Mat Poocho

by Roja on August 12, 2009, 03:52:00 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2235 times)
Roja
Guest
Aukadein basar ki tauba se jajbaat ka rona mat poocho
Jis baat pe aalam hasta ho us baat ka rona mat poocho..
Uske khooni aankhon mein Bharat ka muqaddar teek nahi
Sarkar ke aage Kashmir ke aukaad ka rona mat poocho..

Shaheedon ke sulagte armanon ka matam khudara dekhe to,
Shamma ke guzarish patangon ki mulaqat ka rona mat poocho
Insaan ke liye is dunia mein dasur wafa kab pak mili?
Majhab ke narak mein kafir se halaat ka rona mat poocho..

Inqalab ke andheri rahon mein suraj ka kahi ehsaas nahi
Jahan subah pe jugnu chamate ho wahan raat ka rona mat poocho
Aasaar hai aage kayamat ke iljaam na do nazaron pe
Mausam ki tabiyat teek nahi bersaat ka rona mat poocho..

Majruh jawani ki chahat pe khushiyon ki muradein behshi hai
Aise mein kisi shayar se koyi saugat ka rona mat poocho
Siyasat ki hakeeri chalon mein keemat nahi jajbaaton ki,
Yahan umer se lambi mehengayi ke sadmaat ka rona mat poocho

Aaj aatangwad ki panahon mein aalam ki sansein sehmi hai,
Bakron ki tarah se insaan ke katl ka rona mat poocho
Ek chand ki maiyyat pe sitare aansoo kahan tak bahayenge
"Roja" lash pe dulhan aayi hai baraat ka rona mat poocho..

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #1 on: August 12, 2009, 04:01:44 PM »
 Applause Applause bahut hi khoobsurat peshkash hai yeh roja ji... wah


jasbir singh
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: August 12, 2009, 04:03:06 PM »
Applause Applause bahut hi khoobsurat peshkash hai yeh roja ji... wah


jasbir singh

Bahut bahut thanks for reading me Jas ji  Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: August 12, 2009, 04:13:57 PM »
Applause Applause Applause Applause

bahopt bahot khoob likha hai aapne Roja ji
bahot hi achi tarah aapne desh ke nazuk maslahaaton
par kalam chalayi hai,great work   icon_thumleft
 icon_salut Jai Hind

Bahut bahut shukriya @Kaash ji aapne pada aur tarif kiya. Thank you onceagain  Usual Smile
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #4 on: August 13, 2009, 06:20:54 AM »
wah...kyaa bat hai. bahaut khoob likha hai roja ji..

Netrapal
Logged
punam
Guest
«Reply #5 on: August 13, 2009, 06:44:25 AM »
Bahut khoob di...bahut hi acha likha aap ne...
Logged
fairykhan
Guest
«Reply #6 on: August 13, 2009, 07:19:42 AM »
kia baat hai ji ap ki......nice work..keep it up....
Logged
khushi hi khushi
Guest
«Reply #7 on: August 13, 2009, 07:24:43 AM »
NAHUT UMDA LIKHA HE ROJA JI

BAHUT KHOOOOOOOOOOOOOB  Applause Applause Applause Applause


KEEP WRITING
TAKE CARE
BYE
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #8 on: August 13, 2009, 07:41:46 AM »
Very nice and beautiful creation Roja ji. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause :clap:excellent Thumbs UP
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #9 on: August 13, 2009, 09:34:57 PM »
roja ji bahut hi accha likha hai
ek ek alfaaz  saccha lagta hai

:clap Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: August 19, 2009, 04:18:25 PM »
wah...kyaa bat hai. bahaut khoob likha hai roja ji..

Netrapal

bahut bahut shukriya Netrapal ji
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: August 19, 2009, 04:19:16 PM »
Bahut khoob di...bahut hi acha likha aap ne...

Thanks punam dear  Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: August 19, 2009, 04:21:55 PM »
kia baat hai ji ap ki......nice work..keep it up....

Thanks Fairy khan ji

NAHUT UMDA LIKHA HE ROJA JI

BAHUT KHOOOOOOOOOOOOOB  Applause Applause Applause Applause


KEEP WRITING
TAKE CARE
BYE

Thanks for reading me khushi ji 

Very nice and beautiful creation Roja ji. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause excellent Thumbs UP

Thanks dear Madhu
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: August 19, 2009, 04:22:44 PM »
roja ji bahut hi accha likha hai
ek ek alfaaz  saccha lagta hai

:clap Applause

Bahut bahut thanks reaper bro  Usual Smile
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #14 on: August 24, 2009, 04:53:03 AM »
Aukadein basar ki tauba se jajbaat ka rona mat poocho
Jis baat pe aalam hasta ho us baat ka rona mat poocho..
Uske khooni aankhon mein Bharat ka muqaddar teek nahi
Sarkar ke aage Kashmir ke aukaad ka rona mat poocho..

Shaheedon ke sulagte armanon ka matam khudara dekhe to,
Shamma ke guzarish patangon ki mulaqat ka rona mat poocho
Insaan ke liye is dunia mein dasur wafa kab pak mili?
Majhab ke narak mein kafir se halaat ka rona mat poocho..

Inqalab ke andheri rahon mein suraj ka kahi ehsaas nahi
Jahan subah pe jugnu chamate ho wahan raat ka rona mat poocho
Aasaar hai aage kayamat ke iljaam na do nazaron pe
Mausam ki tabiyat teek nahi bersaat ka rona mat poocho..

Majruh jawani ki chahat pe khushiyon ki muradein behshi hai
Aise mein kisi shayar se koyi saugat ka rona mat poocho
Siyasat ki hakeeri chalon mein keemat nahi jajbaaton ki,
Yahan umer se lambi mehengayi ke sadmaat ka rona mat poocho

Aaj aatangwad ki panahon mein aalam ki sansein sehmi hai,
Bakron ki tarah se insaan ke katl ka rona mat poocho
Ek chand ki maiyyat pe sitare aansoo kahan tak bahayenge
"Roja" lash pe dulhan aayi hai baraat ka rona mat poocho..


aapke hunar ko dekh-kar kai baar hairat me pad jaata hun roja..bahoot hi behtreen likhtin hain aap
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:28:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.177 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer