| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | Hello  mere pyare dosto kese mizaaj hain sab ke? umaeed hain teek taak hongey...aaj hum aap ko kuch peesh karna chahtey hain , kuch aasey alfaaz jis ko sun kar aap ko bhi lagey ga ke kia khoob kaha hain kisi ne...ye alfaaz humary apne nahi hain
 lekin hum dil o jaan se is ko pasand kartey hain aur hamesha kartey hi rahengey...
 tu aap ko bhi chahey ke isey padh kar samjhey aur samajh kar Hawsala Afzai kary Likhney Waley ka...
 
 Dosto agar aap ke paas bhi Na bhoolne wale alfaaz hain tu beshak aap bhi is main add kar saktey hain...humain bohut khushi hogi...
 
 
 Aap Ka Apna
 Silent Lover
 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
			|  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #1 on: July 16, 2009, 10:32:43 PM »  |   | 
 WAQT KHUSHI KA TAL GYA          WO INTZAR KA SAWAN JAL GYA
 WO COLLEGE KE GATE PE TEHALNA
 WO SAKHIYON ME BITA KAL GYA
 WO CHAHAT KA KHUMAR KAHAN
 WO KHAMOSH LABON KA PYAR GYA
 WO DEER GAEY COLLEGE ME REHNA
 WO ANKHON KA IZHAR GYA
 WO CHUPKE CHUPKE TALASH KRNA
 WO TERA MERA PYAR GYA
 IS MUHABBAT KO OUR SAZA DOGI KIA
 TUM MUJKO BHI BHOLA DOGI KIA?
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #2 on: July 16, 2009, 10:39:55 PM »  |   | 
 Ki Mohabbat To Seasat Ka Chalan Choorh Diya,,, Hum Agar Pyaar Na Karte Tu Hakomat Karte......
 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #3 on: July 16, 2009, 10:45:33 PM »  |   | 
 Kehte Hain Ke Pyaar Main Neendey Urh Jati Hain, Koi Hum Se Bhi Mohabbat Kary,
 Kambakht Neen Bohut Aarahin Hain Yaaaaaar...
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #4 on: July 16, 2009, 10:46:33 PM »  |   | 
 na ho udass wo tujh say agar nahi milta yahaan kissi say koi umer bhar nahi milta
 
 huwa hai shaher tabha tujh ko tu khaber hogi
 bohat dino say mujhy apna ghar nahi milta
 
 har ik more pay milty hain sainkron chery
 may dhoond ta hoon jissy wo magar nahi milta
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #5 on: July 16, 2009, 10:49:12 PM »  |   | 
 Phirtay hain kab se dar ba dar 
 ab is nagar ab us nagar
 Ek dusare ke hamsafar
 
 main aur meri aavaargi
 Naashnaa her rahguzar
 
 Nameharban hai ek nazar
 Jain to ab jainn kidhar
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #6 on: July 16, 2009, 10:49:58 PM »  |   | 
 Ham bhi kabhi aabaad thay 
 aise kahaan barbaad thay
 Be fikr thay aazaad thay
 
 masaruur thay dilshaad thay
 Vo chaal aisi chal gayaa
 
 hum bujh gaye dil jal gayaa
 Niklay jalaa ke apnaa ghar
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #7 on: July 16, 2009, 10:50:52 PM »  |   | 
 Vo maah_vash vo maah_ru 
 Vo maah_e_kaamil hu_ba_hu
 Theen jis ki baten ku_ba_ku
 
 us se ajab thi guftaguu
 Phir yuun hua vo kho gai
 
 aur mujh ko zid si ho gai
 Lain gay us ko dhond kar
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #8 on: July 16, 2009, 10:51:34 PM »  |   | 
 Ye dil hi tha jo seh gayaa 
 vo baat aisi kah gayaa
 Kehne ko phir kya rah gaya
 
 Ashkon ka darya beh gaya
 Jab keh kar vo dilbar gaya
 
 Tere liye main mar gayaa
 Rotay hain us ko raat bhar
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #9 on: July 16, 2009, 10:52:21 PM »  |   | 
 Ab Ghum uthaain kis liye 
 ye dil jalaain kis liye
 Ansuu bahaain kis liye
 
 yuun jaan gawain kis liye
 Paisha na ho jis kaa sitam
 
 dhodain ge ab Aisa Sanam
 Hon ge kahin to kaargar
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #10 on: July 16, 2009, 10:53:11 PM »  |   | 
 Aasaar hain sab khot ke
 imkaan hain sab choat ke
 Ghar band hain sab kot ke
 
 ab Khatm hain sab Totake.
 Qismat kaa sab ye khail hai
 
 andhair hi andhair hai
 Aisey huye hain be asar
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #11 on: July 16, 2009, 10:53:49 PM »  |   | 
 Jab hamdam o hamraaz thaa 
 tab aur hi andaaz thaa
 Ab soz hai tab saaz thaa
 
 ab sharm hai tab naaz thaa
 Ab mujh se ho to ho bhi kyaa
 
 hai saath wo to wo bhi kyaa
 Ek behunar ek besabar
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #12 on: July 16, 2009, 10:55:24 PM »  |   | 
 Ek pal main sadiyon ka maza hum se poocheye do din ki zindagi ka maza hum se poocheye
 bhoole hain rafta rafta unhe muddaton me hum
 qistoon main khudkushee ka maza hum se poocheye
 
 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #13 on: July 16, 2009, 10:56:03 PM »  |   | 
 Us ne kaha kon ho tum? Maine kaha hasrat teri.
 Us ne kaha dekhte kya ho?
 Maine kaha surat teri.
 Us ne kaha karte kya ho?
 Maine kaha Puja Teri.
 Us ne kaha kaafir ho kya?
 Maine kaha U hi sahi.
 Us ne kaha chahte kya ho?
 Maine kaha Mohabbat teri.
 Us ne kaha Pachtawoge,
 Maine Kaha QISMAT meri...
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| rkswatian 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #14 on: July 16, 2009, 10:56:43 PM »  |   | 
 Sharab Pene De Masjad Main Beeth Kar Yaroo,,, Ya Woh Jagah Dekha De Jahan Khuda Na Ho...
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	|  |