A Message To Indian's,. {Azeem Aarzu,.}

by Jaanasheen on August 14, 2013, 08:11:51 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1198 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
15 August Hamaara Swatantra Diwas Hai, Is Maukhe Par Main Ek Message Mere Saare Hindustaaniyon Ke Beech Rakhna Chahta Hoon, Jo Aaj Kai Jagaahon Par Fasaad Ho Rahein Hain,.
Maine Apne Nazariye Se Kuch Socha Aur Chahta Hoon ke Is Baat Par Sab Gaur-o-Fikar Kare,.

Main Admin Se Maafi Chahta Hoon Ke Ye Post Shayari Nahi Hai, Lekin Bohat Zaruri Hai,.

Kaheen Mere Kehne Ke Lehje Mein Galti Mile To Chota BHai Samajhke Maaf Kardena,.


Hindustan Sone Ki Chidiya Kehlaaya Jaata Tha, Jab Hindu Aur Muslim Ek The,.
Jab Angrez Aaye Inhonhe Aapas Mein Phoot Daali Aur Is Mulk Ko Kamzor Kardiya,Aur Aaj Yahaan Sabse Bada Slum Aur Poverty Dekhi Jaati Hai,.
Ek Waqt Wo Tha, Jab Sadkon Par Heere Moti Sona Chaandi Ka Vyapaar Hota Tha,.
Aaj Ye Haalat Kyun Hue Is Mulk Ke, Kyunki Hum Angrezon Ki Saazish Mein Aakar Is Mulk Ke Tukde banaa Diye, Aur Aapaas Mein Lardte Rahe,.

Ab Isi Taraah Ki Saazishein Karwaai Jaa Rahi Hai, Hindu Muslim Ke Dalaalon Ke Haaton Se, Jiska Shikaar Masoom Hindu Aur Muslim Bhai Ho Rahe Hain,.

Jis Se Mulk Aur Gareeb Hoga, Kyun Ki Jahaan Nafrat Janm Leti Hai, Wo Zameen Wo Ghar Kabhi Aabaad nahi Reh Sakta,.

Meri Guzaarish Hai Mere Hindustaani Bhaiyon Aur Behnon Se, Nafrat Ko Jeetne Na Dono, Jo Log Fasaad Ko Badhaawa Dena Chahte Hain, Mulk Ko Nuksaan Pahoonchaana Chahte Hain, Unhe Apne Maqsad Mein Kamyaab Hone Na Do,.

Yaad Rakho Agar Bewajah Khoon Sadqon Par Bahega,.
Jab Desh Khoon Maangega To Kahaan Se Laaoge,.

Aapas ke Gile Shikwon Ko Door Karo, Ek Hokar Is Mulk Ki Achhci Tasweer Banaane Mein Sab Saath Do,.

Jai Hind,.

-Azeem Aarzu,.

Logged
jyuthika
Guest
«Reply #1 on: August 14, 2013, 08:14:39 PM »
sach bat
Logged
laaiba
Guest
«Reply #2 on: August 14, 2013, 08:46:52 PM »
salut to ur rare passions azeem ji,......
thts ryte &true i agree with u,.........
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: August 14, 2013, 09:02:29 PM »

Azeem Bhai aadaab... !


Janab behad sahiN farmayaa aapne... maiN aise mouqoN par bolne se humesha bachta huN kyuN ke mujhe dusri aik haqeekhat maloom hai ... aur mera lahza aur andaaz badal jaata hai.. is par kuch kahne ke liye...

Khair aapke is khayaal se kuch asar ho toH achcha hai... Allaah mazid soNch O khayaal se sabko nawaaze... aameen

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: August 14, 2013, 11:33:55 PM »
sach bat


Hume Mil Jhulkar Hi Badlaaw Laana Hai,.
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #5 on: August 15, 2013, 02:23:59 AM »
15 August Hamaara Swatantra Diwas Hai, Is Maukhe Par Main Ek Message Mere Saare Hindustaaniyon Ke Beech Rakhna Chahta Hoon, Jo Aaj Kai Jagaahon Par Fasaad Ho Rahein Hain,.
Maine Apne Nazariye Se Kuch Socha Aur Chahta Hoon ke Is Baat Par Sab Gaur-o-Fikar Kare,.

Main Admin Se Maafi Chahta Hoon Ke Ye Post Shayari Nahi Hai, Lekin Bohat Zaruri Hai,.

Kaheen Mere Kehne Ke Lehje Mein Galti Mile To Chota BHai Samajhke Maaf Kardena,.


Hindustan Sone Ki Chidiya Kehlaaya Jaata Tha, Jab Hindu Aur Muslim Ek The,.
Jab Angrez Aaye Inhonhe Aapas Mein Phoot Daali Aur Is Mulk Ko Kamzor Kardiya,Aur Aaj Yahaan Sabse Bada Slum Aur Poverty Dekhi Jaati Hai,.
Ek Waqt Wo Tha, Jab Sadkon Par Heere Moti Sona Chaandi Ka Vyapaar Hota Tha,.
Aaj Ye Haalat Kyun Hue Is Mulk Ke, Kyunki Hum Angrezon Ki Saazish Mein Aakar Is Mulk Ke Tukde banaa Diye, Aur Aapaas Mein Lardte Rahe,.

Ab Isi Taraah Ki Saazishein Karwaai Jaa Rahi Hai, Hindu Muslim Ke Dalaalon Ke Haaton Se, Jiska Shikaar Masoom Hindu Aur Muslim Bhai Ho Rahe Hain,.

Jis Se Mulk Aur Gareeb Hoga, Kyun Ki Jahaan Nafrat Janm Leti Hai, Wo Zameen Wo Ghar Kabhi Aabaad nahi Reh Sakta,.

Meri Guzaarish Hai Mere Hindustaani Bhaiyon Aur Behnon Se, Nafrat Ko Jeetne Na Dono, Jo Log Fasaad Ko Badhaawa Dena Chahte Hain, Mulk Ko Nuksaan Pahoonchaana Chahte Hain, Unhe Apne Maqsad Mein Kamyaab Hone Na Do,.

Yaad Rakho Agar Bewajah Khoon Sadqon Par Bahega,.
Jab Desh Khoon Maangega To Kahaan Se Laaoge,.

Aapas ke Gile Shikwon Ko Door Karo, Ek Hokar Is Mulk Ki Achhci Tasweer Banaane Mein Sab Saath Do,.

Jai Hind,.

-Azeem Aarzu,.


Thumbs UP Thumbs UP icon_salut
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 15, 2013, 04:25:42 AM »
salut to ur rare passions azeem ji,......
thts ryte &true i agree with u,.........

Thank You Laiba Ji, Hume Apne Soch Badalni Hai, Hamaara Mahaul Sudherga Tab Hi,.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: August 15, 2013, 08:24:50 AM »
Jaihind
Logged
prashad
Guest
«Reply #8 on: August 15, 2013, 08:39:22 AM »
sahi kaha, jai hind
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 19 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #9 on: August 15, 2013, 09:28:37 AM »
sahi kaha, jai hind
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #10 on: August 15, 2013, 02:44:05 PM »
Aameen
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 12 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: August 16, 2013, 07:25:30 AM »

Azeem Bhai aadaab... !


Janab behad sahiN farmayaa aapne... maiN aise mouqoN par bolne se humesha bachta huN kyuN ke mujhe dusri aik haqeekhat maloom hai ... aur mera lahza aur andaaz badal jaata hai.. is par kuch kahne ke liye...

Khair aapke is khayaal se kuch asar ho toH achcha hai... Allaah mazid soNch O khayaal se sabko nawaaze... aameen

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile


Bhai Jaan Hume Soch Badalni Hai, Bohat Lard Liye Zaat Dharm Ke Naam Par, Ab Mulk Ke Liye Lartdna Hai,.

Mulk Ki Taraqqi Ke Baare Mein Sochna Hai, Fasaad Phailaane Waalon Ko Khatam Karna Hai,.

Aisa Hindustaan Banaana Hai, Jahaan Masjid Ki Bigraahni Pandit Kare, Aur Mandiron Ki Hifaazat Musalmaan,.

I Have seen Some Tragedies Jis Ke Hisse Khona Bohat Tha, Haasil Kuch Bhi Nahi,.

sad5
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #12 on: August 16, 2013, 02:21:44 PM »
waah waah azeem sahab.. bahut khoob.. Usual Smile

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: August 17, 2013, 07:40:46 PM »
Bhai Jaan Hume Soch Badalni Hai, Bohat Lard Liye Zaat Dharm Ke Naam Par, Ab Mulk Ke Liye Lartdna Hai,.

Mulk Ki Taraqqi Ke Baare Mein Sochna Hai, Fasaad Phailaane Waalon Ko Khatam Karna Hai,.

Aisa Hindustaan Banaana Hai, Jahaan Masjid Ki Bigraahni Pandit Kare, Aur Mandiron Ki Hifaazat Musalmaan,.

I Have seen Some Tragedies Jis Ke Hisse Khona Bohat Tha, Haasil Kuch Bhi Nahi,.

sad5


Azeem Bhai Aadaab... !

MaiN kuch kahuNga toH zubaaN fisal jayeNgi
Jo na kahni ho baat woH bhi nikal jayeNgi

Bhai Awaam kitna bhi chah leN aur mil jhulkar rah leN lekin isi awaam meiN kuch laalchi aur matlab parast log bhi haiN jo siyasat ki pheNki huyi haddiyoN par kuch bhi kar jaate haiN...

Kabhi bhi koi bhi aam aadmi nahi chahta ke diloN meiN dooriyaaN ho mazhab ki deewaareN ho.. yeH sab toH siyaasat ki banaaye huye jaal hai jisme aam aadmi ko hi bhugatna padta hai... Usual Smile

Khair ab baat badhane se behtar hai... baat ko badal dena...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 10:43:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.177 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer