ZINDAGI KI KITAAB...

by CoolGirl on August 10, 2007, 06:46:05 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2510 times)
CoolGirl
Guest
Reply with quote
Jo Imtehaan Humse Leti Hai Zindagi
Uska Sila Bhi Humko Deti Hai Zindagi

To Zindagi Se Kyon Kar Shikwa Karein
Jitne Pe Jiska HaQ Hai Wo Deti Hai Zindagi

her raat ke baad savera hota hi hai
thokar lagne se rasta dekhati hai zindagi

roone se bagra mukaddar kabhi banta nahi hai
naam aankhon ko hi haasna shikati hai zindagi

kabhi mile umeed se barkar to kabhi kuch haath na aaye
iraadey ho jinke buland ussi ko manzil dekhati hai zindagi

zindagi hai aik aisi kitaab jaise koi samaj na paaya
jab chahe jise chahe RANI apna banati hai zindagi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye Jo ZiNdAHgHi Ki kItAaB hAi! by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab HaI by Delicate_Doll in Shairi - E - Zindagi
dil mera aik kitaab ki soorat..!! by chanda in Shayri for Khumar -e- Ishq
~:Kitaab:~ by Ghayal in Shayri-E-Dard
zindagi ki kitaab meiN hum ne - ZARRAA by zarraa in Shairi - E - Zindagi « 1 2 3  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: August 10, 2007, 08:59:24 PM »
Reply with quote
Nice !! Usual Smile
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #2 on: August 11, 2007, 07:59:02 AM »
Reply with quote
thnx talat ji
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #3 on: September 23, 2007, 08:01:50 AM »
Reply with quote
kyun hai tu khafa zindagi se
kya hai tujhko gila zindagi se


ger haath tere kuch na aaya tou kya
itna sab kuch bhi tujhe mila zindagi se


iss tarha jee ke zindagi bhi raks kare
maut bhi keh uthe kun hai gaya zindagi se??


hai yeh zindagi uss Khuda ki aamaanat
mat ker tu kuch shikwa zindagi se


nahi kerti yeh bhi kisi se wafa
mat ker tu bhi wafa zindagi se


aadmi tou hai bas pani ka bulbula
hojayega ek din juda zindagi se
Logged
aankhain
Guest
«Reply #4 on: October 12, 2007, 08:12:31 PM »
Reply with quote
bohat acha likha ap ny.... kya baat ha zindagi k bary main itna acha..=D>
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #5 on: October 14, 2007, 04:29:56 AM »
Reply with quote
thnx dear
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #6 on: October 14, 2007, 04:32:31 AM »
Reply with quote
thodi si hai zindagi
jismain hai thodi si khoshi


kitna khali hai ye daman
kitni bechain hai ye kami


khushi ki chandni raat hai
tu chora le wo lamha
jismain shamil hai ye raoshni


chaar din main tu apni zindagi ji le
dard ko na bada apne hatho se si le
chord ye maYoindia Shayariadabiya hata de her bebasi


himat se tu qadam utha raasta apna bana
na ker kisi ki aas tu sapna apna tu khud saja
kamzoor ker na de tujhe in aankho ki nami


thodi si hai zindagi
jismain hai thodi si khoshi


NM
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #7 on: October 14, 2007, 04:33:48 AM »
Reply with quote
kal ho na ho
toh aaj jhoom lo
haseen in palon mei tum jeelo
kal ho na ho



duriyon ko mita her gham ko bhoola
har ek ko toh apna dost bana
jo roote hain unko manalo
haseen in palon mei tum jeelo



guzra waqt kabhi aata nahi
yeh muqa phir milega nahi
apni zindagi ko tum sewaar lo
haseen in palon mei tum jeelo



thokar lage toh rona nahi
apni manzil ko khona nahi
kal ki fikar karna chor do
haseen in palon mei tum jeelo



kal ho na ho
toh aaj jhoomlo
haseen in palon mei tum jeelo....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: November 04, 2007, 04:33:05 PM »
Reply with quote
Nice One Cool Gal Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: November 04, 2007, 04:40:00 PM »
Reply with quote
Kitaab Zindagi Ki Hamaari Bikhri Padi Hai,.
Dard Ki Dhoop Aur Ghamon Ki Jhadi Hai,.

Hai Wo Log Bhi Jo Zindagi Ke Maze Lete Jaa Rahe Hain,.
Hum To Bas Zindagi Ko Apni Aaahein Dete Jaa Rahe Hain,.

Khushaal Hoti Hai Zindagi Jo Pyaar Mein Hote Hain,.
Jisne Thokar Khaayi Ho Pyaar Me Wo Zindagi Pe Rote Hain,.

Hai Zindagi Ki Raunakhein Khush Naseebon Ke Liye,.
Aur Hai Sazaa Ek Zindagi Hum Bad Naseebon Ke Liye,.

Phir Bhi Zindagi Ko Maut Tak Jeena Hai,.
Jo De Zehar Zindagi Muskuraake Peena Hai,.

______________________________-Jaanasheen-
______________-Azeem-_____________
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #10 on: November 20, 2007, 02:11:08 PM »
Reply with quote
zindagi ek kitaab hai
ye toh ansooyon ka khitaab hai
isme toh na jane kitne dard or kitni ruswai hai
isme  toh bas ladai hai
ye toh ansoonyon ka khitaab hai
zindagi ek kitaab hai
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #11 on: November 20, 2007, 02:21:04 PM »
Reply with quote
zindagi ko logo ne jane kya se kya bana diya
zindagi ki kahani kitaab mein likh di
zindagi ke palo ko panno mein kaid kar diya
jis zindagi ne tumhe khushi di
tumne usi zindagi ko ek kitaab bana diya
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: November 20, 2007, 03:29:18 PM »
Reply with quote
Nice One Muskaan,.
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #13 on: November 20, 2007, 04:03:53 PM »
Reply with quote
thanks for jaanasheen ji
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #14 on: November 21, 2007, 05:59:00 PM »
Reply with quote
zindagi ko agar aap kitaab kahoge
toh woh kitaab hi kya jo zindagi ke lahoon na jaan sake
woh baat hi kya jo zindagi ke baare mein ho na sake
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 10:39:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer