इश्क़ दिल में एक सजदा गाह बनाने का नाम है
फिर उसमे एक माशूक़ बिठाने का नाम है
Ishq dil me ek sajda gaah banaane ka naam hai
phir usme ek maashuq bithaane ka naam hai
----------
कुछ राज़ दिल में ही छुपाने का नाम है
और नज़र से सब कुछ बताने का नाम है
kuch Raaz dil mein hi chupaane ka naam hai
Aur nazar se sab kuch bataane ka naam hai
------------
किसी को यूँ ही टूटकर चाहने का नाम है
किसी की याद में ही खुद को सजाने का नाम है
Kisi ko yun hi tootkar chaahne ka naam hai
kisiki yaad me hi khud ko sajaane ka naam hai
------------
किसी पर अपना सब कुछ लुटाने का नाम है
बीते लम्हात के एक हसीन ख़ज़ाने का नाम है
Kisiper apna sab kuch lutaane ka naam hai
beete lamhaat ke ek haseen khazaane ka naam hai
---------------
कभी कभी खामोशी से कुछ इज़हार का नाम है
और कभी बोलते हुए एक असरार का नाम है
kabhi ek khaamosh se kisi izhaar ka naam hai
aur kabhi bolte hue ek asraar ka naam hai
---------------
दिखे वो तो दिल के उछल जाने का नाम है
वरना दिल के मायूस बैठ जाने का नाम है
dikhe wo to dil ke uchal jaane ka naam hai
warna dil ke maayus baith jaane ka naam hai
-----------------
'राशिद' इश्क़ ज़ीस्त के खो जाने का नाम है
लोग समझते है "कुछ" मिल जाने का नाम है
'Raashid' Ishq zeeist ke kho jaane ka naam hai
Log samjhte hai "kuch" mil jaane ka naam hai