...:::WorrieS-SorrowS-And-TearS:::....

by rkswatian on July 16, 2009, 04:59:37 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
ReplyPrint
Author  (Read 5518 times)
rkswatian
Guest
«Reply #75 on: August 25, 2009, 04:16:02 PM »
Reply with quote





Us ki aankho mein

koi dukh basa hai

shayed

ya mujhe weham hua

hai shayed

main ne poocha k bhool gaye ho tum b mujhe

ponch k aanso us

ne kaha!

shayed..!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
I Am Sorry My Tears.... by Sonu in English « 1 2 ... 7 8 »
Tears !!!!!!! by Ninaah in General Stories « 1 2 ... 10 11 »
Will you ever see my tears by jeetufor_u in Shayri-E-Dard
Why worries come true... by mrkotians in Inspirational Stories and real life Incidences.
Deep Waves of Sorrows. by R.M. Dixit in English
rkswatian
Guest
«Reply #76 on: August 25, 2009, 04:29:51 PM »
Reply with quote





Mje Dar Lagta Hy

Hr Udas Sham Se

Yadon K Kohram Se

Wafa K Elzam Se

Waqt Ki Chal Se

Bicharne K Khyal Se

Halat K Jal Se

Apne Hi Ik Sawal Se

K

Kya Tum Mere Ho ?
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #77 on: August 25, 2009, 04:32:00 PM »
Reply with quote





Tanha tanha lagta hai
aadhi raat ka
"POORA CHAND",


DIL sy batain karta hai
aadhi raat ka
"POORA CHAND",


Us k piyar main khoeye hum
us ki khatir roye hum,


Dekh k aksar hansta hai
Aadhi raat ka
"POORA CHAND",


Such ye hai k praaya hai,
Phir b dil ko bhaya hai,

Baat meri kab sunta hai Aadhy raat ka
"POORA CHAND",

Ik din thi tanhai bohut,
Yaad tumhari aayi bohut,

Bilkul tum sa lagta hai aadhi raat ka
"POORA CHAND".
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #78 on: August 25, 2009, 04:34:03 PM »
Reply with quote





suno zindagi apni
hans k basar karna

nafratoon k raste pe
na safar karna

suno wafa na ho to
muhabbat adhori he

Muhaabbat k safar man
wafa ki fikir karna

Suno zamana jitna b ho
hamdard tumahra

Zamane ko na
shareek e safar karna


Suno muhabbat her
kisi ki mukaaddar nhn hoti

Mile jo muhabbat
to is ki kadar karna


is doori ko tum
bahana mat bana lena


Taulloq tord matt dena
MUJE TUM CHOR MAT DENA
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #79 on: August 25, 2009, 04:34:46 PM »
Reply with quote





Bekhar Rahe Hai Mere Zaat Us Sey Kehna
Kabhi Miley Tu Yahi Baat Us Sey Kehna
Woh Sath The Tu Zamana Tha Hum Safar Mera
Maghar Ab Koi Nahi Merey Sath Us Sey Kehna
Us Sey Kehna Key Bin Us Key Din Nahi Katta
Sisik Sisik Key Katti Hai Raat Us Sey Kehna
Us Sey Pukaroon Key Khood Hi Phonch Jaon Us Key Pas
Nahi Rahey Woh Halat Us Sey Kehna
Aghar Woh Phir Bhi Na Lotey Tu Aey Meharban Kami
Merey Zeest Key Halat Us Sey Kehna
Haar Jeet Us Key Naam Kar Raha Hoon
Main Manta Hoon Apni Har Us Sey Kehna
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #80 on: August 25, 2009, 04:35:36 PM »
Reply with quote





Tum mere Kahan The......!

Ye to meri zid Thi

Tum mere Ho

Sirf mere

Aisa kaise Mumkin Tha

Do hison mein Taqseem shakhs

Kab Ek Ka hota Hai......... !
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #81 on: August 25, 2009, 04:36:26 PM »
Reply with quote





Ho raat akeli pichle peher
Aur Chand gagan mein aa jaye
Tum chand ki tarah tanha ho
ye baat tumhe tadpa jaye
Kuch khwab saja kar palkon pe
Tum chand se batein kar lena
Hum yaad tumhe to karte hain
tum Yaad humein bhi kar lena
Kuch baat na ho jab aise hi
num ankh Tumhari ho jaye
Tum bat kahi par karte ho
dil or Kahi par kho jaye
Jazbat ke aise alam mein
Muskan labon par bhar lena
Hum yaad tumhe to karte hain
Tum yaad humain bhi kr lena
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #82 on: August 25, 2009, 04:37:21 PM »
Reply with quote





Yoon Hi....!


Roz Dil Ki Daastan
Likhta Hoon
Koi Parrhta Hi Nahin
Kisi Ko Fursat Hi Nahin
Bas Tanha Apni Hi Anjuman Saja Ke
Baith Jaata Hoon
Khud Say Milta Hoon
Pahron Baatein Karta Hoon
Hansta Hoon
Rota Hoon
Phir Khud Ko Thapki Dey Ke
Sulaata Hoon
Yoon Hi Her Shab
Beet Jaati Hai Mairi
Yoon Hi Har Shab ....!
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #83 on: August 25, 2009, 04:38:09 PM »
Reply with quote





Tum mohabbat bhi mosam ki tarha nibhate ho,
Kabhi baraste ho kabhi ek boond ko tarsate ho,

Pal mein kehte ho zamane mein faqat tere hain,
Pal mein izhaar-e-muhabat se muker jate ho,

Bhari mehfil mein dushmano ki tarah milte ho,
Aur duaaon mein mera naam liye jate ho,

Dayar-e-ghair mein mujh ko talash karte ho,
Miloon to paas se chupchaap guzer jate ho,

Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #84 on: August 25, 2009, 04:39:15 PM »
Reply with quote




Zindagi main meri yeh ajab mour hai aya
Woh shaks bhi kho gaya jisey tha mudaton main paya

Uss ka masoom sa chera meri nigahon ko bhaya
Iss pasandeedgi ney to isqh ka hai rogg lagwaya

Kabhi jo hasney hasaney ki baat kerta tha mujh sey
Aaj us ki narazgi ney mujhey betahasha rulaya

Woo na mana to pall main bikher jaon ga main
Dil hota hai woo, gher jo ujjra to kissi ney na basaya

Uss ki udassi per dil ko na kioon udaas karoon
Jee ney mairay bhi to hai ussey shidat sey chaha

Is qader aadat hogaee hai mujhey us ki
Kano main ahat ati hai, nazar ata hai dewaar per saya

Khiyalon main tazaad baton main khafgi agaee hai
Darr lagta hai mann ko, kahin woo ho jaey na paraya

Samney labb uss key khamosh hojatey hain shayar key
Warna tasawur main tha main ney usey khub manaya.
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #85 on: August 25, 2009, 04:40:34 PM »
Reply with quote




~*Sada De Raha Hay*~

Tujhaye apne dil se main kaise bhula doon
Teri yaad hi to meri zindagi hay

Tujhye kiya khabar hay k tuj se bichar kar
Tarap kar har ek pal guzara hay main ne

Judayi k gham se pareshan ho kar
Kahi bar tuj ko poukara hay main ne

Sada de raha hay tujhye piyar mera
Meri zindagi tu kahan kho gaye hay

Tujhye bhul jana naheen mere bas main
Mujhye dard de kar chale jane wale

Tere gham se daman main kaise chura loun
Har ek baat par muj ko yaad ane wale

In aankhon main har dam
Jale ga tera gham

Kabhi na bujhe jo yeh woh roshni hay
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #86 on: August 25, 2009, 04:41:14 PM »
Reply with quote





Yun na mujh ko dekh tera dil pighal na jaye
Mere aansuo se tera daman jal na jaye

Wo mujh se phir mila hai aaj khawabon mai
Ae khudaya kahin meri neend khul na jaye


Pucha na ker sab ke samne meri kahani
Kabhi tera maam hoton se nikal na jaye

Ji-bhar ke dekh lo hum ko tum sanam
Kya pata phir zindagi ki shaam dhal na jaaye

Yun na mujh ko dekh tera dil pighal na jaye
Mere aansuo se tera daman jal na jaye
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #87 on: August 25, 2009, 04:42:10 PM »
Reply with quote





Raat kat ti rahi chand dhalta raha
Aatish ye hijr mein koi jalta raha

Ghar ki tanhaiya mujh ko dhasti rahi
Koi bechan karwat badalta raha

Aason –e-umeed ke shama roshan rahi
Ghar ki dahleez ko koi khatkata raha

Raat bhar chandni gungunati rahi
Raat bhar koi tanha suskarta raha

Aashq palko par aakar bhikarte gaye
Naam lab par kisi ka larasta raha

Aaj phir raat basar hogayi
Aaj phir koi khud se ulajta raha
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #88 on: August 25, 2009, 04:42:52 PM »
Reply with quote





shola-e-ishq bujhaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai
vo magar Khud ko jalaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

us ko manzuur nahiiN hai mirii gumraahii bhii,
aur mujhe raah pe laana bhii nahiiN chaahtaa hai

sair bhii jism ke sehraa kii Khush aatii hai magar,
der tak Khaak uRaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

kaise us shaKhs se tabiir pe israar kareN
jo koii Khwaab dikhaana bhii nahiiN chaahtaa hai

apne kis kaam meN laayega bataata bhii nahiiN
ham ko auroN pe ganvaanaa bhii nahiiN chaahtaa hai

mere lafzoN meN bhii chhuptaa nahiiN paikar us ka,
dil magar naam bataana bhii nahiiN chaahtaa ha.
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #89 on: August 25, 2009, 04:43:32 PM »
Reply with quote



ek din ki baat hai kal to chale jayenge hum
fir na jane kab mare kab yaha aayenge hum
is zindagi ka kya pata jane kab ki chal base
tum na aaye to na aaye yaad to aayenge hum
hum tmhe hule na bhule tum hame mat bhulna
tumne jo thukra diya be mout mar jaayenge hum
gum  na  hoga  bachdne ka muhaabat me agar
tere kandge par ho janaza aur nikal jaayenge hum
qabr me bhi sukh se ,faiz, soyenge sukh nind se
gar tere haatho yahin dafna diye jaayenge hum
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 18, 2024, 03:28:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer