Prateekji bahut sunder rachna pesh ki hai aapne...

Diya aur baati.....Jaise Pati aur Patni...yug yug k saathi...
Dono k pehlu ko bakoobi dil ko chhone wale andaaj mai likhe hai
Anekantwad ka sahi udharan hai...Jyadatar log ek he disha mai sochte hain...
Kewal apna khud ka dard....
Dusare ka dard dekh he nahi paate...Wonderful creation....

Diye ka dikha prakash sabko
Jalta raha tel aur jali baati
Diye ko he chahe mila sammaan
Par they wo do-jism ek jaan
Yug-yug k saathi diya aur baati
yeh jo neeche likhi kavita prastut(sharing) kar raha hu--mujhe bahut priy he.Vaastav mein jo kavita hoti he woh kayi drishtikon ko ujaagar karti he ek saath..usi shreni mein yeh kavita jo yeh darshaati he..kavi sahi ya galat nahi hota..mehaz andaaz hota he uska ek hi baat ke kayi paksh rakhne ka!kavita jinke dwara rachit he woh mere adarniyechachaji he-mein aap tuk pahucha raha hu -
Diya aur baati
[font=Verdana][/font]
DIYA
Ek Deepak
Yaani
Diya sung baati
Theek vaise hee aap
Jeevan saathi-
Raat bhur baati sulagti rahi
Apna tun-mun nyochaavar kar
Chahu aur prakash karti rahi
‘samarpan hi jeevan he’
Is soch ke saath
Nrantar jalti rahi
Antim shwaas tuk
Apna kartvya nirvaah karti rahi
Sudh budh khokar apne tun mun ki
Jeevan saathi ke maan samman ke liye
Sheesh jale,pur paav pur adig adi rahi
Tapasya aur tyaag ke bal pur khadi rahi
Aur vahi hua
Jo hona tha
Bhor hui
Saara jug bol pada
Diya raat bhur jala----
Jali baati
Naam diye ka ho gaya
Baati ka samarpan
Sada ki tarah ek baar fir
Suraj ki roshni mein kho gaya
Baati ki mun-muraad poori ho gayi
Diye ko prakhyaat karna thaa
Swayam jul kar bhee
Apna dhyeye poora kur gayi!
Baati
Aap jivan saathi
Jaise diya aur baati
‘diya’ vahi kehla sakta he
Jisne aajeevan diya ho
Dosroon ke liye jiya ho
Jalti baati ko sadev
Apne antahsthal se chipka kar rakhta
Us ki ushnta ko
Maun ho,shaant mun,chupchaap,prati pul sehta
Apna dard kisi ko nahi kehta
hum jaante he-------
diye ke praano mein chupa pyaar
diye ke udaar vichaar
susanskaar
uska sadachaar
diye ke kaaran he
aaj bagichey mein bahaar
khushhaal he poora parivaar
diye ka vishisht vyavaahar
baati ko dila diya
samaaj mein satkaar
Aur jagaadi
Hriday mein jhankaar
Nahi bhoola payegi baati
Diye ka upkaar!(N/M)
Prateek