maa....

by aru12 on April 13, 2013, 01:20:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 806 times)
aru12
Guest
Reply with quote
Maa to sabse nyari hai,
Maa to sabse pyari hai,
mamta  ka saagar hai maa,
Maa to sabse dulari hai,

Maa ke charnon mein jisne sar ko jhuka liya,
Jannat ko  samjho usne fir paa liya,

Deti hai har dam jo duaein,
Leti hai har pal jo balayein,
Galtiyon pe bhi teri sada,
Tujhko aanchal mein vo chipaye,

Devta bhi karte hain jise pranaam,
Jag mein sabse uncha hai maa ka naam,

Chot tujhe jo lagti thi,
Maa saari raat jagti thi,
Rakh ke sar tera godi mein,
Maa kabhi naa thakti thi,

Karna na kabhi tum maa ko pareshaan,
Mili hai tumhe usi se pehchaan,

Karti hai poore ghar ka vo kaam,
Naseeb mein uske kahan aaraam,
Bol de usse too  pyaar ke do bol,
Mil jayega use apna inaam,

Anginat hain jiske tujhpe upkaar,
Us maa ke liye jaa sab kuch haar,

Maa se hee teez aur tyohaar hain,
Maa se hee ghar aur sansaar hain,
Khushiyan hain bas maa ke dam se,
Maa ke bina ye sab bekaar hain,

Bachati hai tujhe jo sabhi nazron se,
Karna na door use kabhi nazron se,

Duniya mein tumko lati hai maa,
Sab kuch tumko sikhati hai maa,
Banake tumhe fir apni duniya,
Puri duniya tumko dikhati hai maa,

Maa ke dil ko kabhi jisne dukha diya,
Maa ne use bhi gale se laga liya,

Pakad ke ungli jo chalna tumhe sikhtati thi,
Girne pe tere jo baar baar  tumhe uthati thi,
Chalte the apne aap jab tum,
Maa khush ho tumhe gale se lagati thi,

Dena tum maa ka aise hee saath,
Chhodna na  bhudape mein unka haath,

Haathon se khana tujhe vo khilati thi,
Tujhe khilaye bina vo kahan kha pati thi,
Kam ho khana to tujhe khila ke,
Khud bhooki hee vo so jati thi,

Rakhna too aise hee maa ka khyaal,
Banna too maa ka sabse pyara laal,

Maa ko jisne bachpan mein hee kho diya,
Khuda bhi kismat pe unki ro diya,
Rahega dil hamesha pyaar se khali,
Pyaar agar ek baar vo kho diya,

Ho kitna bhi tere kareeb koi,
Maa jaisa pyaar na de pata koi,
 
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: April 13, 2013, 01:55:15 AM »
Reply with quote
Maa to sabse nyari hai,
Maa to sabse pyari hai,
mamta  ka saagar hai maa,
Maa to sabse dulari hai,

Maa ke charnon mein jisne sar ko jhuka liya,
Jannat ko  samjho usne fir paa liya,

Deti hai har dam jo duaein,
Leti hai har pal jo balayein,
Galtiyon pe bhi teri sada,
Tujhko aanchal mein vo chipaye,

Devta bhi karte hain jise pranaam,
Jag mein sabse uncha hai maa ka naam,

Chot tujhe jo lagti thi,
Maa saari raat jagti thi,
Rakh ke sar tera godi mein,
Maa kabhi naa thakti thi,

Karna na kabhi tum maa ko pareshaan,
Mili hai tumhe usi se pehchaan,

Karti hai poore ghar ka vo kaam,
Naseeb mein uske kahan aaraam,
Bol de usse too  pyaar ke do bol,
Mil jayega use apna inaam,

Anginat hain jiske tujhpe upkaar,
Us maa ke liye jaa sab kuch haar,

Maa se hee teez aur tyohaar hain,
Maa se hee ghar aur sansaar hain,
Khushiyan hain bas maa ke dam se,
Maa ke bina ye sab bekaar hain,

Bachati hai tujhe jo sabhi nazron se,
Karna na door use kabhi nazron se,

Duniya mein tumko lati hai maa,
Sab kuch tumko sikhati hai maa,
Banake tumhe fir apni duniya,
Puri duniya tumko dikhati hai maa,

Maa ke dil ko kabhi jisne dukha diya,
Maa ne use bhi gale se laga liya,

Pakad ke ungli jo chalna tumhe sikhtati thi,
Girne pe tere jo baar baar  tumhe uthati thi,
Chalte the apne aap jab tum,
Maa khush ho tumhe gale se lagati thi,

Dena tum maa ka aise hee saath,
Chhodna na  bhudape mein unka haath,

Haathon se khana tujhe vo khilati thi,
Tujhe khilaye bina vo kahan kha pati thi,
Kam ho khana to tujhe khila ke,
Khud bhooki hee vo so jati thi,

Rakhna too aise hee maa ka khyaal,
Banna too maa ka sabse pyara laal,

Maa ko jisne bachpan mein hee kho diya,
Khuda bhi kismat pe unki ro diya,
Rahega dil hamesha pyaar se khali,
Pyaar agar ek baar vo kho diya,

Ho kitna bhi tere kareeb koi,
Maa jaisa pyaar na de pata koi,
 
Bilkul Sahi Likha,
Maa Jaisa Duniya Me Koyi Nahin Hota.
Logged
nashwani
Guest
«Reply #2 on: April 13, 2013, 02:28:26 AM »
Reply with quote
Bahut khoob..happy9
Aur maa ke bare bas itna hi kehna chahunga ki...

Sari shrishti me hai jo samaya..
Usi ne hai maa ko banaya..
Socha na de paunga sabko mai akela pyar..
To diya har kisi ko ek maa ke pyar se bharpur sansar..happy9
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #3 on: April 13, 2013, 03:12:19 AM »
Reply with quote
so nice lines
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: April 13, 2013, 11:22:03 AM »
Reply with quote
bahut khoob
bahut accha likha hai aapne..
Maa ki baat ..sach me nirali hai
Logged
aqsh
Guest
«Reply #5 on: April 13, 2013, 12:59:04 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut khoob aruji. bahut achcha likha hai aapne. dheron daad.
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #6 on: April 13, 2013, 01:18:48 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

 icon_salut icon_salut

 notworthy notworthy
Logged
aru12
Guest
«Reply #7 on: April 14, 2013, 03:50:57 PM »
Reply with quote
thanx ravindra jee.....
Logged
shubham goyal
Guest
«Reply #8 on: April 15, 2013, 01:14:57 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 11, 2024, 02:40:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer