prince ki jeet desh ki jeet

by indian_groom on July 23, 2006, 02:55:00 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1580 times)
indian_groom
Guest
Reply with quote
tha 2000 ki 22 july ka din
kuruchetra ke ek gao mein peda hua tha ek prince.

kabhi kissi ne nahi socha tha ki naam se jo tha prince
ban jayega sach mein wo har dharm ka apna prince.

tha din 21july ka jab wo khel raha tha.
ghum ghum ke apne dosto ke sath

kuch he dur pe khuda hua ek gadha kar raha tha uska intazar
sayad bhagwan ki yahi ek neeti thi kare desh ko ek sath

jab hue ho desh mein bomb blast
gujar raha tha desh hazaro ke maut ke gum ke sath

kal ban ke aaya ek chua, jisse dekh sab bhage peeche.
prince bhaga uske piche, ghus gaya chua boori ke aandar,

dosto ne usse pakarne ke liye kiya intazam.
nikal di sab ne usme bhari hue poori mitti

betha tha uss boori pe prince pakrne ko chue ko,
lekin kaal ne bheja tha chue ko apne jaal me fasane ko

jaise he nikli mitti bahar bori se,
gira prince turant niche ja ke 60 foot gadhe mein.

sabhi dost darr ge ye dekh bula laye maata peta ko
ki koshis unhone poori par na nikla prince bahar.

darr ke mata peta ne bulaye police madad ko.
ki koshis unhone bahar prince ko nikalne mein.

dekh ye sab dhamal pahuch gaye media waha pe.
dikha ke ye kudrat ka khel kiya ek desh ko madad ke liye.

har dharam har jaghe ke logo ne ki prathna.
unki prathna mein baan ke aaye farishte sena ke jawan

kiya unhone khod ke bahar nikalne ka kaam
iss sab ko dekh ke sayad desh hassa mumbai bombblast ke baad.

prince ki zindagi ki jeet ne ek baar jeeta diya desh ko ek sath
baan gaya 6 saal ka prince desh ko ek sath karne ke liya mahan.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #1 on: July 23, 2006, 03:05:55 PM »
Reply with quote
wow too good .....main bhi likh rahi thee ...per is se better nahi likh sakati thee......good job.... =D>

thank to   GOD ki woh nanahi jaan sahi salamat wapaa aagayi .....

AUR PROUD HAI APNI ARMY PER JISNE ITNE SAHI TARIKE SE NANHE PRINCE KO BAHAR NIKAL LIYA......
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #2 on: July 23, 2006, 03:18:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
wow too good .....main bhi likh rahi thee ...per is se better nahi likh sakati thee......good job.... =D>

thank to   GOD ki woh nanahi jaan sahi salamat wapaa aagayi .....

AUR PROUD HAI APNI ARMY PER JISNE ITNE SAHI TARIKE SE NANHE PRINCE KO BAHAR NIKAL LIYA......





ya really thank god socho 60 feet niche andhere mein 2 din tak rehna kitna darawna hoga....wakai mein bahadur tha jo nahi roya wo itna........
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #3 on: July 23, 2006, 03:38:02 PM »
Reply with quote
sahi kaha Groom ji, 2000 ki jagah apki first line mai shayad 2006 hona chahiye ......

dekh use khai main, dil tha dahal gaya
kal jab se dekhi khabar, her ek pal bas soch mai raha
dil mai dua, najar TV per rahi
yah churcha bas, her kisi se rahi..
nanhi si jaan ki himmat dekh heraan thi
chup kha raha tha baith kar,
na dar ki koi baat thi
nikal baher jab wo,
her taraf jaise rahat ki barsaat thi
mandir mai sheesh jhukaya
aor munh per ek Vijay muskaan thi
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #4 on: July 23, 2006, 05:44:29 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"
sahi kaha Groom ji, 2000 ki jagah apki first line mai shayad 2006 hona chahiye ......

dekh use khai main, dil tha dahal gaya
kal jab se dekhi khabar, her ek pal bas soch mai raha
dil mai dua, najar TV per rahi
yah churcha bas, her kisi se rahi..
nanhi si jaan ki himmat dekh heraan thi
chup kha raha tha baith kar,
na dar ki koi baat thi
nikal baher jab wo,
her taraf jaise rahat ki barsaat thi
mandir mai sheesh jhukaya
aor munh per ek Vijay muskaan thi




nice pankhuri ji.........
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #5 on: July 23, 2006, 05:53:18 PM »
Reply with quote
thanks gum ji...........kya karoo ranjana ji neuksa diya likhen ke liye hum bhi in pagal shayro ki duniya mein shamil ho gaye.
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: July 24, 2006, 09:06:28 AM »
Reply with quote
Quote from: "indian_groom"
thanks gum ji...........kya karoo ranjana ji neuksa diya likhen ke liye hum bhi in pagal shayro ki duniya mein shamil ho gaye.



 :D  :D kuch bura kiya kya?  :D aur yeh pagal shayaro ki duniya hi sabse khubsurat duniya  hai..... :D aapka yahan sawagat hai ....  :lol:
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #7 on: July 24, 2006, 12:53:13 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob!

Kya baat hain humari Army ki aur woh bache ki jo itni himmat ke saath yeh ghum ki ghadi ko paar kiya!
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #8 on: April 05, 2010, 01:03:52 PM »
Reply with quote
Right. icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 05:39:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.084 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer