Diya aur baati

by Prateek Mardia on July 09, 2008, 05:18:26 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 7848 times)
Prateek Mardia
Guest
Reply with quote
yeh jo neeche likhi kavita prastut(sharing) kar raha hu--mujhe bahut priy he.Vaastav mein jo kavita hoti he woh kayi drishtikon ko ujaagar karti he ek saath..usi shreni mein yeh kavita jo yeh darshaati he..kavi sahi ya galat nahi hota..mehaz andaaz hota he uska ek hi baat ke kayi paksh rakhne ka!kavita jinke dwara rachit he woh mere adarniyechachaji he-mein aap tuk pahucha raha hu -


                              Diya aur baati

[f
ont=Verdana][/font]
DIYA


Ek Deepak
Yaani
Diya sung baati
Theek vaise hee aap
Jeevan saathi-
Raat bhur baati sulagti rahi
Apna tun-mun nyochaavar kar
Chahu aur prakash karti rahi
‘samarpan hi jeevan he’
Is soch ke saath
Nrantar jalti rahi
Antim shwaas tuk
Apna kartvya nirvaah karti rahi
Sudh budh khokar apne tun mun ki
Jeevan saathi ke maan samman ke liye
Sheesh jale,pur paav pur adig adi rahi
Tapasya aur tyaag ke bal pur khadi rahi

Aur vahi hua
Jo hona tha
Bhor hui
Saara jug bol pada
Diya raat bhur jala----
Jali baati
Naam diye ka ho gaya
Baati ka samarpan
Sada ki tarah ek baar fir
Suraj ki roshni mein kho gaya
Baati ki mun-muraad poori ho gayi
Diye ko prakhyaat karna thaa
Swayam jul kar bhee
Apna dhyeye poora kur gayi!



Baati

Aap jivan saathi
Jaise diya aur baati
‘diya’ vahi kehla sakta he
Jisne aajeevan diya ho
Dosroon ke liye jiya ho
Jalti baati ko sadev
Apne antahsthal se chipka kar rakhta
Us ki ushnta ko
Maun ho,shaant mun,chupchaap,prati pul sehta

Apna dard kisi ko nahi kehta
hum jaante he-------
diye ke praano mein chupa pyaar
diye ke udaar vichaar
susanskaar
uska sadachaar
diye ke kaaran he
aaj bagichey mein bahaar
khushhaal he poora parivaar
diye ka vishisht vyavaahar
baati ko dila diya
samaaj mein satkaar
Aur jagaadi
Hriday mein jhankaar
Nahi bhoola payegi baati
Diye ka upkaar!(N/M)



Prateek
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ya Gham Na Diya Hota, Ya Dil Na Diya Hota by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
sahil ki baati by humaurtum in Shayri-E-Dard
Diya aur Baati by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
Pathar bana diya mujhe rone nahin diya ... by diya786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: July 09, 2008, 05:44:08 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause bahoot arthpurn kavita share karne ke liye saadhuvad......
tyag ki is paribhasha ko samjhane ka pryas sarahneey hai..aur is kavita ka vishesh pahlu hai ki aapko sikke ke dono pahloo ko dekhna hoga......kahte hain taali ek haath se nahi bajati...........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: July 09, 2008, 05:48:22 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob Prateek ji... yah lines rula gai:

Diya sung baati
Theek vaise hee aap
Jeevan saathi-
Raat bhur baati sulagti rahi
Apna tun-mun nyochaavar kar
Chahu aur prakash karti rahi
‘samarpan hi jeevan he’
Is soch ke saath
Nrantar jalti rahi


bahoot he achi kavita apne hum sab ke sath banti hai!!  bahoot acha lga pard kar!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: July 09, 2008, 05:55:41 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob sharing ki aaapne prateekji..sach mein padhkar ek anand sa aaya..bahut hi ache..

Aap jivan saathi
Jaise diya aur baati
‘diya’ vahi kehla sakta he
Jisne aajeevan diya ho
Dosroon ke liye jiya ho..
 Applause Applause Applause
Logged
sarthika
Guest
«Reply #4 on: July 10, 2008, 03:15:00 AM »
Reply with quote
 Applause Applause bahoot he umda kavita app laye hai Prateek ji.

Diya aor bati, wah kaya sath hai
jal kar, tapish dena, bati ka kaam hai
jal kar bhi sanjoye, wah re deepak
ek ka jal jana diye main, ek ka khamoshi se sath hai
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #5 on: July 10, 2008, 04:26:07 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause bahoot arthpurn kavita share karne ke liye saadhuvad......
tyag ki is paribhasha ko samjhane ka pryas sarahneey hai..aur is kavita ka vishesh pahlu hai ki aapko sikke ke dono pahloo ko dekhna hoga......kahte hain taali ek haath se nahi bajati...........

Bekarar ji,

Shukriya -aapne kavita ko pehchaana aur saraahna ki.

Prateek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #6 on: July 10, 2008, 04:28:14 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahoot khoob Prateek ji... yah lines rula gai:

Diya sung baati
Theek vaise hee aap
Jeevan saathi-
Raat bhur baati sulagti rahi
Apna tun-mun nyochaavar kar
Chahu aur prakash karti rahi
‘samarpan hi jeevan he’
Is soch ke saath
Nrantar jalti rahi


bahoot he achi kavita apne hum sab ke sath banti hai!!  bahoot acha lga pard kar!!

pooja ji,

padhne ke liye shukriya,maine jub se padhi he-roz gungunaata hu kuch panktiyan.

Prateek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #7 on: July 10, 2008, 04:31:01 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob sharing ki aaapne prateekji..sach mein padhkar ek anand sa aaya..bahut hi ache..

Aap jivan saathi
Jaise diya aur baati
‘diya’ vahi kehla sakta he
Jisne aajeevan diya ho
Dosroon ke liye jiya ho..
 Applause Applause Applause

Khwaish ji,

Jo aap ko pasand aa jaye -us kavita ka nisandeh sundar hone pur mohar si lug jaati he.kyonki aap paarkhi hein ,maIN Jaanta hu.

Prateek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #8 on: July 10, 2008, 04:33:00 AM »
Reply with quote
Applause Applause bahoot he umda kavita app laye hai Prateek ji.

Diya aor bati, wah kaya sath hai
jal kar, tapish dena, bati ka kaam hai
jal kar bhi sanjoye, wah re deepak
ek ka jal jana diye main, ek ka khamoshi se sath hai

saarthika ji,

Samay dene ke liye shukriya,mujhe is kavita ka postman ban-ne ka gaurav prapt hua--mujhe bhee khushi he.

Prateek
Logged
punam
Guest
«Reply #9 on: July 10, 2008, 04:46:54 AM »
Reply with quote
Bahot hi khoob...nice sharing prateek ji....
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #10 on: July 10, 2008, 05:09:27 AM »
Reply with quote
prateek ji bohut hi achi kavita share ki hai aapne
thnks for shayring with us
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #11 on: July 10, 2008, 11:08:00 AM »
Reply with quote
Prateek ji,

Jaisa ki Sanjeev ne kaha, bahut hi arthpuran kavita hai.
Is kavita ki jitni bhi tareef kari jaaye, kam hi lagegi.. 
Aur dekhiye, taali dono haathon se bajj rahi hai.. Applause Applause  Usual Smile

Bahut Bahut shukriya, is kavita ko ham sab ke beech laane ka aur iske dono pehluon se awgat karwaane ke liye..  notworthy
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #12 on: July 11, 2008, 05:25:18 AM »
Reply with quote
Bahot hi khoob...nice sharing prateek ji....

shukriya poonam ji.

Prateek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #13 on: July 11, 2008, 05:29:09 AM »
Reply with quote
prateek ji bohut hi achi kavita share ki hai aapne
thnks for shayring with us

shukriya bhawna ji.main yahi soch raha tha-kisi aur ki cheez ko baatne mein bhala kya takleef ho sakti he! maza to khud ke khajaane ko baatne aur lutaane ka he!islye shukriya ki koi baat nahi yahaan...

Pratek
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #14 on: July 11, 2008, 05:32:47 AM »
Reply with quote
Prateek ji,

Jaisa ki Sanjeev ne kaha, bahut hi arthpuran kavita hai.
Is kavita ki jitni bhi tareef kari jaaye, kam hi lagegi.. 
Aur dekhiye, taali dono haathon se bajj rahi hai.. Applause Applause  Usual Smile

Bahut Bahut shukriya, is kavita ko ham sab ke beech laane ka aur iske dono pehluon se awgat karwaane ke liye..  notworthy

mahiya ji,

aapne kavita ko samjha aur parkha,mujhe santushti he.khajana lut raha ho aur saksham vyaktiyon tuk pahuch jaaye...to khajaane ka uddhaar nischit ho jaata he!

Prateek
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 11, 2025, 03:48:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 27, 2025, 09:31:46 AM]

[April 24, 2025, 01:10:57 AM]

[April 09, 2025, 05:20:40 AM]

[April 09, 2025, 05:18:27 AM]

[April 09, 2025, 05:10:46 AM]

[April 09, 2025, 05:10:02 AM]

[April 09, 2025, 05:09:16 AM]

[April 09, 2025, 05:04:37 AM]

[April 09, 2025, 05:00:46 AM]

[April 06, 2025, 08:03:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8515 Real Poets and poetry admirer