Waqt Nahi...

by majid on May 21, 2011, 05:59:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1605 times)
majid
Guest
Reply with quote
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi....... !!!!!



          N/M


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
waqt nahi hai by aryan_mantri in Occassion Specific Poetry
~Waqt Rkhta Nahi~ by Sonia01 in Shairi - E - Zindagi
Waqt Nahi.......... by poppoetry in Miscellaneous Shayri
~~~Waqt Nahi hai ab~~~ by pankshivam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Shart e Mohabbat ye nahi k har waqt by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
brokenbyluv
Guest
«Reply #1 on: May 21, 2011, 06:06:14 PM »
Reply with quote
Behad umda shihab ji...thnx for sharing...
Logged
Imdad
Guest
«Reply #2 on: May 21, 2011, 07:17:08 PM »
Reply with quote
bilkul sahi kaha hai. Yehi hota hai ab sabke saath
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: May 22, 2011, 01:11:13 AM »
Reply with quote
Great creation by the author,thanks for sharing Shihab ji. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #4 on: May 22, 2011, 07:57:17 AM »
Reply with quote
very good .
really this is happening with this materialistic world.
thanks for sharing.
Logged
nirala
Guest
«Reply #5 on: May 22, 2011, 04:24:11 PM »
Reply with quote
sahi hai ji sahi hai……

lekin mai iss baat par ittefak bilkul nai rakhta……!!!

haan magar ye bat sach ho sakti hai …

thanx for sharing
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #6 on: May 23, 2011, 09:52:38 AM »
Reply with quote
NAAAAAAAAICE SHARING Applause Applause Applause Applause
Logged
manjum
Guest
«Reply #7 on: May 24, 2011, 05:30:01 AM »
Reply with quote
wah bahut badiya shering hai shihabji....
 Applause Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: May 24, 2011, 12:32:04 PM »
Reply with quote
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi....... !!!!!



          N/M




bahut khoob shihab ji.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:47:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer