Kashmir Bharat ka abhinn Ang hai aisa maanna Vishwa ke shanti,vikaas,sauhaarda ke lie uttam hai

by @kaash on December 23, 2010, 01:06:17 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 3160 times)
@kaash
Guest

pyare doston aaj samay hai hum ekjut hoke shaanti ka swagat karen va purane aise muddon ko jinse hamara vikaas nahi hua balki nafrat aur dwesh badha use bhoolen,ye kavita maine aise hi ek mudde par likhi hai sabhi doston se guzarish hai ise ghalat sense me na len.

bharat shuru se hi ek shantipriya rashtra hai
vishwa ko bharat se hi sabse adhik fayda hua hai
chahe bhautik ho aarthik ho smajik ya aadhtyaatmik
bharat ne apni manavta,prem pracheen sabhayata sahit dia bahut kuch
bharat ne kabhi bhi vishwapatal par kisi raashtra ki aalochna nahi ki
udaarvadi bharat ne hamesha prem sauhaarda badappan ki neev rakhi
bharat ne pracheen itihaas se abhi tak kabhi kisi raashtra par aakrman nahi kia
aakraman kaise karta kyunki bharat hamesha shanti failane me aggrgani raha
bharat ne kabhi bhi kisi bhi raashtra ke lie ghalat nahi chaha hai
chot khakar bhi bharat desh ne aasun ko pia lekin badappan nahi gawaya hai
bharat ne kabhi bhi aatankwaad ko badhawa nahi dia hai
bharat ne kabhi bhi aatankwaad ko samarthan nahi dia
bharat desh ne kabhi kisi rashtra ka jaanboojhkar ahit nahi kia
bharat ne hi sachhe mayno me vishwa ko hai raushan kia
smast vishwa me koi bhi apriya ghatna hoti hai bharat aage rahta
door se door isthit desh ki bhi zarurat karne par hai sahayta karta
phir bhi,phir bhi bharat ke khilaaf nayi sazishen hoti hain
itne shantipriya mahaan oonche rashtra me bhi atankwadi ghatnayen hoti hain

kyun? kya vinamra hona hiteshi hona mitrvat hona hi bharat ke lie ghalat hai
bharat ne kabhi kisi desh ke khilaaf sazish nahi ki,kya uska sachha hona ghalat hai?

aaj seeme paar jane kitne aatanki camp banaye jaate hain
hamare pratispardhi cheeni apne paanv arunachal me jamaye jate hain
aaj kashmir ke naam par logon ne apna rozgaar khol rakha hai
bharat ke abhinn ang ke naam par logon me nafrat ka zahar khol rakha hai
aaj bharat ko sabse aage maanne ki jagah use peechhe karne ki koshish hoti hai
roz hi badalti hui kabhi amrica kabhi UNO kabhi cheen ki neeti hoti hai
isi tarah vishwa samudaay me taqatwar kuch desh bharat ko aaage aane nahi dena chahte
saamraajywaad,aatankwaad ke khooni khel me dabake bharat ko hamesha dabaye rakhna chahte

kyun? kya islie ki parmanu hathiyaar se sampann hoke bhi bharat vishwa-hit chahta hai
vo apne rishimuniyun ki raah par aaj bhi shanti se ootprot hi vishwa dekhna chahta hai

bharat ki sahishnuta,sayyam,sadbhaav ko kuch desh uski kayarta sochte hain
isilie bharat jaise anmol heere uski dharti ko ye khoon se rangna chahte hain

kabhi sikandar,ghaznavi,kabhi aattayi babar ki aattaayi neetiyun ka ye shikaar raha
kabhi angrezon ki phoot daalo aur raaj karo ki neetiyun me ye shoshit hota raha
hamesha se hi sabko hriday me isthaan dene vale bharat ko dhokha aur sazishen mili
jabki ganga,geeta aur gaay hi is shantipriya mulk ke lie pradhaan rahin
vishwa ki sabse badi,pracheen aur unnat sabhyata bharat ne hi di
vishwa samudaay ko vikaas ke path par aane ki raah bharat ne hi di

bharat ke khilaaf kisi bhi tarah ki sazish vishwa ka hi ahit karegi
bharat se hoke hi,shanti,vikas,prem ki dhara bahi aur aage bhi bahegi

pakistaan ka banna kahin se bhi ghalat nahi pakistani hamare bhai hain
lekin jis uddeshya aur sazish ke tahat batwaara kia gaya,vo kum hi jante hain
saare desh ne jaati,dharm bhula ke shahadat deke aazaadi paayi
aur majbooran desh chhorne se pehle angrezon ne ye sazish banayi
maanneeya Jinna ji ko bahla fusla ke angrezon ne pakistaan ka raag thama dia
parampoojya Gandhi ji  ne unka zid dekhke unhe alag rashtra banane bhi dia
parantu dukhi the Gandhi ji aur unke dukh ko shayad hi kisi ne samjha
aag bhadkake logon me aakhir dange karwaye gaye,jinke dard aaj bhi logon me basa
jinhone aag lagani thi vo to bhai bhai ko apas me ladake chale gaye
dilon me nafrat paal li humne aur nakaaraatmak vichaardhaar ko apnate gaye
isi ke baad dheere dheere kashmir ka mudda uthne laga
anya deshon ki sazish se padosi rashtra me aatank panapne laga
chhota desh hone ke karan hamara padosi mulk sada doosre deshon ki kathputli raha
iski zameen ko apne maksad ke lie istemaal karne ke lie bade deshon ne ise bahla rakha

iske zariye bade desh iske bade bhai bharat par nishana saadhte hain
kashmir jaisa chhota mudda UNO vale jaanboojhke hal karne ke bajaay latkate hain

dono deshon ki janta apas me aman shanti prem chahti hai aur prem karti hai
lekin kahin aisi vichaardhara ko badhane vale to kahin ache netaon ki kami hai
bharat pakistaan ko saath dekhne me kai deshon ko aapatti hai aur ve aisa hargiz nahi chahte
islie in deshon ke arajak tatvon ke saath saath vo apne agent bhi nafrat failane ke lie bhejte
varna kya un logon ke dard ko hum sochte hain jo aaj bhi apne gaanv-ghar doston ko yaad karte hain
jin jagahon par sabne ghar basayen,rishte nibhaye aaj bhi hamare buzurg yaad kar kar bhavuk hote hain
ham ek the hamare log ek the hamari sabhyata hamare taur tareeke ek hain hamesha rahenge
log jitni nafrat faila len,dahshat badha le hindustaan pakistaan ke log ek hoke rahenge
kyunki yahi vaqt ka taqaza hai,yahi vishwa ke lie upyogi aur kalyaanmay hoga
bade bhai bharat par bharosa karke uspar aankhmoodkar vishwaas kar hi Pakistaan ka mangal hoga
bharat ke saath kashmir ka raah bilkul nahi hargiz nahi alaapna chahiye
Kashmir bharat ka hai is mudde se aage usse vaarta karni chahiye
ye dekhna chahiye ki jitne saal humne aise hi laadaai me guzaare uta vikaas kia hota to kya hota
jitna paisa gola barood banane logon ko maarne me kharcha kia use lok-kalyaan me lagate to kya hota
kitne adhik unnat sukhi shantipoorna mulk hum hote
vishwa ki akhandata me ammolya yogdaan hum de rahe hote

aaj bhi bharat tarah ki samsayaon se jhoojh raha hai
shantipasand mulk bahar andar dushmano se ghira hua hai
lekin phir bhi bharat saare vishwa me roshni faila raha hai
oonche adhyaatmik aadarsh,yog sadbhawna dwara sabka mangal kar raha hai
aaj bhi bharat apne kashton me rahkar bhi sabki madad karta
saare vishwa me sirf yahin ka niwaasi sachhi aazaadi ki saans bharta
parampita parmeshwar ka haath hai bharat par ye shanti ke lie aaj bhi drinsankalp hai
sabko aman ka sandesh deta,prem,sahaarda ki neeti rakhta ye desh inpar kritsankalp hai

Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #1 on: December 24, 2010, 06:37:06 AM »

aaj bhi bharat tarah-tarah ki samsayaon se jhoojh raha hai
shantipasand mulk bahar andar dushmano se ghira hua hai
lekin phir bhi bharat saare vishwa me roshni faila raha hai
oonche adhyaatmik aadarsh,yog sadbhawna dwara sabka mangal kar raha hai
aaj bhi bharat apne kashton me rahkar bhi sabki madad karta
saare vishwa me sirf yahin ka niwaasi sachhi aazaadi ki saans bharta
parampita parmeshwar ka haath hai bharat par ye shanti ke lie aaj bhi drinsankalp hai
sabko aman ka sandesh deta,prem,sahaarda ki neeti rakhta ye desh inpar kritsankalp hai

Barhey LOGON kee BARHII_BARHII BHOOLON kaa khamiyaazah, na jaaney yah RASHTRA kab tak bhogeygaa? Yah RASHTRA na jaaney kab tak GADDAARON Ko sahney ko baadhya banaa raheygaa?

Aapney bahut achchhaa likhaa hai! Badhaayee!!

                                        - abd bundeli
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003

View Profile
«Reply #2 on: December 24, 2010, 11:51:33 AM »
As there was three instances of same poem, I have moved your all post to Shayari e Watan.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:51:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer