Safar Dosti Ka!!!

by Ravi_Dave on March 08, 2006, 10:18:53 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1424 times)
Ravi_Dave
Guest
Reply with quote
Hello i have writen this dedicated 2 al ma friends as we went to play badminton tournament in Belgium from England n id like 2 tel u the atmosphere and the experience, id like 2 say thank u to my Friend,coach, guru Mr Abdul Gaffar for organising this memorable trip!!!

This is dedicated to: Bhavin, Hitesh, Kiberias, Manish, Rakesh, Robin, Shahid, Venkat and the main man Gaffar....also it doesnt finish there,
Darshika,Manisha, Nikita, Niral, and Poonam!!!



Jab mehaki yeh khabar doston ke saath jaane ki,
machal padi dhadkan intezaar mein oos tariq ke aane ki,
pehla mauka tha ghar se door jaane ka,
apni aur doston ke qaabilyat duniya ko batane ka,

Teh kiya jis ghadi se yeh safar dus ghanto ka,
tab se sirf khushi hi khushi ko gale lagaya,
kuch aise minuto mein kate ghante,
ke humne har waqt apnapan aur yaaro ka pyaar paaya,

Nahi jaante the jinki shaksiyat woh tab jaan paaye,
haasi ke maahol mein sabhi ka armaan jaan paaye,
jeet ka paagalpan sab mein tha,
ke hosle ke aahat mein haar ka khauff naa tha,

Guzra har pal khoobsurati se,
jaise woh tha zindagi mein akhri,
sajaaya doston ki mehfil ne safar,
khelke sur-o-sargam bhari antakshari,

Bada sundar sab ne samaa banaaya,
ke sab ne apni madhur saad mein gaaya,
aur geeto ke sahare apna kista sunaaya,
sab ne kaha "aamaj ramye aaje"
jab Rakesh ne zor se gaaya 'dhol baaje'

Jab pauche Belgium to baarish mein lipat gaye,
kar karati thand mein sleeping room se chipak gaye,
baaton ka silsila saari raat chala,
subha paanch huve to bhi jee nahi bhara,
saune gaye chand ghanto ke liye sirf racket hi dikha,
bina mummy ke akele mein hi uthna sikha,

Jooth thodha chalta hain so humne bhi bol diya,
hum match ke liye nahi uthte jo doston ne naa uthaya hota,
shukriya humare sabhi yaaro ka,
jinhone hume khelne mein salaa di,
shukriya humare sabhi pyaaro ka,
jinhone hume khelte samay 'come on, come on' ki awaaz di,

Hum aage the paanch sunya jab galti kar bethe,
apni backhand ki kamzori unhe dikha bethe,
jaan ke yeh woh hume waha khilate rahe,
hum har ek shot mein maat khate gaye,
aur jo hona tha wohi huva,
hum haar te chale gaye,

Kuch zakhm the shikaz khane ke,
magar doston ki jeet ne woh pal mein mita diye,
suhaana aalam tha din ka jab humaare preeye 'Gaffar' court pe aaye,
mauj masti ke saath sabhi ke dil pe chaahye,
aise maare shot unhone pyaar se (2)
ke dil khush hogaya,
aasani se jeet kar tournament ka pehla toofan paar kiya,

'Robin' ne honthon ko har waqt muskurane ko majboor kiya,
kya good goodate choot koole unhone sunaaye,
saute mein bhi baat karke hans rahe the woh,
zikre kiya unse yeh to phir hume zor se hasaaya,

Lambe din ke baad raat ko bar mein party ki,
Bhavin ke dancing ne kya dhoom machaayi,
sabhi the gul apni hi aadaon mein,
kuch kam nahi the Hitesh ke moves aisi fizaon mein,
kuch aur sikhne ko mila,
badminton hi nahi aap to har cheez mein paaye huve hain kala,

Humari ladkiyon saathi ka kya kehna,
semi-final aur final ke siva naam hi nahi leti hain,
'Poonam' 'Manisha', 'Darshika' aur 'Nikita',
kya kahe aapke laajawaab hooner ka,
aap ke final mein pauchne se dil ko sookon mila,
hume ab, naa jeetne ki nahi koi gila,

Doosre kadam par the qaamyaabi ke,
pehle mein qaamyaab huve,
jab 'Niral' ne mixed doubles mein apna kamaal dikhaaya,
ghum hain aage nahi pauche,
lekin 'Niral' ko shukriya ke yeh dhamaal machaaya,

Doston abhi kaha khatam huva safar dosti ka,
humari aziz 'Shahid Mia' ne aisa hungama batlaaya,
dard bhari halaat mein,
jeet ke josh mein,
unhone hume final ko qaabilyat se hume jitna sikhaaya,

Hum kabhi nahi bhool sakte inki smashes ko,
'Venkat' kya maar te ho tum,
kad ka faaida hain tumhare paas,
agar naa hota to bhi itna hi accha khelte tum,
final tak ka safar tum ne bhi teh kiya,
match par match kya sundar performance diya,

Humare vijayata 'Poonam' ka in dino mein hi birthday aaya,
sab ne pyaar se happy Birthday gaaya,
dua karte hain hazaaro aur aaye,
aur hum inka, agle mahine 'Bhavin' ka
aur sabhi ka birthday aise hi manaaye,

Phir chaaya ghumo ka badal khushi ke palkon mein choop ke,
waqt hogaya humare waapas aane ka ghar pe,
koi nahi aana chahta tha phir England mein,
rehna chahte the waha sabhi ke saath mein,

Shamaa phir jalaye hain umeed ki ke phir ek baar mauka aaye,
hum ek duje ko phir gale lagaaye,
kahi aur chale aur bataaye hasrat duniya ko apni qaabilyat ki,
magar is baar nahi honi chahye kami,
humare qareebi mitra 'Manish' ki,

Shukriya 'Gaffar' ko jinhone yeh safar qaamyaab banaaya,
jiske aanchal mein humne apne aap ko khil khilate paaya,
aur shukriya humare yaaro, pyaaro aur dildaaro ko,
jinhone zindagi ke daud ki yaado ko do dino mein savaara!!!

Luv u all!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Safar by Raj in Shayri-E-Dard
safar by tinda in Shayri for Khumar -e- Ishq
Safar by Rajiv'sshayri in Ghazals
Safar Dosti ka by afrozpasha in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: March 11, 2006, 07:08:28 PM »
Reply with quote
wonderful   Ravi........... bahot  accha aap ne likha
Logged
Ravi_Dave
Guest
«Reply #2 on: March 12, 2006, 01:15:01 PM »
Reply with quote
Shukriya WaheedJi, yeh hain humare dost aur unka pyaar jo aapse bayaan kiya!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 11:19:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer