zindagi-nama

by mamta bajpai on March 18, 2010, 02:19:38 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1980 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
kya hai bahar,kaisi khiza,sochti rahi ye zindagi
mouqa o maash ki talash me bhataktirahi ye zindgi
kabhi wafa ke baam pe thahari zara ye zindagi
beshtar waqt to daga hi deti rahi ye zindagi
chandi ki chamak sikkon ki khanak se khali hi rahi
goki muflisi ki khanadamad rahi ye zindagi
ta-umar nizam-e-zindagi sanwarne me kat gayee
maseeha ban saleeb apna dhoti rahi ye zindagi
har taraf apni gumnami ka sabab poochti rahi
jabki nazmon me,gazalon me khilti rahi ye zindagi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #1 on: March 18, 2010, 02:27:41 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Mamta Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Hi Dilkash Peshkash..Bahut Ache Thumbs UP
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #2 on: March 18, 2010, 04:50:25 PM »
Reply with quote
VERY NICE, Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: March 18, 2010, 04:52:44 PM »
Reply with quote
Wah wah Mamta ji behad se bhi zyada khoobsurat ghazal hai ye. Bilkul nape tule alfaaz aur umdah tasavvur se saji ye ek purkashish ghazal hai. Bas ek do sher samajh nahi aaye kyonki lafz bahut mushil lage jinka meaning maloom nahi. Agar aap bataa dein ghazal ka mazaa mukammal ho jaye. Wo laft ye hai : mouqa o maash, baam, khanadamad.
Ummeed hai aainda bhi aapki ghazlein padhne ko milti rahengi.
kya hai bahar,kaisi khiza,sochti rahi ye zindagi
mouqa o maash ki talash me bhataktirahi ye zindgi
kabhi wafa ke baam pe thahari zara ye zindagi
beshtar waqt to daga hi deti rahi ye zindagi
chandi ki chamak sikkon ki khanak se khali hi rahi
goki muflisi ki khanadamad rahi ye zindagi
ta-umar nizam-e-zindagi sanwarne me kat gayee
maseeha ban saleeb apna dhoti rahi ye zindagi
har taraf apni gumnami ka sabab poochti rahi
jabki nazmon me,gazalon me khilti rahi ye zindagi
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #4 on: March 19, 2010, 06:38:50 AM »

Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: March 19, 2010, 06:43:53 AM »
Reply with quote
Good one Mamta Ji
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #6 on: March 19, 2010, 06:47:37 AM »
Reply with quote
thanks Rajeshji.housala afzai ke liye tahedil se shukriya.
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #7 on: March 19, 2010, 06:54:48 AM »
Reply with quote
mouqa-o-maash=rozi roti,rozgar

baam =atari, chat ,chajja
khanadamad=ghar-jamayee
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #8 on: March 19, 2010, 09:48:12 AM »
Reply with quote
Shukriya Mamta ji, meaning bataane ke liye. Ab mukammal taur par samajh mein aai ye ghazal jo waqai bahot khoobsurat hai.
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: March 19, 2010, 01:38:32 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Mamta Ji
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #10 on: March 20, 2010, 12:06:15 AM »
Reply with quote
aap sabhi hazraat ko meri housla afzai ka bahut bahut shukriya...
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #11 on: March 20, 2010, 01:02:12 AM »
Reply with quote
bahot khoob ,,umda likha hai aap ne ,,aisa laga ke lukhnow ke kisi mushayere main baithe hain..nice ,i do expect the same balancing n beautiful poetry in future too..
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #12 on: March 20, 2010, 10:37:11 AM »
Reply with quote
aap ki tareef ne hume farsh se utha arsh par pahuncha diya..shukriya janab nazar sahib..
Logged
yati_om
Guest
«Reply #13 on: June 07, 2010, 03:31:01 PM »
Reply with quote
[quote author=mamta bajpai

zindagi-nama jaisi sunder rachna ke liye bahut-bahut badhai........."yati"
Logged
qadeer.toopchi
Guest
«Reply #14 on: June 07, 2010, 04:33:24 PM »
Reply with quote
wah wah , kya kahene ,, jitni bhi tareefen ho sakti wo sub apki is taherir ke naam , aur shayari pe jo pakad hai apki uska jawab nahi , tareef ka jama pahenana mushkil ho chala hai , wah ahh khuch bhi kar len bhar pai hona mumkin nahi ,, matla meri sacha-e- pe mabni hai , khanadamad aur muflisi ka kya qoob istemal kiya hai apne wah ,, zindagi talq haqeeqath ko kitni saaf goi aur asani se bayan kiya hai mamta saheba , aisi taqleeqen nazar se kamm hi guzarti hain , jub guzarti hain to zahen ke goshe me ghar kar jaati hain ,, allah apko khush rakhe ,, hazaro dad ,,

duwa go

qadeertoopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 04:35:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer