Haqiqat Hokar Bhi Kyon Khwab Sa Hun Main

by majid on April 27, 2011, 11:23:10 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1716 times)
majid
Guest
Reply with quote
khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun main
jo naa samjhi gayi kabhi us kitaab sa hun main

dekh to jaao kareeb se ke naayaab sa hun main
vaqt ke sehraa main ubhra saraab sa hun main

kuch dam ka hun mehmaan hubaab sa hun main
abhi to hun paas tere abhi dastyaab sa hun main

aankhon se bahte ashko ka sailaab sa hun main
jo musalsal barastaa raha voh aab sa hun main

tadbeeron ke banisbat nakaamyaab sa hun main
bigde huvey nasibon ka jaise hisaab sa hun main

kahin paayaab hun to kahin sailaab sa hun main
aseere mauje-zeest ki ravani girdaab sa hun main

baar baar na kah zaahid ke kharaab sa hun main
jo na aaunga phir haath voh sawaab sa hun main

kisi ke dil main sama jaata apna bhi dard zara
apne hi haale-dil ka khud naqaab sa hun main

apni hi khushboo se mehroom gulaab sa hun man
haqiqat ho kar bhi kyon  khwaab sa hun main



                   N/M
                 
Logged
SkykiTears
Guest
«Reply #1 on: April 28, 2011, 03:09:38 AM »
Reply with quote
Nice Sharing Shihab Ji.. Usual Smile God 1.

-SKY-
Logged
Yaash
Guest
«Reply #2 on: April 29, 2011, 06:04:56 PM »
Reply with quote
Badhiya Intikhab Janab Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: April 30, 2011, 06:04:02 AM »
Reply with quote
khud hi sawaal aur khud hi jawaab sa hun main
jo naa samjhi gayi kabhi us kitaab sa hun main

dekh to jaao kareeb se ke naayaab sa hun main
vaqt ke sehraa main ubhra saraab sa hun main

kuch dam ka hun mehmaan hubaab sa hun main
abhi to hun paas tere abhi dastyaab sa hun main

aankhon se bahte ashko ka sailaab sa hun main
jo musalsal barastaa raha voh aab sa hun main

tadbeeron ke banisbat nakaamyaab sa hun main
bigde huvey nasibon ka jaise hisaab sa hun main

kahin paayaab hun to kahin sailaab sa hun main
aseere mauje-zeest ki ravani girdaab sa hun main

baar baar na kah zaahid ke kharaab sa hun main
jo na aaunga phir haath voh sawaab sa hun main

kisi ke dil main sama jaata apna bhi dard zara
apne hi haale-dil ka khud naqaab sa hun main

apni hi khushboo se mehroom gulaab sa hun man
haqiqat ho kar bhi kyon  khwaab sa hun main



                   N/M
                   


koi apne aap ko itni koobsurti ke saat define nahin kar sakta ...simply mindblowing. aap ko aise thoughts aate kahaan se hai .lajaawb
Logged
Niha Khan
Guest
«Reply #4 on: May 02, 2011, 01:25:15 AM »
Reply with quote
 Bohat Khoob Itikhab Ji Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 07:46:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer