Ghazal : Mere bichre hue saathi !

by khalidrawat on February 15, 2008, 08:20:22 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1996 times)
khalidrawat
Guest
Reply with quote
Mujhe phir yaad aate hai.N mere bichre hue saathi
Lahoo mujh ko rulate hai.N mere bichre hue saathi

Mere takleef se hoti the un ko jo pareshaani
Usi ke yaad laate hai.N mere bichre hue saathi

Usi mehfil mai.N jis ki yaad se mujh ko muhabbat he
Abhi bhi khench late hai.N mere bichre hue saathi

Shanaasa haal se mere wo mujh se bhi zayaada hai.N
Mujhe khud se milate hai.N mere bichre hue saathi

Unhai.N shamo-sahar mai.N bhi hamesha yaad rakhta hoo.N
Mujhe kab bhool pate hai.N mere bichre hue saathi

Bula leta hoo.N akser khaab mai.N maazi ki yaadoo.N ko
Mujhe jab yaad aate hai.N mere bichre hue saathi

Kabhi jo neend aa jaye tu khaboo.N mai.N mere aaker
Mujhe pehroo.N sulate hai.N mere bichre hue saathi

Khalid Jamil Rawat
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bichre by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard saath hai mere aur gam merea saathi ha by siddharth in Shayri-E-Dard
mere jeevan saathi by tere_naam786 in Shayri for Dard -e- Judai
SAATHI MERE........!!! by pandit in Pain in Love : Punjabi poetry
saathi mere jhande lehrao aaj jashn ki baari hai by pritam tripathi in Shairy-E-Watan
diya786
Guest
«Reply #1 on: February 15, 2008, 10:35:44 AM »
Reply with quote
bahut acche khalid
aapne apni shayari se hume bhi apne doston ki
purani bhuli hui saari yaadein yaad aa gayi
Logged
natural
Guest
«Reply #2 on: February 15, 2008, 10:52:20 AM »
Reply with quote

Very Nice Khalid....
Logged
khalidrawat
Guest
«Reply #3 on: March 08, 2008, 08:17:40 AM »
Reply with quote
bahut acche khalid
aapne apni shayari se hume bhi apne doston ki
purani bhuli hui saari yaadein yaad aa gayi

bohut shukriya aap ki inayat ka
Logged
khalidrawat
Guest
«Reply #4 on: March 08, 2008, 08:21:46 AM »
Reply with quote
bahut acche khalid
aapne apni shayari se hume bhi apne doston ki
purani bhuli hui saari yaadein yaad aa gayi

bohut shukriya aap ki tawajjah ka , aur pasand ka ,
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: March 08, 2008, 10:12:08 AM »
Reply with quote
Mujhe phir yaad aate hai.N mere bichre hue saathi
Lahoo mujh ko rulate hai.N mere bichre hue saathi

Mere takleef se hoti the un ko jo pareshaani
Usi ke yaad laate hai.N mere bichre hue saathi

Usi mehfil mai.N jis ki yaad se mujh ko muhabbat he
Abhi bhi khench late hai.N mere bichre hue saathi

Shanaasa haal se mere wo mujh se bhi zayaada hai.N
Mujhe khud se milate hai.N mere bichre hue saathi

Unhai.N shamo-sahar mai.N bhi hamesha yaad rakhta hoo.N
Mujhe kab bhool pate hai.N mere bichre hue saathi

Bula leta hoo.N akser khaab mai.N maazi ki yaadoo.N ko
Mujhe jab yaad aate hai.N mere bichre hue saathi

Kabhi jo neend aa jaye tu khaboo.N mai.N mere aaker
Mujhe pehroo.N sulate hai.N mere bichre hue saathi

Khalid Jamil Rawat


Beautiful....aap ki ghazlon se bohot seekhne ko milta hai Khalid Sahab...aise hi yahan likhte rahiyega.
Logged
Riyaz Ashna
Guest
«Reply #6 on: November 18, 2009, 04:59:28 PM »
Reply with quote
 Applause Dear bhai, aapke sher dil ko chhoo gaye, do lines aapki zameen mein kahin hain:

Khushi ke saath gham bhi hain, hansi ke saath aansu bhi
Mujhe jeena sikhate hain mere bichre hue saathi
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: November 18, 2009, 05:41:58 PM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Khalid ji,very beautiful gazal,lovely creation.excellent Thumbs UP Applause Applause Applause Applause
Logged
sumera bashir
Guest
«Reply #8 on: December 21, 2010, 03:10:00 PM »
Reply with quote
bohat zbrdst,mujhay b apne frndz yad aa gaye.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #9 on: January 20, 2011, 10:16:01 AM »
Reply with quote
Aik bahut hi khoobsurat takhleeq. Aap to janab bahut achchha kahte haiN. Ye main ne aapki pahli kaawish paRhi, aap ne impress kiya. Aisi purmaghz kaawish par hazaroN daad qubul kijiye.

(Waquif Ansari)

Mujhe phir yaad aate hai.N mere bichre hue saathi
Lahoo mujh ko rulate hai.N mere bichre hue saathi

Mere takleef se hoti the un ko jo pareshaani
Usi ke yaad laate hai.N mere bichre hue saathi

Usi mehfil mai.N jis ki yaad se mujh ko muhabbat he
Abhi bhi khench late hai.N mere bichre hue saathi

Shanaasa haal se mere wo mujh se bhi zayaada hai.N
Mujhe khud se milate hai.N mere bichre hue saathi

Unhai.N shamo-sahar mai.N bhi hamesha yaad rakhta hoo.N
Mujhe kab bhool pate hai.N mere bichre hue saathi

Bula leta hoo.N akser khaab mai.N maazi ki yaadoo.N ko
Mujhe jab yaad aate hai.N mere bichre hue saathi

Kabhi jo neend aa jaye tu khaboo.N mai.N mere aaker
Mujhe pehroo.N sulate hai.N mere bichre hue saathi

Khalid Jamil Rawat

Logged
Yaash
Guest
«Reply #10 on: January 22, 2011, 10:48:56 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
khalidrawat
Guest
«Reply #11 on: May 06, 2014, 05:47:57 AM »
Reply with quote
thanks to my friends.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 11:48:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer