*****DOST*****

by kaushikbhawna008 on August 19, 2008, 06:14:17 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2238 times)
kaushikbhawna008
Guest
Reply with quote
tut kar bikhrein hain is tarah
k har dard ab nasur ban gaya hai
pyaar ne to tod hi diya tha mera dil
ab har dost bhi juda ho gaya hai

sochte the dost to wafadar hote hain
har gam k raazdaar hote hain
par ek dost ne hamei aisa ilzaam dia hai
k dosti par se bhi vishwaas kho gaya hai

hamne to dosti apne dil se nibhai thi
par hamei kya pata tha usmei bhi chupi bewafai thi
har dost matlab parast nikla mera
bas reh gayi mere paas meri tanhaai thi

aajma liya jab har kisi ko tab ye jaan paye
koi nahi apna har preet hai parayi
log jise apna dost keh dard apna batate hain
vipati mei unki hamei har chal samajh aayi

koi nahi apna har preet hai parayi.....................
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dost hi dost ka saath deeya karte hain by sarafz in Shayri-E-Dard
DOST by Deewana29 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Do dost...... by Amit Janglan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
dost ban ban kar.... by mnajmi in Shayri-E-Dard
DOST by VIKRANT in Shayri-E-Dard
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #1 on: August 19, 2008, 07:51:49 AM »
Reply with quote
shukriya sihab ji

dard jab had se gujar gaya to wo alfaaz ban gaye
likhne kuch bethe to shabd meri aawaz ban gaye
jinhe samajh rahe the ham umrabhar k saathi
wahi har shaqs aaj mere khilaf ho gaye

Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: August 19, 2008, 08:26:01 AM »
Reply with quote
thnks for reply shihab ji

dushmano se kya gila
hamei to dosti ne mara hai
jinke liye maangi thi khushiyon ki dua
unhone hi hamei uljhano mei dala hai
kya karein kya na karein
ye kash-m-kash mei rehte hain sada
kiska karein aitbaar
kisse ab khushiyon ki maange dua
wo khuda bhi darshak bankar
mere haal par hasta raha hai
log dushmano se khauf khate hain
par mera dil to doston ne hi chalni kiya hai
par fir bhi dil ye mera dei raha hai dua
rakhna unhe aabaad e-khuda
jinhone mera daaman daag daag kiya hai
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: August 19, 2008, 09:57:24 AM »
Reply with quote
nice reply again shihab ji


sach jaan gaye hote to acha tha
unhe pehchan gaye hote to acha tha

dost maana tha jise kabhi umra bhar k liye
unhe na puja hota to acha tha

jaan kehte the kabhi jinhe jaan lutate the jinpar
unhe kareeb se na jaana hota to acha tha

sach hi hei duniya matlab ki hai
na apna gam kisi ko sunaya hota to acha tha


Logged
diya786
Guest
«Reply #4 on: August 19, 2008, 11:23:48 AM »
Reply with quote
bahut accha likha hai kaushik ji,shihab ji

SACH HI HAI MERE DOST AAZMA KE DEKH LO
KAR KE YAKEEN MUJH PE MERE PAAS AAKE DEKH LO
BADALTA NAHIN KABHI SONA APNA RANG
JITNI BAAR CHAHO AAG LAGA KAR DEKH LO{nm}
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #5 on: August 19, 2008, 11:49:50 AM »
Reply with quote
Maun Ka Jisko Nahi Hai Tazurba
Shayri Ka Lutf Woh Kyun Paaye Bhala.

Dushmano Se Main Nipat Lunga Magar
Doston Se Tu Bachana..E..Khuda..


Good One Kaushik ji Keep it up...
Bohat Khoob Likha Hai Ji Aapne
Bus Woh Khuda Wali Line Chhodkar..Kee It Up..

Roz Ke Milne Milane Wale
Dost The Mujhko Mitane Wale.


Haan Main Bhi Duniya Ke Har Rang Ko Dekha Hai.
Aksar Logon Ko Mausam Ki Tarha Badalte Dekha Hai.

Jo Karte Hai Waade Umar Bhar Saath Chalne ke Liye.
Un Waado Ko Aksar Bich Raah Main Toot Te Hue Dekha Hai.

Jo Kabhi Har Waqt Utha Karte The Meri Dua Ke Liye.
Aaj Unhi Masoom Haathon Main. Maine Khanzar Dekha Hai.

Aap Jise Kehte Hai Dost Hum Kabhi Unhe Jaan Kehte The
Magar Aaj Khud Apni Aankho Se Us Jaan Ko Jate Hue Dekha Hai.

Haan Main Bhi Duniya Ke Har Rang Ko Dekha Hai
Aksar Logon Ko Mausam Ki Tarha Badalte Dekha Hai


Bhai Shihab..Ek Bhi alfaaz Nahi Hai Mere Paas Ki Kuch bayaa'n karoon..allaah aapke Kalum Me wo Taassir de ki Har Oonwaan aur Mauzu Par aap Likhte Raho..
Badiya Likha Hai aapne..Hammesha Ki Tarhaa
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #6 on: August 19, 2008, 11:55:22 AM »
Reply with quote
bahut accha likha hai kaushik ji,shihab ji

SACH HI HAI MERE DOST AAZMA KE DEKH LO
KAR KE YAKEEN MUJH PE MERE PAAS AAKE DEKH LO
BADALTA NAHIN KABHI SONA APNA RANG
JITNI BAAR CHAHO AAG LAGA KAR DEKH LO{nm}
Jee diya aapne bhi kya khoob kahaa Hai
aur waaqaee aap k dost khus kismat honge ki aap Un k Liye badal na nahi chahti..allaah aapki dosti aur dosto ko salaamat rakhe.
aur
Main To Shayar Nahi Ki Is Andaaz Se Likhta.Fir Khamosh Hun
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #7 on: August 20, 2008, 08:05:36 AM »
Reply with quote
  Bohat khoob likha hai kaushikbhawna ,, Applause

Bohat ache diya aapne good lines... Applause

Khoob likha hai Shihab aapne Applause



Kuch dost kareeb aate door ho jaate hain
Kuch dil mein saans ban jaate hain
Doston ke bina hai zindagi veeran
Doston ke rangon mein hain guldaan
Unka pyaar milne se milti hain vardaan
Logged
baadal102
Guest
«Reply #8 on: August 20, 2008, 11:38:26 AM »
Reply with quote
bahut hi aacha likha hai aap ne bhawna ji
har line apne aap main kuch kehti hai  Clapping Smiley

bahut aacha ssaath diya hai shihab ji N diya ji  Applause






Baadal
Logged
baadal102
Guest
«Reply #9 on: August 20, 2008, 04:42:01 PM »
Reply with quote
jayada nahi bahut hi kam likh paaya hu
umeed hai aap sab ko pasand aayega






Dil se nibhaya har rista bhi thik nahi hota,
Dosti ke laayak bhi har insaan nahi hota,

Lakh banao tum raajdaar kisi ko,
Lakin yanha koi wafadaar nahi hota,

Jise dekho wo apna hi dikhta hai,
Waqt pe lakin koi bhi apna nahi hota,

Kaise samjhaue apne dil ko main,
Ki har insaan yanha farista nahi hota.

Ki har insaan yanha farista nahi hota............






Baadal







Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #10 on: August 21, 2008, 04:42:03 AM »
Reply with quote
baadal ji bohut acha likha hai aapne bhi
thnks a lot
jawab mei kuch likhne ki koshish ki hai umeed hai aapko pasand aayega

tanha safar mei ek saath talash rahe the
gairon ki aad mei koi sacha dost talaah rahe the

nadaan the shayad isliye jaan na paaye
dosti ki aad mei ham farishta talaash rahe the

sach hi hai baadal koi hota nahi apna hai
begano ki bheed mei ham koi saathi talaash rahe the

jinko samajh apna har dard kabhi tha sunaya
wahi hamare liye kafan talaash rahe the

hamne to haste haste apni khushiya unpar thi luta di
aur wo the k jakhm dene k bahane talaash rahe the


Logged
baadal102
Guest
«Reply #11 on: August 21, 2008, 06:48:53 AM »
Reply with quote
bahut aacha likha hai aapne
bhawna ji
Applause




Baadal
Logged
ANKIT RAO
Guest
«Reply #12 on: August 21, 2008, 07:11:00 AM »
Reply with quote
 Applause

BAHUT KHOOB LIKHA HAIN APNE KAUSHIKBHAWNA JI.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #13 on: August 21, 2008, 07:14:02 AM »
Reply with quote
bahut aacha likha hai aapne
bhawna ji
Applause




Baadal


thnk u baadal ji
and ankit ji
and all the vieweres
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: August 21, 2008, 11:06:07 AM »
Reply with quote
Kamaal ka likha hai aapne kaushikbhawna ji.. Applause

Khoob likha hai g88 lines baadal ji.. Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 13, 2024, 08:03:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer