Eh Dost Teri Bahut Yaad Aayi.....

by khwaish on February 19, 2008, 05:27:02 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 14379 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Ek umar thi jab saath khela karte the
Phir ek umar aayi jab aankhon mein sapne liye chala karte the

Aaj Ek raah par kadam ladkadaye
aas paas to koi nahi tha,Dekha peeche mud kar to,
eh Dost Tu bhi na nazar aaye...

Zindagi mein Kabhi-Kabhi kuch baaton se pareshaan ho jate the
phir milkar ek dusre ko samjhaate the...
aaj bhi woh pal yaadein ban kar dil mein reh jaati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

jab bhi ghar par choti-choti baaton se ladkar tere paas aa jaata tha
tere ghar ki darwaaze ke paas jo seedhiya thi wahi baith jaata tha,
wahi baithkar tujhe dil ki har baat keh jaata tha,
har baat pe tera woh kehna ke...
"Apne aap ko inta senti kyon kar leta hai,
Badon ki baaton ko itna dil pe kyon le leta hai"
DOST, aaj bhi woh baat shayad choti hi hoti hai
par koi samjhaane wala nahi,isliye yeh aankhein roti hai..

aaj bi jab takhta hoon uss jageh ko to,
aaj bi apni parchai mujhe waha dikhti hai
par tujhe jab dhoondta hoon to tasveer dhoondli si kyon lagti hai...
ab apni khamoshi bhi kuch keh jaati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

jab bhi pocket-money milti thi to bade bade sapne dekha karte the
dus din bhi nahi guzre ke jeb apni khaali kar diya karte the
sirf Bike mein Petrol ke paise bachakar saath phir liya karte the
jab bhi kahin jaana ho to apne purse ek dusre se chupa liya karte the

aaj dekh zindagi ka manzar kuch aur kehta hai
aankhein wahi hai ,aankhon mein sapne wahi hai
par tabdilli zindagi ki tasveer badal deta hai...

kuch pal ko yaad kar yeh aankh aaj bhi muskuraati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

yaad hai mujhe , jab bichadte waqt tune kaha tha
"eh dost hamesha dua karna,kuch sapno ko mujhe hai haqeeqat mein badalna"
aaj bhi woh pal, woh ghadiya aankhon mein tehar jaati hai
EH Dost, teri bahut yaad aati hai...

kuch dost aise hote hai jinhe yaadein nahi bhool pati hai
woh dost anmol hote hai, jab dil se dosti ki jati hai..
aaj bhi dekhta hoon dosto ko saath rehte hue
kabhi gale milte,kabhi ladte jhagadte hue
in doston ko saath dekh,aankhein meri bhar jaati hai
eh dost, teri bahut yaad aati hai...

aaj jab uss dost ne mujhe phone karke rote hue kaha
"yaar, zindagi bahut tez guzar jaati hai
kabhi-kabhi mehfil mein bhi tanhai nazar aati hai"
uski iss baat par ussi ke alfaaz usse dohraaye
"APNE AAP KO ITNA SENTI KYON KAR LETA HAI..."

MAIN HAIRAAN HOON,TU BHI AANKHON MEIN AANSU BHAR LETA HAI...

AAP SAB SE EK BAAT KEHTA HOON
SACHE DOST BANANA BAHUT MUSHKIL HAI
AUR NIBHANA USSE BHI MUSHKIL,
PAR, SACHE DOSTO KO BHOOL PANA SABSE MUSHKIL

aaj zubaan par mere woh baat phir aayi
EH DOST TERI BAHUT YAAD AAYI....
"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri yaad bohat aayi... by MøÐëRñ ÐëvDå$ in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
teri yaad aayi by sanya310 in Shayri-E-Dard
Fir teri yaad aayi.... by natural in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Dost Teri Yaad Bahut Aati Hain..!!..Miraj(Miru) by Miraj. in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 19, 2008, 05:32:28 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai Khwaish ji!! Full of emotions!! bahoot hi acha, pyara aor bhwanao se bharpoor roop diya hai apne apni is kavita ko..
yah lines to dil ko chu gai!!!
aaj bi jab takhta hoon uss jageh ko to,
aaj bi apni parchai mujhe waha dikhti hai

jab bhi kahin jaana ho to apne purse ek dusre se chupa liya karte the
uski iss baat par ussi ke alfaaz usse dohraaye
"APNE AAP KO ITNA SENTI KYON KAR LETA HAI..."

MAIN HAIRAAN HOON,TU BHI AANKHON MEIN AANSU BHAR LETA HAI...
Logged
~princess~
Guest
«Reply #2 on: February 19, 2008, 09:34:20 PM »
Reply with quote
awesome bro dosti ko kya khoob bayan kiya hai

and pooja di tussi tey ho hi great
Logged
prmchawla
Guest
«Reply #3 on: February 20, 2008, 07:17:42 AM »
Reply with quote
khawaish aapne to really kamaal kar diya. great yaar.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: February 20, 2008, 07:29:35 AM »
Reply with quote
Khwaish ji bohat acha likha aapne..g88 Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: February 20, 2008, 07:05:25 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai Khwaish ji!! Full of emotions!! bahoot hi acha, pyara aor bhwanao se bharpoor roop diya hai apne apni is kavita ko..
yah lines to dil ko chu gai!!!
aaj bi jab takhta hoon uss jageh ko to,
aaj bi apni parchai mujhe waha dikhti hai

jab bhi kahin jaana ho to apne purse ek dusre se chupa liya karte the
uski iss baat par ussi ke alfaaz usse dohraaye
"APNE AAP KO ITNA SENTI KYON KAR LETA HAI..."

MAIN HAIRAAN HOON,TU BHI AANKHON MEIN AANSU BHAR LETA HAI...


BAHUT BAHUT SHUKRIYA POOJAJI...AAPKO YEH LIKHA PASAND AAYA..PADHKAR BAHUT KHUSHI HUI..YEH JO BHI LIKHA HAI MAINE..
EK HI SAANS MEIN LIKH GAYA...BAAD MEIN PADHKAR SOCHA SHAYAD YEH BAHUT LONG AUR EMOTIONAL HO GAYA...PAR AAPSE TAREEF SUUN KAR BAHUT ACHA LAGA..SHUKRIYA..

AABP BHI KUCH LIKHTE IS TOPIC PAR TO AUR KHUSHI HOTI..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: February 20, 2008, 07:42:17 PM »
Reply with quote
Koshish kar rahi hu... meri to sabhi sahelia aor dost bahoot bahoot bahoot ache rahe hai: shuru main un per.. uske baad apni khas saheli baare likh rahi hu:

Dosti ka jab bhi naam ayya hai
Khud ko bahoot khushkismat maine paaya hai
Mila hai be-intihan pyar mujhko
Her ek ne mera ek ek naaj  uthaya hai
Her zid karwai poori, her ek ko maine rualaya hai
Phir bhi dekhon kabhi, apne dosto ke chehre per, ek shikan nahi paaya hai

Tha wo kaya jamana, raani ban ghooma karati thi
Jo chahti thi manwati thi, her ek dil per raj kiya karati thi
Bin soche kah jaana, bin kahe manwa jaana
Ab sochu to, lagta hai ajeeb, kaya kaya main kiya karati thi


Ek thi bahoot pyari sakhi, pyar bahoot kiya karti thi
Her ek meri manmaani per. Nahi dhayan wo diya karti thi

Jab kahati thi meri sakhi, Pooja kyun tum itna satati ho
Main hans kar kah deti thi, tum kyun itana pyar lutati ho

Ek baar usne ek aor sakhi banai thi
Mat pucho Pooja ne kitni, uski jaan jalai thi
Rulaya usko kitne mahine, ab to yah bhi yaad nahi
Mere siwa koi aor saheli, yah mujhko bardasht nahi

Dono ne jab akar chaha mujhko samjhana
Maine bhi kah diya, ab mujhko nahi tumhe sakhi banana
Dady apne ko haar kar wo mere ghar laker aai
Papa ne samjhaya mujhko tab jakar kahi baat ban paai

School se laker university tak hum phir rahe hamesha sath
Yah alag baat ki uske subject nahi milte the ,mere sath
Shayri main wo bhi thi awal, khoob mil shayri karte the
Main kheila karati thi cricket, jeet meri per ansoo uske bahte the

Meri her ek khushi ki sathin, mere her ek gum mai shamil
Chal di ek din dolly mai baith kar, sakhi meri wo thi badi hi kabil
Ajj tak magar maine, na koi aor saheli banai hai
Ek wo hi thi pagali meri, jisne her ek meri zid nibhai hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: February 20, 2008, 07:55:51 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut khooob poojaji...bahut dil se likha  hai aapne...
jaise aap likh rahe the sach mein aisa mehsoos ho raha tha,
ke aap zindagi ke woh haseen pal ko phir jee rahe the...
bahut hi khubsurti se likha hai aapne..shukriya
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: February 20, 2008, 08:00:37 PM »
Reply with quote
shukaria khwaish ji... un palo mai phir se jeene ka yah moka apne diya hai!! Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: February 20, 2008, 08:00:51 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Khwaish and Pooja !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: February 20, 2008, 08:02:14 PM »
Reply with quote
Shukaria Talat!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: February 20, 2008, 10:46:26 PM »
Reply with quote
thanx a lot talat...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 20, 2008, 10:47:42 PM »
Reply with quote
awesome bro dosti ko kya khoob bayan kiya hai

and pooja di tussi tey ho hi great

thanx a lot roshu..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: February 20, 2008, 10:49:01 PM »
Reply with quote
khawaish aapne to really kamaal kar diya. great yaar.

bahut bahut shukriya chawlaji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 20, 2008, 10:49:48 PM »
Reply with quote
Khwaish ji bohat acha likha aapne..g88 Usual Smile

thankyou so much honey...aapne nahi likha??
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 30, 2024, 04:02:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer