DHAMAKAA (DELHI)

by NETRAPAL on September 19, 2008, 06:43:43 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3568 times)
NETRAPAL
Guest
Hote hai dhamake bamboo ke
Hamne ghabraana chod diya
Bichtee hai lashe kai magar,
Hamne ab rona chod diya…….

Kon royega lasho pe ab
Yaha Dafan hajaro hote hai
Bichtee hai lashe kai magar
ab kafan hee saste bikte hai…

Logo kee hotee durgatee
Lasho pe chaltee rajneetee
Kutto se ladte hukmaraan
Hamne sab sahanaa seekh liyaa
Rote the kal ham mayyat pe
Arthee pe hansna seekh liya
Hote hai dhamake………….

kursee pe baithe ye mhaana
bhaarat maa ke ye vardaan
kabhee the ye bhee gairatmand
begairat hona seekh liya
nakshe kadma pe unke hee
hamne bhee chalnaa seekh liya
hote hai dhamake bambo ke....

muskate hai we besharmee se
hamne bhee rona chod diya
hote hai dhamake bambo ke
hamne ghabrane chod diya..



NETRA...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Delhi Gangrape----pls forward this...Delhi Gang Rape by kavyadharateam in Miscellaneous Shayri
DELHI kaala KAAND by bolte raho sushil in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
DELHI KAAND .......... by bolte raho sushil in Miscellaneous Shayri
Delhi Riots,. by Azeem Azaad in Shairy-E-Watan
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: September 19, 2008, 06:50:29 AM »
 Applause Applause
bahoot hi khoob likha hai netra ji aapne...aaj ke haalaton par ek gambheer aur theekhi nazar aapki..
rote the kal hum maiyat pe,
arthee pe hansna seekh liya

chot si pahunchati hai ye baat kaash koi is dard ko samajh paaye
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: September 19, 2008, 07:00:16 AM »
Bahut bahut khoob... Netra Applause

Ek dhamaaka pal bhar mein kitni hi zindagiyon ko khatam kar deta hai, kuch usi pal khatam ho jaati hai toh kuch umar bhar uss dhamaake ke pal ke diye hue dard ko jhelne ke liye ek zinda laash bann ke reh jaati hai..


Waise,

Ghabarahat toh ab bhi hoti hai,
Par humne ab jatlaana chhodh diya..
Dil aise mein ab bhi dukhta hai magar,
Aansu ne aankh mein aana chhodh diya...




Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: September 19, 2008, 07:33:25 AM »
Netra

Tumhare likhe kalam itne ache hote hain...itne ache hote hain ki dil chahta hai ek baar kabhi mauka mile to tumse zaroor miloon !

Bahut he sachai se tum likhte ho...ek krantikari ki tarah !

Keep going Thumbs UP Applause Applause Applause

@Mahiya
Nice reply Applause
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: September 19, 2008, 07:40:01 AM »
netra ji bilkul sahi kaha aapne
dhamaako mei logo ki jaan to jaati hai par koi fark nahi
padta in leaders ko wo to apni rajnitiyon mei hi vyast rehte hain
aur unhe to ek dusre par ungli uthane ka mauka aur mil jaata hai
par ek begunaah hi apni jaan gawata hai


dil dukhta aaj bhi hai
kyu ki ham gulaam aaj bhi hain

pehle hukumat thi goro ki yahaan
par ab apno k shikaar ham aaj bhi hain

pehle to sare aam gore pehchane jaate the
desh k dushman jaane jaate the

par ab apne hi kar rahe atyaachar hain
to kaise kahei ham k ham aazaad hain

netaayon k sharyantra hain anek yahaa
apne hi sab lete loot yahaan

begunaaho ka khoon hi behta hardam hai
aur netaaon k loktantra k sirf bhaashan hain

sharam aati hai mujhko ye kehne mei
k ham swatantra desh ki waasi hain

lagta hai aisa jaise mujhko
sab atyachaar ko sehne mei hi ab raazi hain
    tearyeyed
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #5 on: September 19, 2008, 11:25:47 AM »
Applause Applause
bahoot hi khoob likha hai netra ji aapne...aaj ke haalaton par ek gambheer aur theekhi nazar aapki..
rote the kal hum maiyat pe,
arthee pe hansna seekh liya

chot si pahunchati hai ye baat kaash koi is dard ko samajh paaye


thanks sir, bas haalaat aise hai kee baya karte bhee dard hota hai

netra..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #6 on: September 19, 2008, 11:27:21 AM »
Bahut bahut khoob... Netra Applause

Ek dhamaaka pal bhar mein kitni hi zindagiyon ko khatam kar deta hai, kuch usi pal khatam ho jaati hai toh kuch umar bhar uss dhamaake ke pal ke diye hue dard ko jhelne ke liye ek zinda laash bann ke reh jaati hai..


Waise,

Ghabarahat toh ab bhi hoti hai,
Par humne ab jatlaana chhodh diya..
Dil aise mein ab bhi dukhta hai magar,
Aansu ne aankh mein aana chhodh diya...

thanks mahiya ji achaa likha hai aapne bhe....

netra...





Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #7 on: September 19, 2008, 11:31:28 AM »
Netra

Tumhare likhe kalam itne ache hote hain...itne ache hote hain ki dil chahta hai ek baar kabhi mauka mile to tumse zaroor miloon !

Bahut he sachai se tum likhte ho...ek krantikari ki tarah !

Keep going Thumbs UP Applause Applause Applause

@Mahiya
Nice reply Applause

thanks sir,

aap padhte hai mujhe yahee bahoot hai mere liye or jo mai chahtaa hoo use aap bhee mahsoos karte hai yahee mai chahtaa hoo...

netra..
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #8 on: September 19, 2008, 11:33:41 AM »
netra ji bilkul sahi kaha aapne
dhamaako mei logo ki jaan to jaati hai par koi fark nahi
padta in leaders ko wo to apni rajnitiyon mei hi vyast rehte hain
aur unhe to ek dusre par ungli uthane ka mauka aur mil jaata hai
par ek begunaah hi apni jaan gawata hai


dil dukhta aaj bhi hai
kyu ki ham gulaam aaj bhi hain

pehle hukumat thi goro ki yahaan
par ab apno k shikaar ham aaj bhi hain

pehle to sare aam gore pehchane jaate the
desh k dushman jaane jaate the

par ab apne hi kar rahe atyaachar hain
to kaise kahei ham k ham aazaad hain

netaayon k sharyantra hain anek yahaa
apne hi sab lete loot yahaan

begunaaho ka khoon hi behta hardam hai
aur netaaon k loktantra k sirf bhaashan hain

sharam aati hai mujhko ye kehne mei
k ham swatantra desh ki waasi hain

lagta hai aisa jaise mujhko
sab atyachaar ko sehne mei hi ab raazi hain
    tearyeyed

bahwnaa ji,

aapne mere dil kee baat kah dee 60 salo kee ajaadee ke baad aaj bhee kya ham apne aapko aajaad mahsoos karte hai?

netra..
Logged
NODER
Guest
«Reply #9 on: September 20, 2008, 02:39:37 AM »
Hote hai dhamake bamboo ke
Hamne ghabraana chod diya
Bichtee hai lashe kai magar,
Hamne ab rona chod diya…….

Kon royega lasho pe ab
Yaha Dafan hajaro hote hai
Bichtee hai lashe kai magar
kafan yaha  ab, saste hai…

Logo kee hotee durgatee
Lasho pe chaltee rajneetee
Kutto se ladte hukmaraan
Hamne sab sahanaa seekh liyaa
Rote the kal ham mayyat pe
Arthee pe hansna seekh liya
Hote hai dhamake………….

Maha murkh ye dahshatgardee
Bina  akal ke ye bedardee
Samjhe the jise ye Bhaghat Singh
Ye desh hai gandhee babaa ka,
Unke har tamache par, hamne
Dusra gaal badhaan seekh liya..
Hote hai dhamako bamboo ke
Hamne ghabraana chod diya……



NETRA...

wah netra bhaijaan bahut accha bayan kiya hai aapne halat ko..
dua yahi hai k dunia mein aman shanti rahe.
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #10 on: September 20, 2008, 07:17:34 AM »
noder, bahoot bahoot shukriyaa jawaab ke liye

netra...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #11 on: September 21, 2008, 06:28:57 AM »
log to darte hai gairo se
apno ne hame he maaraa hai
seene se lagate the jinko
unse hee khanjar khyaa hai
dekho, kaise hai badkismat
jakham peeth pe khyaa hai
imaan dharm ke thekedaro ne
dharam ko hee aaj duboya hai..

netra...

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #12 on: September 21, 2008, 06:58:44 AM »
 Applause Applause Bohat khoob likha hai aapne Netra ji...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #13 on: September 22, 2008, 07:09:14 AM »
Applause Applause Bohat khoob likha hai aapne Netra ji...

thanks hony jee

netra...
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: September 24, 2008, 01:46:40 PM »
Hote hai dhamake bamboo ke
Hamne ghabraana chod diya
Bichtee hai lashe kai magar,
Hamne ab rona chod diya…….

Kon royega lasho pe ab
Yaha Dafan hajaro hote hai
Bichtee hai lashe kai magar
ab kafan hee saste bikte hai…

Logo kee hotee durgatee
Lasho pe chaltee rajneetee
Kutto se ladte hukmaraan
Hamne sab sahanaa seekh liyaa
Rote the kal ham mayyat pe
Arthee pe hansna seekh liya
Hote hai dhamake………….

kursee pe baithe ye mhaana
bhaarat maa ke ye vardaan
kabhee the ye bhee gairatmand
begairat hona seekh liya
nakshe kadma pe unke hee
hamne bhee chalnaa seekh liya
hote hai dhamake bambo ke....

muskate hai we besharmee se
hamne bhee rona chod diya
hote hai dhamake bambo ke
hamne ghabrane chod diya..



NETRA...

Applause Applause Applause Bohot khoob Netra Ji...
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 11:11:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer