Halaat Ke Darr Se Rukhne Walo Ko Maine Kabhi Phir Sambhalte Hue Nahi Dekha...

by khwaish on August 20, 2009, 04:35:03 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3471 times)
poppoetry
Guest
«Reply #15 on: August 21, 2009, 05:47:11 PM »
Reply with quote
Equally nice reply Pooja bohot bohot khoob dear  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut khushi hui aapko pasand aaya Celmira ji...bahut bahut shukriya
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #16 on: August 21, 2009, 05:53:56 PM »
Reply with quote
wah wah bahoot khoob Nikhaar!!
Teh dil se Shukriya Pooja ji
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #17 on: August 22, 2009, 09:36:41 AM »
Reply with quote
Wah wah Khwaish ji and Nikhaar ji,bahut khoob,really touching,mindblowing creation. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Thank you sooooo much dear madhu
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #18 on: August 22, 2009, 09:38:16 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Khwaish bhaiya..Wonderful touching lines...  Clapping Smiley and nice reply Nikhaar dear  icon_thumleft
Bahur bahut shukraana Roja ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #19 on: August 24, 2009, 05:48:34 PM »
Reply with quote
bahut accha likha hai aapne khwahish ji Applause

Sirf ek baat kahunga aap se, na jaane kahaan suni thi

"If its not a happy ending then its not the ending"
Giggle

Bahut bahut Shukriya Reaperji..

Aur Bahut Sahi Baat Kahin hai Apne.. Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005

View Profile
«Reply #20 on: August 24, 2009, 05:55:24 PM »
Reply with quote
Yeh Nazm Ek Aise Dost Ke Liye Likhi gayi Hai,Jisse Meri Mulakat Kuch hi Din Pehle Hui hai..Kabhi-Kabhi Hum Sochte Hai Ke Sirf Hum Hi Hai Jo Pareshaan Hai Yaa Kuch Bure Haalat Aur Majbooriyon Ke shikaar Hai..Par Jab Hum kisi Aur Ko Har Mushkil Ka Saamna Dat Kar Karte Hue Dekhte Hai To shukar Karte hai Uss Khuda Ka Ke Uss Shaks Ki Jageh Par Hum Nahi..Kuch Aise Hi Jazbaat Ko Zehan Mein Rakh Kar Likh Raha Hoon..Umeed Karta Hoon Ke Aap Sab ke Dil Ko Chuu Sakoon..Shukriya...

Jo Bichad Jaaye Ek Baar,Unhe Phir Milte Nahi Dekha..
Zakhm To Khaaye Bahut Par Zakhmo Ko Kabhi Silte Nahi Dekha...

Dekha Hai Maine Bhi Badalte Hue Mausam Ko!!
Par Jo Phool Giir Jaaye Ek Baar Apni Daali Se,
Unhe phir Kabhi Khilte Nahi Dekha...

Maine Dekha Hai Aaj Ek Aise Shaks Ko Jo Har Haal Mein Muskurata Hai!!
Aandhiyon Ke Darr Se Usse Kabhi Hilte Nahi Dekha..

Jo Kuch Bhi Tere Saath Hua Hai Woh Teri Taqdeer Mein Likha Tha!!!
Maine Kisi Insaan Ko Apne Haathon se, Apni Hi Taqdeer Ko likhte Nahi Dekha..

Asaan Hai Mera Sirf Yeh Keh Dena Ke, "Tu Himmat Naa Haar!"
Sach To Yeh Hai Ke Tere Jageh Par Maine Kabhi Khud Ko Rakh Kar Nahi Dekha..

Kuch Rishte Aaene Ki Tarah Hote Hai Jo Toot Jaaye To Daraar Aana Laazmi Hai!!
Toothe Hue sheehse Ko Maine Kabhi Phir Juudte Nahi Dekha..

Jo Kisi Raah Par Tere Ladkada Jaaye Yeh kadam To "Tu Rukh Mat!"
Halaat Ke Darr Se Rukhne Walo Ko Maine Kabhi Phir sambhalte Nahi Dekha..

"Khwaish" Yeh Jaanta Bhi Hai Aur Yeh Maanta Bhi Hai,
Ke Suuni Jaati Hai Har Fariyad Uske Darbaar mein!!!
Woh Khuda Sirf Deta Hai Sab Kuch!!!!!
Maine Usse Kissi Se Kabhi Kuch Cheente Hue Nahi Dekha...

                   ~~~~~Khwaish~~~~~

Applause Applause Applause Applause
behtreen behtreen bahoot hi sadhe shabdon me apne khyal ko panno par utarne me aapko maharat hasil ho gai hai dost....
daad kabool farmayen..
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #21 on: August 24, 2009, 08:26:45 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Shukriya Reaperji..

Aur Bahut Sahi Baat Kahin hai Apne.. Clapping Smiley Clapping Smiley

shukriya khwahish ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #22 on: August 26, 2009, 04:13:21 PM »
Reply with quote
kya kahe Khwaish ji.....har alfaaz sachai ko darsha rha hai.....na jaane kyu aankhe nam ho rahi hai.....
phr bhi baar-baar parrne ka dil kar rha hai......kya kahu....
Applause Applause Applause Applause Applause
Khuda aapke dost ko himmat bakhshe....

Khuch likhe bina yha se jaane ka man nahi kiya isliye khuch likhne ki gustaakhi kar rahi hu.....

Bichde hai aaj to jarur koi vajah hogi
Waqt k maaron ki bhi koi to dawaa hogi

Taqdeer mein likhe dukh ko sehna hai,seh lenge
Hamein iss raah laane walo ki bhi to koi saja hogi

Zakhmo ka kya hai dost...aaj taaze hai,kal bhar jaayenge
Baaki rahege jo nishaan,wo bhi mit jaayenge ek din
Jab khuda ki rehmat se khushiya chaaron aur hogi

Dua hai rab se, meri jagah tu kabhi aaye bhi na
Zindagi yu jeene se badi kya koi saja hogi

Prem ki dor se bandhe rishte tutte nahi kabhi
Jo tutte un rishto me yakeenan kahi kami hogi

Uske karm se hi jee rahe hai hum apni zindagi
Aitbaar hai uss khuda par,
Meri har ardaas uske darbaar me kabul hogi

Aaj gum diye hai kal khushiya bhi wo hi dega
Achhai ki aaj bhi burai par jeet hogi...

Teri har baat yaad rakhenge "Khwaish"
Halaaton se darr kar rukne waalon mein,
kabhi hamaari maujudagi na hogi.....

Bahut bahut Shukriya Pooja,Aapne iss Nazm ke Ehsaas Ko samjha..Teh Dil Se Shukriya Aapka..Aur Mere Liye Isse Bada Koi Inaam Na Hoga Ke Aap Isse Baar-Baar Padhe.. Usual Smile

Bahut bahut Khooob Likha Hai Aapne..Itni Asaani Se Aap Itna Khoob Jawab de Jaate Ho Ke Main sach mein Hairaan Ho jaata Hoon..

Bahut bahut Khoob Pooja.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Gham Milte Hai Ab jitne Bhi Usse Khushi ka Hi Naam Dete Hai
Hum Dard Ko Hi Ab Zindagi Ka Naam Dete Hai!!!

Bichad Jaane Ki wajeh Ab kaun Kisse Puche??
Ab Jo bhi Likha Hai Apne Taqdeer mein,
Usse Hi Apna Naseeb Maan Lete Hai!!

Tujhse Door Rehkar Bhi Hum Tujhko Kabhi Bhula Naa Sake,
Hum Isse Bhi Apni Hi Deewangi Ka Naam Dete Hai!!!

Zakhm Bhar Jaaye To Theek Varna Hum To Aise Shaks Hai,
Jo Ashko Ko APne Aankhon Mein Hi Thaam Lete Hai!!!

Dua Hai meri Bhi Rabb Se Ke Zindagi tujh Par Kuch Asaan Rahe!!
Laakh Chupalo Gham Apne,Hum To Tujhe Ek Nazar mein Hi pehchaan Lete Hai!!

Teri Uss Baat par Hum Bhi Tujhse Yeh kehte Hai "Pooja"
Gairon Ki mehfil mein Bhi Hum tujhe Apna Maan Lete Hai!!

"Khwaish" Muskurukar Hi keh Deta Hai Kabhi-Kabhi!!
Hum Tujhse Zyaada Tujhko Jaan Lete Hai!!!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #23 on: August 27, 2009, 05:37:23 PM »

Teh-dil se shukriya khwaish ji....aapne chand alfaazon mein hi bahut khuch keh diya...bahut bahut shukriya... Usual Smile notworthy
 
Bahut pyaar likha hai aapne....khuch alfaaz to sidha dil mei hi utar gaye.....
bahut bahut khuuuuuuuuuuuub Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khushi ki apni duniya mein tu ghamon ko na aane de
Zindagi ko ek nayaa saaj tu bajaane de

Khuch gham hum khud hi apni taqdeer mein likhte hai
Jeene ka mjaa aaye jab tu muskuraye aur inn ghamon ko sharmaane de

Fiza me chhayaa ye dhua rahega nahi aankhir tak
Apne dil k panchi ko tu khule aasmaan mein jaane de

Dil mein bani tasveer ko gar tu mita sakta nahi
Kyu kare phir bhulaane ki koshish,
Kyu zindagi ko yu hi beet jaane de

Dard ko zindagi ka naam dena,ye lafj tujh par jachte nahi
Tu wo shakhs hai jo bikhre lafjon ko samet kar ghazal ek nayi banaa de
Teri har ghazal ko tu aaj hamein gumgunaane de

Ashqon ko aankhon mein thamnaa bura nahi hai dost
Lekin sailaab aane se accha,
Inn ashqo ko pal dar pal palkon ki raah se beh jaane de

Khush bhi hoon , hairaan bhi hoon, ye jaankar
Gairon me shaamil hamein tum apna maan lete ho
Aaj iss baat ko tu mujhe baar-baar dohraane de

Waqt,taqdeer,naseeba,qismat..khuch bhi keh lo "khwaish"
Inn sabka mila-jula khel hai sab,
Har pal mein ek nya rang tu mil jaane de
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #24 on: August 28, 2009, 05:41:19 AM »
Reply with quote
Teh-dil se shukriya khwaish ji....aapne chand alfaazon mein hi bahut khuch keh diya...bahut bahut shukriya... Usual Smile notworthy
 
Bahut pyaar likha hai aapne....khuch alfaaz to sidha dil mei hi utar gaye.....
bahut bahut khuuuuuuuuuuuub Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khushi ki apni duniya mein tu ghamon ko na aane de
Zindagi ko ek nayaa saaj tu bajaane de

Khuch gham hum khud hi apni taqdeer mein likhte hai
Jeene ka mjaa aaye jab tu muskuraye aur inn ghamon ko sharmaane de

Fiza me chhayaa ye dhua rahega nahi aankhir tak
Apne dil k panchi ko tu khule aasmaan mein jaane de

Dil mein bani tasveer ko gar tu mita sakta nahi
Kyu kare phir bhulaane ki koshish,
Kyu zindagi ko yu hi beet jaane de

Dard ko zindagi ka naam dena,ye lafj tujh par jachte nahi
Tu wo shakhs hai jo bikhre lafjon ko samet kar ghazal ek nayi banaa de
Teri har ghazal ko tu aaj hamein gumgunaane de

Ashqon ko aankhon mein thamnaa bura nahi hai dost
Lekin sailaab aane se accha,
Inn ashqo ko pal dar pal palkon ki raah se beh jaane de

Khush bhi hoon , hairaan bhi hoon, ye jaankar
Gairon me shaamil hamein tum apna maan lete ho
Aaj iss baat ko tu mujhe baar-baar dohraane de

Waqt,taqdeer,naseeba,qismat..khuch bhi keh lo "khwaish"
Inn sabka mila-jula khel hai sab,
Har pal mein ek nya rang tu mil jaane de

Koi Lafz Hi Nahi Mere Paas, Jo Iss Jawaab Ke tareef mein Kuch keh Sake..Har Ek Sher Lajawaab!!!!

Bahut Bahut Bahut Khoooob Pooja. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

jald Hi Ek Koshish Zaroor Karunga, Kuch Jawaab mein Kehne ki,Par Filhaal To Bahut Khoob Mere Dost!! icon_salut icon_salut
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #25 on: August 28, 2009, 05:01:32 PM »
Reply with quote
bahut bahut bahut bahut shukriya Khwaish ji......aapke ye alfaaz hi mere liye tareef hai....itne pyaare lafjon k liye teh-dil se shukriya  notworthy

Aapke jwaab ka intzaar rahega.... Usual Smile
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #26 on: August 28, 2009, 10:09:43 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Shukriya Pooja,Aapne iss Nazm ke Ehsaas Ko samjha..Teh Dil Se Shukriya Aapka..Aur Mere Liye Isse Bada Koi Inaam Na Hoga Ke Aap Isse Baar-Baar Padhe.. Usual Smile

Bahut bahut Khooob Likha Hai Aapne..Itni Asaani Se Aap Itna Khoob Jawab de Jaate Ho Ke Main sach mein Hairaan Ho jaata Hoon..

Bahut bahut Khoob Pooja.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Gham Milte Hai Ab jitne Bhi Usse Khushi ka Hi Naam Dete Hai
Hum Dard Ko Hi Ab Zindagi Ka Naam Dete Hai!!!

Bichad Jaane Ki wajeh Ab kaun Kisse Puche??
Ab Jo bhi Likha Hai Apne Taqdeer mein,
Usse Hi Apna Naseeb Maan Lete Hai!!

Tujhse Door Rehkar Bhi Hum Tujhko Kabhi Bhula Naa Sake,
Hum Isse Bhi Apni Hi Deewangi Ka Naam Dete Hai!!!

Zakhm Bhar Jaaye To Theek Varna Hum To Aise Shaks Hai,
Jo Ashko Ko APne Aankhon Mein Hi Thaam Lete Hai!!!

Dua Hai meri Bhi Rabb Se Ke Zindagi tujh Par Kuch Asaan Rahe!!
Laakh Chupalo Gham Apne,Hum To Tujhe Ek Nazar mein Hi pehchaan Lete Hai!!

Teri Uss Baat par Hum Bhi Tujhse Yeh kehte Hai "Pooja"
Gairon Ki mehfil mein Bhi Hum tujhe Apna Maan Lete Hai!!

"Khwaish" Muskurukar Hi keh Deta Hai Kabhi-Kabhi!!
Hum Tujhse Zyaada Tujhko Jaan Lete Hai!!!

kamal kar diya aapne khwaish ji
kya panktiyaan likhi hain Applause Applause Applause Applause
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #27 on: August 28, 2009, 10:11:45 PM »
Reply with quote
Teh-dil se shukriya khwaish ji....aapne chand alfaazon mein hi bahut khuch keh diya...bahut bahut shukriya... Usual Smile notworthy
 
Bahut pyaar likha hai aapne....khuch alfaaz to sidha dil mei hi utar gaye.....
bahut bahut khuuuuuuuuuuuub Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Khushi ki apni duniya mein tu ghamon ko na aane de
Zindagi ko ek nayaa saaj tu bajaane de

Khuch gham hum khud hi apni taqdeer mein likhte hai
Jeene ka mjaa aaye jab tu muskuraye aur inn ghamon ko sharmaane de

Fiza me chhayaa ye dhua rahega nahi aankhir tak
Apne dil k panchi ko tu khule aasmaan mein jaane de

Dil mein bani tasveer ko gar tu mita sakta nahi
Kyu kare phir bhulaane ki koshish,
Kyu zindagi ko yu hi beet jaane de

Dard ko zindagi ka naam dena,ye lafj tujh par jachte nahi
Tu wo shakhs hai jo bikhre lafjon ko samet kar ghazal ek nayi banaa de
Teri har ghazal ko tu aaj hamein gumgunaane de

Ashqon ko aankhon mein thamnaa bura nahi hai dost
Lekin sailaab aane se accha,
Inn ashqo ko pal dar pal palkon ki raah se beh jaane de

Khush bhi hoon , hairaan bhi hoon, ye jaankar
Gairon me shaamil hamein tum apna maan lete ho
Aaj iss baat ko tu mujhe baar-baar dohraane de

Waqt,taqdeer,naseeba,qismat..khuch bhi keh lo "khwaish"
Inn sabka mila-jula khel hai sab,
Har pal mein ek nya rang tu mil jaane de

nikhaar ji
aapnki panktiyaan josh bharti hain
aise hi likhte rahiye

ho sake to isse alag thread mein lihein for greater reach

Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #28 on: August 29, 2009, 01:28:37 PM »
Reply with quote

Dekha Hai Maine Bhi Badalte Hue Mausam Ko!!
Par Jo Phool Giir Jaaye Ek Baar Apni Daali Se,
Unhe phir Kabhi Khilte Nahi Dekha...

Asaan Hai Mera Sirf Yeh Keh Dena Ke, "Tu Himmat Naa Haar!"
Sach To Yeh Hai Ke Tere Jageh Par Maine Kabhi Khud Ko Rakh Kar Nahi Dekha..

Kuch Rishte Aaene Ki Tarah Hote Hai Jo Toot Jaaye To Daraar Aana Laazmi Hai!!
Toothe Hue sheehse Ko Maine Kabhi Phir Juudte Nahi Dekha..

Jo Kisi Raah Par Tere Ladkada Jaaye Yeh kadam To "Tu Rukh Mat!"
Halaat Ke Darr Se Rukhne Walo Ko Maine Kabhi Phir sambhalte Nahi Dekha..

                   ~~~~~Khwaish~~~~~[/size]
[/b]
Bahut hee achchhaa likhaa hai Khwaish ji! Your observations are realistic and inspiring!  Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
                                - abd bundeli
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #29 on: August 29, 2009, 04:47:10 PM »
Reply with quote
nikhaar ji
aapnki panktiyaan josh bharti hain
aise hi likhte rahiye

ho sake to isse alag thread mein lihein for greater reach

Applause Applause Applause
bahut bahut shukriya thegrim ji.....aapne iss thread ko apna waqt diya....

ye panktiyaan maine khwaish ji ki likhi hui panktiyoon k jwaab k roop me likhi hai....isse alag thread mein likh to du lekin iska title kya hona chahiye...ye mai nahi jaanti
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 11:47:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.208 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer