Kharidaar nahi milte

by bekarar on September 24, 2008, 03:08:54 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2601 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
Reply with quote


"sachche soude" ki liye ab yahan, bazar nahi milte,
sachchai aur imandaari ke, kharidaar nahi milte,

mere anjaam se be-khabr, kuch log kah gaye,
ab "ranjha, majnoo" se ishq ke, talab gar nahi milte,

"nav-ratno" ka sa ilm rakhte hai ab bhi log par
unhe akbar jaise shahnshaon ke, darbaar nahi milte,

mai roya shiddat se aur chalka aasman bhi,
log kahte hain ab "baiju bawara" se, funkaar nahi milte

masroof yun rahte hain wo paraye shagal me,
ghar loutate hain to khud ke hi, ghar-baar nahi milte,

beshaq hai kai katlon ka iljaam unke sar,
kaatil jo haathon me liye, tlawar nahi milte,

tirachi nigaah ka asar, ghayal hue kai,
hasinaon ke paas ab ye, hathiyaar nahi milte

us raste ko sahee samjhne ka guman na karna dost
jis rah pe sirf gul milen, aur khwar nahi milte

tasalli si de gaye, dushmano ke ye bayaan
tum jaise raqib jindagi me har-baar nahi milte

sare aam numaish gunahon ki, saaqi-sharab ki
Ab "Bekarar" se sidhe sade, gunahgaar nahi milte
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kyun hum-tum nahi milte by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
lekin lafz nahi milte by only aks in Shayeri for Dard -e- Bewafai
vo log nahi milte by EK LAMHA HOON MAIN in Share:Love Poetry
Hum Jaise Aashiq Nahi Milte...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Khumar -e- Ishq
kun zabaan dil kabhi nahi milte... by hameeda in Share: Poetry of Pain
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 24, 2008, 04:36:20 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah kaya baat hai Bekarar ji, bahoot khoob
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: September 24, 2008, 05:30:54 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Sanjeevji.. Applause Applause Applause
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3 on: September 24, 2008, 07:55:19 AM »
Reply with quote
shukriya pooja ji aur..khwaish ji

Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: September 25, 2008, 01:58:13 PM »
Reply with quote
Masha Allaah... Bahut hi khoob... Sanjeev ji..

Har sher mein tanz hai, zindagi ko bahut khoob jaana, pehchaana hai aapne... Yeh Aapki shayari se saaf jhalakta hai..   notworthy
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #5 on: September 25, 2008, 02:19:24 PM »
Reply with quote
Masha Allaah... Bahut hi khoob... Sanjeev ji..

Har sher mein tanz hai, zindagi ko bahut khoob jaana, pehchaana hai aapne... Yeh Aapki shayari se saaf jhalakta hai..   notworthy

shukriya ji aapka......aapki nazar
likhne se kiye touba, wo baithe hain sochkar,
ab aap jaise padhne wale dildaar nahi milte,
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: September 25, 2008, 02:31:19 PM »
Reply with quote
ha ha ha... Sahi hai... Usual Smile


Bus tanaakashi reh gayi zubaan mein,
Nafrat mein dhal gayi suron ki mehfil,
Ukhdi si dhhun kehti hai aksar humse,
Ab logo ke dilon ke taar nahin milte...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #7 on: September 25, 2008, 02:56:49 PM »
Reply with quote
bahoot khoooob shikha...................

aaj bhi taiyaar hai mere desh ke jawan
aivaz me "deshprem" ke mange to lahoo koi,
katra na mil saka to fir kahna pada mujhe
neta ab "subhash chandra bose" se asardaar nahi milte
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #8 on: September 26, 2008, 06:59:09 AM »
Reply with quote
muskarahen sounp de, badle me dard ke,
ab aise ishq ke talabgaar nahi milte,
galatiyan sare aam jo kahen "bekarar" se,
dushman to milte hain kai par yaar nahi milte



Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: September 26, 2008, 07:02:17 AM »
Reply with quote
kal kisi dost se phone pe baat ho rahi thi poocha maine kahan ho to jawab aaya "Bazar me" maine kaha bazar me kya kar rahe ho...jawab aaya "bikane ko aaya hun kharidaar nahi milte" khair baat aayi gai ho gai..par baad me is ek line ne kuch uthal puthal si macha di aur likhne baith gaya fir jo samne aaya wo aap logon ki nazar

"sachche soude" ki liye ab yahan, bazar nahi milte,
sachchai aur imandaari ke, kharidaar nahi milte,

mere anjaam se be-khabr, kuch log kah gaye,
ab "ranjha, majnoo" se ishq ke, talab gar nahi milte,

"nav-ratno" ka sa ilm rakhte hai ab bhi log par
unhe akbar jaise shahnshaon ke, darbaar nahi milte,

mai roya shiddat se aur chalka aasman bhi,
log kahte hain ab "baiju bawara" se, funkaar nahi milte

masroof yun rahte hain wo paraye shagal me,
ghar loutate hain to khud ke hi, ghar-baar nahi milte,

beshaq hai kai katlon ka iljaam unke sar,
kaatil jo haathon me liye, tlawar nahi milte,

tirachi nigaah ka asar, ghayal hue kai,
hasinaon ke paas ab ye, hathiyaar nahi milte

us raste ko sahee samjhne ka guman na karna dost
jis rah pe sirf gul milen, aur khwar nahi milte

taS**** si de gaye, dushmano ke ye bayaan
tum jaise log jindagi me har-baar nahi milte

sare aam numaish gunahon ki, saaqi-sharab ki
Ab "Bekarar" se sidhe sade, gunahgaar nahi milte


Sanjeev, maine ye poem OFFLINE reh ke padhi thi aur socha tha jab login karungi tab reply karungi...aur bas reh gaya....

Bohot hi khoob...behad baareeki se likha gaya hai..aur padhne waale pe apna asar chorh jaata hai. Applause Applause Applause
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: September 26, 2008, 07:54:09 AM »
Reply with quote
bahoot khoooob shikha...................

aaj bhi taiyaar hai mere desh ke jawan
aivaz me "deshprem" ke mange to lahoo koi,
katra na mil saka to fir kahna pada mujhe
neta ab "subhash chandr boss" se asardaar nahi milte


muskarahen sounp de, badle me dard ke,
ab aise ishq ke talabgaar nahi milte,
galatiyan sare aam jo kahen "bekarar" se,
dushman to milte hain kai par yaar nahi milte





Waah... Bahut sahi kaha aapne... Applause Applause Applause
Logged
sanya310
Guest
«Reply #11 on: September 26, 2008, 08:15:17 AM »
Reply with quote
qalaam ne aapke, kuch aisa asar chhoda
ki tareef mein lafz bhi do-chaar nahi milte..
aap jaise dil se likhne waalon ki kami jo hai
aaj kal toh aap se shayar 'bekaraar' nahi milte..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #12 on: September 26, 2008, 08:19:27 AM »
Reply with quote
qalaam ne aapke, kuch aisa asar chhoda
ki tareef mein lafz bhi do-chaar nahi milte..
aap jaise dil se likhne waalon ki kami jo hai
aaj kal toh aap se shayar 'bekaraar' nahi milte..


Kya baat hai... Sanya.. Applause
Bahut sahi kaha tumne.. Usual Smile
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #13 on: September 26, 2008, 08:24:17 AM »
Reply with quote
qalaam ne aapke, kuch aisa asar chhoda
ki tareef mein lafz bhi do-chaar nahi milte..
aap jaise dil se likhne waalon ki kami jo hai
aaj kal toh aap se shayar 'bekaraar' nahi milte..


oye hoye mai mar jaawan..kya baat hai, drunken_smilie drunken_smilie
shukriya sanya blob9
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #14 on: October 17, 2008, 04:55:18 AM »
Reply with quote
kal kisi dost se phone pe baat ho rahi thi poocha maine kahan ho to jawab aaya "Bazar me" maine kaha bazar me kya kar rahe ho...jawab aaya "bikane ko aaya hun kharidaar nahi milte" khair baat aayi gai ho gai..par baad me is ek line ne kuch uthal puthal si macha di aur likhne baith gaya fir jo samne aaya wo aap logon ki nazar

"sachche soude" ki liye ab yahan, bazar nahi milte,
sachchai aur imandaari ke, kharidaar nahi milte,

mere anjaam se be-khabr, kuch log kah gaye,
ab "ranjha, majnoo" se ishq ke, talab gar nahi milte,

"nav-ratno" ka sa ilm rakhte hai ab bhi log par
unhe akbar jaise shahnshaon ke, darbaar nahi milte,

mai roya shiddat se aur chalka aasman bhi,
log kahte hain ab "baiju bawara" se, funkaar nahi milte

masroof yun rahte hain wo paraye shagal me,
ghar loutate hain to khud ke hi, ghar-baar nahi milte,

beshaq hai kai katlon ka iljaam unke sar,
kaatil jo haathon me liye, tlawar nahi milte,

tirachi nigaah ka asar, ghayal hue kai,
hasinaon ke paas ab ye, hathiyaar nahi milte

us raste ko sahee samjhne ka guman na karna dost
jis rah pe sirf gul milen, aur khwar nahi milte

taS**** si de gaye, dushmano ke ye bayaan
tum jaise log jindagi me har-baar nahi milte

sare aam numaish gunahon ki, saaqi-sharab ki
Ab "Bekarar" se sidhe sade, gunahgaar nahi milte


Bekarar aapk Kalaam Ne To Be'karar Kardiya...
Kaafi arsa e daraz k baad pahucha hun,,kya karun Yo.pe aane ka mann nahi karta..

kuch aapk puraane paane ultaaye..behtrin ash'aar padhne ko mile..badhiya si reply bhi dete ho aap..ye bhi dekha.
100% shayar hi aise kalaam likh sakta hai..har lafz bareeqi se juda hua hai..
badhiya..koi Lafz na'mil rahe hai Ki Kya Kahein  !!!!!!

allah se dua hai ki aap ko manzil e Maqsood Taq Pahunchaaye..aamin.   
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 01:27:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.204 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer