~For Honeyrose Jee~

by Sonia01 on June 15, 2008, 10:44:53 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 864 times)
Sonia01
Guest
Reply with quote
Lekar yaadon ka suhana kafila
Apni manzil ki oor, yaaron ye lo mai chala
Yu toh yeh maloom tha magar
Ke bichadenge, jab chal denge apni hi dagar
Ehsaas hi na hua -- kab gehrahi apni yaari
Aaj yaad aa rahi hai sabhi baatein woh pyari
Wo mazak, wo shaitaniyan, woh ladayi
Aasan ho gayi yaaron, tum hi se yeh lambi chadayi
Do ghadi tum mil gaye, yeh rasta yu kat gaya
Do ghadi tum kya mile, kuch bhoj mera but gaya
Yaad banke paani kabhi in aankhon se bahega
Yaad banke muskan pyari in labon per bhi rahega
Jane kya rang layega woh aanewala kal
Per kabhi bhula na paungi yaaron
Saat bitaye yeh Pal......
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
get well soon.........!!!!!!@@@@@HONEYROSE@@@@@!!!!!!!....... by indian_groom in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
Honeyrose by Sayyid Randeri in The Wishes and Celebrations « 1 2  All »
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: June 15, 2008, 11:24:36 AM »
Reply with quote
Lekar yaadon ka suhana kafila
Apni manzil ki oor, yaaron ye lo mai chala
Yu toh yeh maloom tha magar
Ke bichadenge, jab chal denge apni hi dagar
Ehsaas hi na hua -- kab gehrahi apni yaari
Aaj yaad aa rahi hai sabhi baatein woh pyari
Wo mazak, wo shaitaniyan, woh ladayi
Aasan ho gayi yaaron, tum hi se yeh lambi chadayi
Do ghadi tum mil gaye, yeh rasta yu kat gaya
Do ghadi tum kya mile, kuch bhoj mera but gaya
Yaad banke paani kabhi in aankhon se bahega
Yaad banke muskan pyari in labon per bhi rahega
Jane kya rang layega woh aanewala kal
Per kabhi bhula na paungi yaaron
Saat bitaye yeh Pal......



Buhat hi kamaal ki kavita hai Sonia aaj Thumbs UP
aapne mujhe rula  Crying hai little sis sach pe
aaj mein khush naseeb hun jo aap mujhe miss
karenge ..aapko buhat buhat pyaar Sonia.
mein aapko buhat yaad karungi aur sab dosto
ko bhi..love9 thanks for dedicating
this poem for me ..notworthy
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #2 on: June 15, 2008, 04:06:39 PM »
Reply with quote
Waaaah....Waaaaaah Bohot achchhe Sonia01 ji....

Kisi shair ne kaha he :-

Khuda jab husn deta he nazakat aa hi jaati he
Qadam chun chun ke rakhti ho kama bal khaa hi jaati he

Magar me'n aaj kahunga:-

Jo dil me dard aata he to shairy aahi jaati he
Kaleja chot khata he to shairy aahi jaati he

bohot achchhi tarha khyaalat pesh kiye aapne Sonia01... Applause

Lage hathon Honey ji ke liye bhi ek sher yaad aagaya so pesh karta hun:-

Khuda hafiz koi kehta huwa jab door hota he
Nigahen takti rehti he dil majboor hota he
                                             {nm}

Khuda kare YO par mehfil-e-ahbaab yunhi sajti sanwarti rahe, or is me nai rangeeniyan shamil hoti rahe. aamin....  Agar waqt or halaat ne saath diya to is thread me mazeed likhne ki kwahish rakhta hun.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #3 on: June 16, 2008, 12:45:49 PM »
Reply with quote
Buhat shukriya aapne bohat acha likha hai
Shukriya Syyid ji...Usual Smile kamaal ka likha hai aapne..


Aapki dost se shuru hue ek naya rishta
Haste khelte shuru hue ek naye duniya
Kadam roke hai mujhe par jaana hi hoga
Dosto se hum mehfil ko khoobsurat sajayege
Dosto ko hum dil mein tasveer banakar le jaayege
Logged
syednaami
Guest
«Reply #4 on: June 16, 2008, 12:57:36 PM »
Reply with quote
Yeh suraj hai ya chand ki roshini, -
Ladte the jo kal unki hui aaj dosti. -

Ajeeb chakkar hamne dekha yahan par, -
Ki sher aur bakri ki aapas men ban gayi. -


Sorry,,, par mujhe buhat achha laga yeh dekh kar... Sonia01 jee aapne to dosti ke taar chhed kar buhat hi nirala sur bukhera hai...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #5 on: June 16, 2008, 08:55:35 PM »
Reply with quote
Buhat shukriya aapne bohat acha likha hai
Shukriya Syyid ji...Usual Smile kamaal ka likha hai aapne..


Aapki dost se shuru hue ek naya rishta
Haste khelte shuru hue ek naye duniya
Kadam roke hai mujhe par jaana hi hoga
Dosto se hum mehfil ko khoobsurat sajayege
Dosto ko hum dil mein tasveer banakar le jaayege


Bohot khoob honeyrose jee aap ne bhi umda likha he...  Applause

+++++++
Logged
syednaami
Guest
«Reply #6 on: June 17, 2008, 07:02:52 AM »
Reply with quote
Buhat shukriya aapne bohat acha likha hai
Shukriya Syyid ji...Usual Smile kamaal ka likha hai aapne..


Aapki dost se shuru hue ek naya rishta
Haste khelte shuru hue ek naye duniya
Kadam roke hai mujhe par jaana hi hoga
Dosto se hum mehfil ko khoobsurat sajayege
Dosto ko hum dil mein tasveer banakar le jaayege

HoneyRose Saahiba Aap ne buhat umda likha hai...

Hamari dosti abhi bhi hai qaaim, -
Usko to bas mera jurm nazar aaya, -

Gulshan men lagi thi aag mere, -
Usko laga kisi ne uska ghar jalaaya, -

Tamashai banke jo dekhe tamasha, -
Dosti ke ahsaas se usko mahroom paya, -

Jisne maari thi zarb-e-muhabbat, -
Wohi  dosti ko samajh na paya, -

Beraham thi uski khaamoshi buhat, -
Pathar kyun usne apne dil ko banaaya, -

Yeh gulshan bana phir se gulzaar, -
Doston ki kaavishon ne asar dikhaya, -

Dil men doston ki anmit chaahat hai, -
Pyar muhabbat  se unko phir se milaya, -

Koi kyun jale mere tareeq-e-wafa se, -
‘Naami’ ko banda nawaaz Rab ne banaya. -


(Syed Naami)
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #7 on: June 17, 2008, 07:49:48 AM »
Reply with quote
Buhat kamaal ka likha hai aapne Syed .. Clapping Smiley Thumbs UP

Buhat kamaal ka likha hai Sayyid ji...  Clapping Smiley Thumbs UP


Khush naseeb hain hum jo aapki dosti mili
Ehasan na shuka paaye hum jo aapki himaayat mili

Humen dosto ke saayah mein jeene ki adat bangaye
Dard sahete hai mager aankhon ke aansu sailaab hogaye

Dost mile woh mere dil ke aashnaa bangaye
Dil mein humen unka pyar paane ki junoon sawar hogaye


------------------------------------------------------------
Hum aapne dosto ko aapne dil mein liye chale
Aap sab ka pyar jo hai toh kya gham mujhe
Zakhm khake bhi dil me.n khushiyan doonte rahe 
Dosti ke chaaon me.n hum aaram se soye..   sleepy2


Logged
Sonia01
Guest
«Reply #8 on: June 17, 2008, 01:12:37 PM »
Reply with quote
Waaaah....Waaaaaah Bohot achchhe Sonia01 ji....

Kisi shair ne kaha he :-

Khuda jab husn deta he nazakat aa hi jaati he
Qadam chun chun ke rakhti ho kama bal khaa hi jaati he

Magar me'n aaj kahunga:-

Jo dil me dard aata he to shairy aahi jaati he
Kaleja chot khata he to shairy aahi jaati he

bohot achchhi tarha khyaalat pesh kiye aapne Sonia01... Applause

Lage hathon Honey ji ke liye bhi ek sher yaad aagaya so pesh karta hun:-

Khuda hafiz koi kehta huwa jab door hota he
Nigahen takti rehti he dil majboor hota he
                                             {nm}
Khuda kare YO par mehfil-e-ahbaab yunhi sajti sanwarti rahe, or is me nai rangeeniyan shamil hoti rahe. aamin....  Agar waqt or halaat ne saath diya to is thread me mazeed likhne ki kwahish rakhta hun.


Thanks Sayyid jee... aur accha sharing b ki hai jee.
Hum bhi yahi chahte hai k Yo per mehfil yu hi sajthi rahe..... Aameen
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #9 on: June 17, 2008, 01:14:55 PM »
Reply with quote
Buhat shukriya aapne bohat acha likha hai
Shukriya Syyid ji...Usual Smile kamaal ka likha hai aapne..

Aapki dost se shuru hue ek naya rishta
Haste khelte shuru hue ek naye duniya
Kadam roke hai mujhe par jaana hi hoga
Dosto se hum mehfil ko khoobsurat sajayege
Dosto ko hum dil mein tasveer banakar le jaayege

Kahan milega aisi dosti aur ye yarana
Aisa hasta khelta pyar ka tarana
Jahan bi jayenge, yaad aaoge tum Honey
Apna desh aana aur sabse milke jaldi aana  love9
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #10 on: June 17, 2008, 01:21:30 PM »
Reply with quote
Yeh suraj hai ya chand ki roshini, -
Ladte the jo kal unki hui aaj dosti. -

Ajeeb chakkar hamne dekha yahan par, -
Ki sher aur bakri ki aapas men ban gayi. -

 Laughing hard  Laughing hard  Laughing hard
Aap bhi na bhaiya.. bas yeh pad padkar mai khud bekar ki hasse jaa rahi hu.. Giggle

Quote
Sorry,,, par mujhe buhat achha laga yeh dekh kar... Sonia01 jee aapne to dosti ke taar chhed kar buhat hi nirala sur bukhera hai...

Thanks Syed Jee aapko yeh chota sa dedication towards a friend.. accha laga.Thanks once again.
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #11 on: June 17, 2008, 01:28:03 PM »
Reply with quote
Aapka saat barson purana lagta hai
Varna toh apna bhi begana lagta hai
Aapke saat bhool jate hai sare gam
Waise toh gamon se nata purana lagta hai

Aapse dosti aisi hai hamari
Jaise dosti ka naya zamana lagta hai
Badi mushkil se mili hai yeh dosti
Khuda ka mera khush rehna gavara lagta hai

Aapki fitrat ke kam hi hote hai
Aapka dost palkon pe bitana kam lagta hai
Aap dost hai hamare, is se itrake
Hame her rishta bachkana lagta hai

Aapke pass rehna
Hame Khuda ka kareeb aana lagta hai
Aap kya jane aap kya hai hamare
Aapko bhool jana toh
Khuda ko bhool jana lagta hai

Aap se aur kya kare mere dost
Aapka is YOINDIA mein aana aur hamara dostana
Ye hame koyi fasana purana lagta hai

Aapka saat barson purana lagta hai...
 love4 love4
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #12 on: June 17, 2008, 02:01:27 PM »
Reply with quote
 
very nice lines Sonai..Usual Smile

Kahan milega aisi dosti aur ye yarana
Aisa hasta khelta pyar ka tarana
Jahan bi jayenge, yaad aaoge tum Honey
Apna desh aana aur sabse milke jaldi aana  love9


Very nice lines Sonia shukriya aapka


Ek din chali thi mein dost ki talash mein
Phir paaye kudh ko iss sunder se duniya mein

Rokhe kadam aur paaya humen dosto ki mehfil mein
Hanste hanste nikale 6 mahine dosto ki nakahat mein

Pal pal hum pighalne lage dosto ke taskeen mein
Socha na tha ek din hum rahege dosto ke gulduste mein
~honeyrose~
Logged
syednaami
Guest
«Reply #13 on: June 17, 2008, 02:36:29 PM »
Reply with quote
Very good aap log to dhamaal macha rahe ho...
Wah Sonia01 kya khoobsurat kaha aapne...
Aur HoneyRose Saahiba to buhat bhaavuk likh rahin...
Keep the spirit up...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: June 17, 2008, 02:39:24 PM »
Reply with quote
Very good aap log to dhamaal macha rahe ho...
Wah Sonia01 kya khoobsurat kaha aapne...
Aur HoneyRose Saahiba to buhat bhaavuk likh rahin...
Keep the spirit up...


Shukriya aapka Syed ...Usual Smile
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 06:27:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer