hum pyare se mulk,hindustaan main rehte hain,

by nazar ghouri on September 14, 2009, 10:29:12 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1309 times)
nazar ghouri
Guest
 NAZM( POETRY)

MOHABAT-O-KHOLOOS KE GULISTAAN MAIN REHTE HAIN,
HUM PYARE SE MULK,HINDUSTAAN MAIN REHTE HAIN,,,

CHHOTI SI HO YA BADI BAAT HOO,
KHUSHI KA DIN HO YA GHAM KI RAAT HO,

QADAM SE QADAM MILA KE CHALTE HAIN,,
NAFRATAON KO DIL SE MITA KE CHALTE HAIN,

DUSHMANAON KO NAZAR SE GIRA KE CHALTE HAIN,,
DOSTAON KO GAALE SE LAGA KE CHALTE HAIN,,,,,

CHAHAT KE DILKASH AASHYAAN MAIN REHTE HAIN,,
HUM PYARE SE MULK HINDUSTAAN MAIN REHTE HAIN,

AMAN KI FIZA MAIN JEETE HAIN,,
KHUD APNI ADA MAIN JEETE HAIN,

EID ,DASERA KI BAAT NA POOCH,,
US DIN TO HUM HAWA MAIN JEETE HAIN,

AAE SAAWAN TO JHOOMTE HAIN,,
KHAYALAON MAIN DILBAR KO CHOOMTE HAIN,

DILBAR KI YAAD MAIN JO BANAYA THA ,,
ZAMANE KO CHAHAT KI INTEHA DIKHAYA THA,

US KHUBSURAT WAFA KE NISHAAN MAIN REHTE HAIN,
HUM PYARE SE MULK HINDUSTAAN MAIN REHTE HAIN,

HUMKO TEHZEEB NE YEH BAAT SIKHAI HAI,,
SUB HINDUSTAANI BHAI BHAI HAI,,,,,,,,

HUM AJAB APNI SHAAN MAIN REHTE HAIN,,
HUM PYARE SE MULK HINDUSTAAN MAIN REHTE HAIN.,

                                                        NAZAR GHOURI
                                                     10-3-10/A/1,,
                                                     MEHDIPATNAM,,
                                                     HYDERABAD(INDIA)
                                                     CELL:09885375957

Logged
Roja
Guest
«Reply #1 on: September 16, 2009, 03:01:07 AM »
Quote
HUMKO TEHZEEB NE YEH BAAT SIKHAI HAI,,
SUB HINDUSTAANI BHAI BHAI HAI,,,,,,,,

HUM AJAB APNI SHAAN MAIN REHTE HAIN,,
HUM PYARE SE MULK HINDUSTAAN MAIN REHTE HAIN.
,

It is very very good. Nice creation Nazar Ghouri ji  Thumbs UP
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: September 18, 2009, 03:32:22 PM »
Bahoot Bahoot Khoob Nazar ji ! keep writing....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: November 26, 2009, 10:07:31 AM »
Bahut achhi nazm likhi hai aapne. Hum sab ke yahi jazbaat hone chahiye. Thanks for sharing.
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #4 on: February 09, 2010, 06:27:58 AM »
NAZM( POETRY)

MOHABAT-O-KHOLOOS KE GULISTAAN MAIN REHTE HAIN,
HUM PYARE SE MULK,HINDUSTAAN MAIN REHTE HAIN,,,

CHHOTI SI HO YA BADI BAAT HOO,
KHUSHI KA DIN HO YA GHAM KI RAAT HO,

QADAM SE QADAM MILA KE CHALTE HAIN,,
NAFRATAON KO DIL SE MITA KE CHALTE HAIN,

DUSHMANAON KO NAZAR SE GIRA KE CHALTE HAIN,,
DOSTAON KO GAALE SE LAGA KE CHALTE HAIN,,,,,

CHAHAT KE DILKASH AASHYAAN MAIN REHTE HAIN,,
HUM PYARE SE MULK HINDUSTAAN MAIN REHTE HAIN,

AMAN KI FIZA MAIN JEETE HAIN,,
KHUD APNI ADA MAIN JEETE HAIN,

EID ,DASERA KI BAAT NA POOCH,,
US DIN TO HUM HAWA MAIN JEETE HAIN,

AAE SAAWAN TO JHOOMTE HAIN,,
KHAYALAON MAIN DILBAR KO CHOOMTE HAIN,

DILBAR KI YAAD MAIN JO BANAYA THA ,,
ZAMANE KO CHAHAT KI INTEHA DIKHAYA THA,

US KHUBSURAT WAFA KE NISHAAN MAIN REHTE HAIN,
HUM PYARE SE MULK HINDUSTAAN MAIN REHTE HAIN,

HUMKO TEHZEEB NE YEH BAAT SIKHAI HAI,,
SUB HINDUSTAANI BHAI BHAI HAI,,,,,,,,

HUM AJAB APNI SHAAN MAIN REHTE HAIN,,
HUM PYARE SE MULK HINDUSTAAN MAIN REHTE HAIN.,

                                                        NAZAR GHOURI
                                                     10-3-10/A/1,,
                                                     MEHDIPATNAM,,
                                                     HYDERABAD(INDIA)
                                                     CELL:09885375957


Wah wah wah!Watan ki muhabbat meiN doob kar likhi gayi ye nazm qaabil-e-sadiftekhar hai. Aisi nazm likhne k liye aap mubarakbaad k mustahaq haiN. HazaaroN daad qubul kijiye.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 02:25:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer