11, 2009, 12:23:30 PM »
Reply with quote

Dil mai samman bahoot, ankhon main payar hai
E-mere bacho, tum per yah Ma dil se nissar hai

Mili her kadam per wo shakati tumse mujhe
Ajj is Ma ke samne, her dushman ki haar hai

Roti Ma ko sambhala tumne, dil mai liye hazaro sawal
Bin puche kuch, her halaat tumne, kiya mere sath sawikaar hai

Tham hath mera ghanto baithe rahe tum dono khamoshi se mere sath
Wo pal tumahri Ma ki zindagi main, sab se bada uphaar hai

Mujhe dekh thaka-preshan, sab kaam khud kar jaate ho
Bana nanhe hatho se khana, phir kahte Muskuara ke, Ma khana tyaar hai

Chulbuli hansi yah tumhari, jeene ki shakti deti hai
Dil se Pa sath tumhara, zindagi ka diya her dukh bhi mujhe sawikaar hai

Jab bhi dil ho ayya bechain, apni pyari baato se ubhara tumne
Tumahra jeevan ban jaaye uttam, bas yahi is Ma ke jeene ka ab saar hai

Dil mai samman bahoot, ankhon main payar hai
E-mere bacho, Dil Se Shukaria Tumahara, tumse yah mera jeevan-sanaar hai!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Waah...Bohot hi Khoob..itna pyara ehsas aapka...aur itne pyaare bachche...Mashallah...Allah aap ki zindagi main yunhi khushian bikherta rahe Di...Just wonderful......!!

Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: February 11, 2009, 12:24:53 PM »
Reply with quote
waise yah meri nahi, her ek MA ki problem hai, Jab baat bacho per aa jaaye to rukna mushkil ho jaata hai... ek aor kavita apne dono beto ko najar main rakhte hue

Meri ek Muskaan per khilkhilaye ho
Mere ek ansoo per tadap dikhaye ho

Gale laga kar mujhe, raah dikhate ho
Nanhe nahe hatho se, ansoo poche jaate ho

Itani si umar main bhi, meri khushi ka soche jaate ho
Dhanaye hue main, her tarah se, meri Kokh ki laaj nibhaye jaate ho

Dekh mujhe udaas, apni shararto se mera man behlaaye jaate ho
Kaise khushi se main ji sakti hu, na jaane kaya kaya soch apne se, mujhe samjhaye jaate ho

Dikha apna yah pyaar, mujhe jeene ki himmat diye jaate ho
Her boori najar se bhagwaan tumhe bachaye,
Gumo ke sitaro main bhi, Puranmasi ka chand diye jaate ho!!!

Mashallah....Allah unhe har buro nazar se mehfooz rakhe.....Bohot pyaara likha hai aapne..!!
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #9 on: February 11, 2009, 12:27:38 PM »
Reply with quote
Bahoth qoob Pooja bahen !! subhan allah kya ahesas se bayan hai la fani mahobbath ka !!

Kissi ke hisse ghar aya !
kissi ke hisse dukan aa-e- !!
mai ghar me subse chuta tha !!
mere hisse maa aa-e- !!

.........Munawar Rana ............

Qadeer Toopchi
Logged
rawattanha
Guest
«Reply #10 on: February 11, 2009, 12:50:06 PM »
Reply with quote
bahut khoob pooja ji
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #11 on: February 11, 2009, 02:49:03 PM »
Reply with quote
Bahut hi khoob, Pooja ji!   Applause Applause Clapping Smiley
Mein bhi to maan kaa hi bachchaa hoon Pooja ji!
Maan keen duaayen hain: achchhaa hoon Pooja Ji!
Kaash aaj meyree maam zindah hotee: mein bhi,
Kahtaa,"Sachchee maan, sachchaa hoon mein!" Pooja ji!
                                 - abd bundeli
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: February 11, 2009, 04:32:02 PM »
Reply with quote
Bahoot bahoot shukaria Celmira, Qaderr bhai ji, Rawat ji and Abd ji.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #13 on: February 11, 2009, 04:36:35 PM »
Reply with quote
Waah Didi Jaan, Bohat Hi Badhiya,.
Kya Khoob Hai, Wakhai Kamaal Ka Hai Ye,.

Yunhi Likhte Rahiyo,.
Rab Ji Tumhaara Bhala Kare,.
Khush Raho,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: February 11, 2009, 04:43:16 PM »
Reply with quote
Waah Didi Jaan, Bohat Hi Badhiya,.
Kya Khoob Hai, Wakhai Kamaal Ka Hai Ye,.

Yunhi Likhte Rahiyo,.
Rab Ji Tumhaara Bhala Kare,.
Khush Raho,.

Shukaria Lil bro..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 01:32:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer