zindagi

by adesh_goyal on April 24, 2005, 01:31:58 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1984 times)
adesh_goyal
Guest
Reply with quote
chal diya akela ek kashti mein,
karne sagar ko paar,
aankhon mein thi manzil,
dil mein tha vishwas apar,
chhoti si kashti thi lamba tha safar,
raaste mein aane the toofan,
badi kathin thi dagar,
takrata gaya saare toofanon se,
badhta gaya aage,
kitne bhanwar aaye raahon mein,
par dil mein ek junoon tha manzil ka,
saari mushkilon se ladkar pahunchne wala the sahil par,
achanak dagamagane lagi kashti,
bahut sambhala par nahin sambhli,
poochha bhagwan se he prabhu ye kya,
bole ki tu kis kashti par karne chala tha sagar ko par,
tere dil mein to himmat bahut thi par main kya karoon,
teri to apni hi kashti mein chhed tha........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zindagi by soniya shetti in Shayri for Khumar -e- Ishq
zindagi by sabreena in Shayri for Khumar -e- Ishq
Zindagi by Amit Janglan in Shayri-E-Dard
zindagi bhi by lovely_amez in Shayri for Khumar -e- Ishq
zindagi zindagi ho gayi by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
fakharenaveed
Guest
«Reply #1 on: April 24, 2005, 01:37:44 AM »
Reply with quote
teri to apni hi kashti mein chhed tha........
KYUN DUNIYA S CHUPYA YEH BHED THA.............
Logged
adesh_goyal
Guest
«Reply #2 on: April 24, 2005, 03:43:47 AM »
Reply with quote
jawab ke liye bahut bahut shukriya naveed ji, lekin shayad aapko is kavita ki gehrai nahin maloom, ye insaan ki zindagi ke us pal ko bayan karti hai jab wo duniya se to jeet jata hai par khud se haar jata hai jo uske liye sabse zyada mayane rakhta hai...
Logged
apnaa_koi
Guest
«Reply #3 on: April 24, 2005, 07:04:54 PM »
Reply with quote
Adesh Ji

Sher bohat achaa lagaa janaab... Zindage mein kissi tajribah say guzare howe lagthii ho...

Apnaa_koi
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: April 25, 2005, 03:55:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "adesh_goyal"
chal diya akela ek kashti mein,
karne sagar ko paar,
aankhon mein thi manzil,
dil mein tha vishwas apar,
chhoti si kashti thi lamba tha safar,
raaste mein aane the toofan,
badi kathin thi dagar,
takrata gaya saare toofanon se,
badhta gaya aage,
kitne bhanwar aaye raahon mein,
par dil mein ek junoon tha manzil ka,
saari mushkilon se ladkar pahunchne wala the sahil par,
achanak dagamagane lagi kashti,
bahut sambhala par nahin sambhli,
poochha bhagwan se he prabhu ye kya,
bole ki tu kis kashti par karne chala tha sagar ko par,
tere dil mein to himmat bahut thi par main kya karoon,
teri to apni hi kashti mein chhed tha........


hmmm really nice goyal ji!!!!

 :D
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: April 25, 2005, 08:17:04 PM »
Reply with quote
bahut khoob Goyal ji............................................... ........
Logged
adesh_goyal
Guest
«Reply #6 on: April 30, 2005, 01:58:16 PM »
Reply with quote
Shukriya koi apne ji, meena ji aur nikki ji...apnaa_koi ji aapne sahi kaha, zindagi mein har roz ek naya tajurba milta hai, zaroorat hoti hai to usase seekh lene ki aur use shabdon mein pirone ki...
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #7 on: May 02, 2005, 05:35:32 PM »
Reply with quote
very nice adesh ji,well described bout life................!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
adesh_goyal
Guest
«Reply #8 on: May 03, 2005, 02:15:43 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Nidhi ji,

Zindagi mein kuch aise bhi mod aate hain,
Jab sab apne paraye ho jate hain,

Kho jati hain saari khushiyan,
Gham ke saye hi bas kareeb reh jate hain...

Kahan to socha tha kisi ka pyar payenge,
kahan khudi se hi haar jate hain..

Kahan to paar kar liya tha ek kashti mein hi sagar saara,
kahan sahil par aakar hi doob jate hain...

Zindagi mein kuch aise bhi mod aate hain,
jab aankhon mein hoti hai nami, aur chehre par muskurahat ke diye jalaye jate hain..

Zindagi mein kuch aise mod bhi aate hain,
jab kho jaati hain saari raahein, bina manzil ke hi kadam badhaye jate hain...

Zindagi mein kuch aise mod bhi aate hain....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #9 on: May 03, 2005, 02:23:23 AM »
Reply with quote
Jab sab apne paraye ho jate hain,





buhat khoob nice one.............................................. ................................................. .............................
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #10 on: May 03, 2005, 04:51:26 AM »
Reply with quote
Quote from: "adesh_goyal"
Thanks a lot Nidhi ji,

Zindagi mein kuch aise bhi mod aate hain,
Jab sab apne paraye ho jate hain,

Kho jati hain saari khushiyan,
Gham ke saye hi bas kareeb reh jate hain...

Kahan to socha tha kisi ka pyar payenge,
kahan khudi se hi haar jate hain..

Kahan to paar kar liya tha ek kashti mein hi sagar saara,
kahan sahil par aakar hi doob jate hain...

Zindagi mein kuch aise bhi mod aate hain,
jab aankhon mein hoti hai nami, aur chehre par muskurahat ke diye jalaye jate hain..

Zindagi mein kuch aise mod bhi aate hain,
jab kho jaati hain saari raahein, bina manzil ke hi kadam badhaye jate hain...

Zindagi mein kuch aise mod bhi aate hain....


thats the beauty,again very very nice .
Logged
adesh_goyal
Guest
«Reply #11 on: May 03, 2005, 09:27:18 AM »
Reply with quote
Thanks Nidhiji,
  Zindagi to ek ajeeb paheli hai....
  ....
  ....
  ....
  ....
  ....
  ....
  ....
  ....
  ....
  ....
  neeche dekhte rehne se solve nahin hogi...
  just kidding..
Logged
Shweta_v7
Guest
«Reply #12 on: May 06, 2005, 05:48:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "adesh_goyal"
Thanks a lot Nidhi ji,

Zindagi mein kuch aise bhi mod aate hain,
Jab sab apne paraye ho jate hain,

Kho jati hain saari khushiyan,
Gham ke saye hi bas kareeb reh jate hain...

Kahan to socha tha kisi ka pyar payenge,
kahan khudi se hi haar jate hain..

Kahan to paar kar liya tha ek kashti mein hi sagar saara,
kahan sahil par aakar hi doob jate hain...

Zindagi mein kuch aise bhi mod aate hain,
jab aankhon mein hoti hai nami, aur chehre par muskurahat ke diye jalaye jate hain..

Zindagi mein kuch aise mod bhi aate hain,
jab kho jaati hain saari raahein, bina manzil ke hi kadam badhaye jate hain...

Zindagi mein kuch aise mod bhi aate hain....



WOW.....SO TOUCHY AND CLOSE TO REALITY OF LIFE....really nice
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #13 on: May 08, 2005, 04:03:30 AM »
Reply with quote
Quote from: "Shweta_v7"
Quote from: "adesh_goyal"
Thanks a lot Nidhi ji,

Zindagi mein kuch aise bhi mod aate hain,
Jab sab apne paraye ho jate hain,

Kho jati hain saari khushiyan,
Gham ke saye hi bas kareeb reh jate hain...

Kahan to socha tha kisi ka pyar payenge,
kahan khudi se hi haar jate hain..

Kahan to paar kar liya tha ek kashti mein hi sagar saara,
kahan sahil par aakar hi doob jate hain...

Zindagi mein kuch aise bhi mod aate hain,
jab aankhon mein hoti hai nami, aur chehre par muskurahat ke diye jalaye jate hain..

Zindagi mein kuch aise mod bhi aate hain,
jab kho jaati hain saari raahein, bina manzil ke hi kadam badhaye jate hain...

Zindagi mein kuch aise mod bhi aate hain....



WOW.....SO TOUCHY AND CLOSE TO REALITY OF LIFE....really nice
shweta dear u should write it oo......................
Logged
thelostworld
Guest
«Reply #14 on: May 08, 2005, 11:57:27 AM »
Reply with quote
Quote from: "fakharenaveed"
Jab sab apne paraye ho jate hain,





buhat khoob nice one.............................................. ................................................. .............................
nice goyal great job!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 13, 2024, 09:11:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer