maa

by sanaimtiyaz on August 05, 2015, 12:16:44 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 556 times)
sanaimtiyaz
Newbie


Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
2 hours and 8 minutes.
Posts: 7
Member Since: May 2015


View Profile
Reply with quote
 Parchaayi main teri, aayina tu mera bhi,
Rahmat ka samandar hai, Mohabbat ka dariya bhi,
Gumjaaun kahin toh khud ko talaashne ka zariya bhi,

Ladhkadhaate qadmon ko jisne sambhaala,
Duniya ki gaflat se jisne bachaaya,
Gumraahi ki dastak par, maafi ka chaadar jisne audaaya,
Imaan ke beejon ko jisne saaz se peeroya,

Naa shikwaa kiya, na koi khwaahish,
Pata bhi nahi chalne diya, kaise bani main teri aazmaayish,

Khud se pehle, khuda ko rakha,
Tasawwur se khoobsurat ek saathi sachcha,

Jaise thay Yaaqub (as), apne A'zeez yusuf ke khaufnaak raston main, Jaise thay hamaare Huzoor (saws) apni aulaadon ke mushkil palon main,

Waise hi ek naayab shakhsiyat, jise kehti main maa hun,
Meri zameen, mera aasmaan, jis ke dam par noorain hai mera jahaan,

Jo awaaz se pehchaane mere dil ke haal,
Shabdon se jaan le, chupe hue hazaaron sawaal,
Meri hayaat ki bharosemand humraaz, jise kehti main maa hun,

Aansuon ke girne se pehle jo sameth leti hai,
Dard ko bayaan karne se pehle jo sun leti hai,
Mujhe aksar mujhse zyaada padh leti hai,

Meri tooti hui himmat ki mazboot chattaan, jise kehti main maa hun,

Haare hue waqton ki adheem mauhlat, jise kehti main maa hun,
Karb ki galiyon main aankhon ki thandak, jise kehti main maa hun, Tooti hui aas ki nayi umeed, jise kehti main maa hun...

Bin maange hi dediya sab kuch,
Lautaa na sakungi main kabhi kuch,
Chali main ab naye raaston pe, magar tanha nahi,
Teri Duaayon ne kabhi akela mujhe choda nahi,

Kare dil, khushi se hazaaron sajde,
Sab kuch begaana kardun bas tere sadke,
Khuda tujhe apni jannat main
: Khuda tujhe apni jannat main muskuraata hua rakhe,

Firdaus waasiyon main naam shaamil ho tera, aur farishte bhi jaanlein ke 'kise kehti main hun'....
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: August 05, 2015, 12:39:10 PM »
Reply with quote
kafi masumiyat hai apki iss rachna main waaaaaaahhh daaaaddddddd
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #2 on: August 05, 2015, 08:20:51 PM »
Reply with quote
bahut khoob.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Ram Krishan Rastogi
Umda Shayar
*

Rau: 69
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
30 days, 21 hours and 9 minutes.

Posts: 4988
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #3 on: August 06, 2015, 02:45:58 PM »
Reply with quote
वाह वाह बहुत खूब  Applause Applause icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 10:40:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer