Kaun hai..............???

by jannatjahan on March 25, 2009, 02:00:25 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1297 times)
jannatjahan
Guest
Reply with quote
Matlabi jahan me apna kehlaane wala kaun hai,
chalate hai khanjar sabhi, jakham mitane wala kaun hai

ghataon se barasta pani bhi ab khuni ho chala hai
khun se sarabor zindagi ko dhone wala kaun hai,

aate hai sabhi akele jahan me, jaate bhi tanha hi
is akelepan ke khauff ko mitane wala kaun hai,

dil bhi sabke alag alag, alag alag hi majhab
is majhabi duniya me apnaiyat lane wala kaun hai,

apne apne gharon ko to roshan kar lete hain sabhi
magar kisi garib ke ghar me ujala karne wala kaun hai,

apne liye to apni zindagi jee lete hain lagbhag sabhi
jiye jo zindagi auron ke liye, aisa dilwala kaun hai,

ab sabra ke daaman par humne pakad majbut kar li hai yaaron
magar bhagti duniya me sabra aajmane wala kaun hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaun ho tum??..... by Namkeen in Shayri for Khumar -e- Ishq
woh kaun tha?? by amritflora in Shayri-E-Dard
kaun aya hai by bekarar in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
app ka kaun tha by Azedmeer in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
{Ye Kaun Hai} by angel4u in Shayri-E-Dard
Roja
Guest
«Reply #1 on: March 25, 2009, 02:04:04 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

Bahut khoob Seema dear..... superb  Applause Applause Applause
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #2 on: March 25, 2009, 02:18:43 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

Bahut khoob Seema dear..... superb  Applause Applause Applause
Thanks but i m not seema dear
Logged
asma zehra
Guest
«Reply #3 on: March 25, 2009, 02:21:31 PM »
Reply with quote
Bahot khoob likha hai aap ne

Aap ki hausla afzaai ke liye chand panktiyaan pesh hai:


Ek se ek mile to kaarwaan ban jaata hai
khatre-khatre se dekho sagar bhar jaata hai

Ghataa kab talak chupaa sakega suraj ko
Badal ke baraste hi aasmaan mil jaata hai

Sabr kyon aazmaaye koi, tum khud ko aazmaao
Manzil par ho nazar to khud raasta mil jaata hai
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #4 on: March 25, 2009, 02:29:45 PM »
Reply with quote
Bahot khoob likha hai aap ne

Aap ki hausla afzaai ke liye chand panktiyaan pesh hai:


Ek se ek mile to kaarwaan ban jaata hai
khatre-khatre se dekho sagar bhar jaata hai

Ghataa kab talak chupaa sakega suraj ko
Badal ke baraste hi aasmaan mil jaata hai

Sabr kyon aazmaaye koi, tum khud ko aazmaao
Manzil par ho nazar to khud raasta mil jaata hai
nice sharing zehra ji & thanks
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: March 25, 2009, 02:32:30 PM »
Reply with quote
Bahot khoob likha hai aap ne

Aap ki hausla afzaai ke liye chand panktiyaan pesh hai:


Ek se ek mile to kaarwaan ban jaata hai
khatre-khatre se dekho sagar bhar jaata hai

Ghataa kab talak chupaa sakega suraj ko
Badal ke baraste hi aasmaan mil jaata hai

Sabr kyon aazmaaye koi, tum khud ko aazmaao
Manzil par ho nazar to khud raasta mil jaata hai

Bahut khoob Zehra ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: March 25, 2009, 07:16:49 PM »
Reply with quote
Bahaut khoob Jannar jee aur Zehra jee... Applause

Sab dosh dete hai tujhe ke diya hai dard tune Rahim,
Jo tujhe dard dejate hai unhe zalil karta kaun hai...
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: March 25, 2009, 07:18:39 PM »
Reply with quote
Matlabi jahan me apna kehlaane wala kaun hai,
chalate hai khanjar sabhi, jakham mitane wala kaun hai

ghataon se barasta pani bhi ab khuni ho chala hai
khun se sarabor zindagi ko dhone wala kaun hai,

aate hai sabhi akele jahan me, jaate bhi tanha hi
is akelepan ke khauff ko mitane wala kaun hai,

dil bhi sabke alag alag, alag alag hi majhab
is majhabi duniya me apnaiyat lane wala kaun hai,

apne apne gharon ko to roshan kar lete hain sabhi
magar kisi garib ke ghar me ujala karne wala kaun hai,

apne liye to apni zindagi jee lete hain lagbhag sabhi
jiye jo zindagi auron ke liye, aisa dilwala kaun hai,

ab sabra ke daaman par humne pakad majbut kar li hai yaaron
magar bhagti duniya me sabra aajmane wala kaun hai

Bohot Khoob Jannat Ji  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Bohot achcha likha hai aapne...
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: March 25, 2009, 07:19:55 PM »
Reply with quote
Bahot khoob likha hai aap ne

Aap ki hausla afzaai ke liye chand panktiyaan pesh hai:


Ek se ek mile to kaarwaan ban jaata hai
khatre-khatre se dekho sagar bhar jaata hai

Ghataa kab talak chupaa sakega suraj ko
Badal ke baraste hi aasmaan mil jaata hai

Sabr kyon aazmaaye koi, tum khud ko aazmaao
Manzil par ho nazar to khud raasta mil jaata hai

Bohot Khoob Asma Ji
Logged
sanya310
Guest
«Reply #9 on: April 03, 2009, 07:31:03 PM »
Reply with quote
Bohot acha likha hai jannat ji..keep writing!

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 06:45:57 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.185 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer