jab maine suna us ghar beti aayi hai
mujhe laga mano charon orr chandni muskurai hai
socha badhai dun us maa ko jaa kar jo
dharti par ek or janni ko lai hai
maine jaakar dekha wahan to mere achraj ki seema na rahi
wahan to lag raha tha jaise soak ki sabha chai hai
dada ji darwaje pe utra sa muh liye khade hain;
dadi ki aankhon main pote ki chahet aanshu ban kar jhalak rahi hai
aas pados ke log ajeeb chenta kashi kar rahe hai
tabhi ander se aati hui bua boli , tu kya karegi hamare liye
tu to janam se hi parai hai..................
jab maine suna.............................................
.....
ye sab dekh kar maa boli, meri beti tu kyon iss duniya main aai hai
yahan teri kio chahat nahi tu kyon yahan ek bojh sa jevan geene aai hai
n to tujhe bacha sanku is nirmam soch se orna hi tujhe tyagne ka saahash mujhme hai
kya karun itni himmat bhi to us vidhata ne mujhe nahi bandhai hai
jab maine............................................
....................
ye sab dekh mera man bola kaisa ye samaj hai jahan istri hi istri ke viruddh aai hai
iss par bhi dhong kerte hain aadhunikta ka, abhi to hamare hi ander....vicharon ki itni badi khai hai....
beta hai beti se badh kar yahi soch har dil main samai hai... par
manavta ke mandandon pe maapein to kya fark ke is aadhar main tanik bhi sacchai hai?

jab maine suna.............................................
......................