Famous Munnavvar Rana Saheb's Ghazals @ Nazms

by suman59 on October 16, 2012, 02:30:24 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 8904 times)
suman59
Guest
Reply with quote
Safed Poshi tera aitbaar jaata hai,
Agar chiraag hawaaon se haar jata hai.

Kadam badhane mein khatra hai Maut ka lekin,
Mein LauTta hoon to sara waqar jata hai.

waqar = image

Karen naseeb se shikwa ya mausamo ka gila,
Badal ke raasta Abr-e-bahaar jata hai.


Mein apna lehza to tabdeel kar nahi sakta,
balaa se jaaye agar Karobaar jata hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mujh se vaqif....(Rana Sahri) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard
Allama Iqbal Saheb ki ghazal by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
rana gana padta hai.... by Tamnna in Shairi - E - Zindagi
Munnavvar Rana's Famous Ghazal by suman59 in Urdu Poets
Rana by Rana Khamose in Urdu Poets
suman59
Guest
«Reply #1 on: October 16, 2012, 02:32:44 AM »
Reply with quote
One more for you Masoom jee

Sab ke kehne se iraada nahi badla jata,
Har saheli se dupatta nahi badla jaata.

Hum ke shayar hain siyasat nahi aati humko
Humse munh dekh ke lehza hai badla jaata.

Hum fakiron ko fakiri ka nasha rehta hai,
Warna kya shaher mein shajra nahi badla jata

Aisa lagta hai ke wo Bhool gaya hai humko,
Ab kabhi khidki ka parda nahi badla jaata.

Jab rulaaya hai to hasne pe na majboor karo,
Roz beemaar ka nuskha nahi badla jaata.

Gham se fursat hi kahan hai ke tujhe yaad karoon,
Itni laashen hai to kadhan nahi badla jaata.

Umar ek talkh hakikat hai dosto phir bhi
Jitne tum Badle ho Utna nahi badla jaata


Logged
suman59
Guest
«Reply #2 on: October 16, 2012, 02:34:23 AM »
Reply with quote
Jab kabhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
Maan dua karti hui khwaab mein aa jati hai

Roz main apne lahoo se use khat likhta hoon
Roz ungli meri tezaab mein aa jati hai

Dil ki galiyon se teri yaad nikalti hi nahi
Sohni fir isi punjaab mein aa jati hai

Raat bhar jaagte rahne ka sila hai shayad
Teri tasweer si mehtaab mein aa jati hai

Ek kamre mein basar karta hai sara kunba
Saari duniya dil-e-betaab mein aa jati hai

Zindagi tu bhi bhikharin ki rida oddhe huye
Koocha-e-reshmo-kimkhwaab mein aa jati hai

Dukh kisi ka ho chalak uthti hain meri aankhein
Saari mitti mere taalab mein aa jati hai

-- Munawwar Rana --

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: October 16, 2012, 03:46:48 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Aatish~
Guest
«Reply #4 on: October 16, 2012, 06:51:48 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause

 wave wave wave

 icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
suman59
Guest
«Reply #5 on: October 17, 2012, 01:56:06 PM »
Reply with quote

labo par uske kabhi baddua nahi hoti
bas ek maan hai jo kabhi khafa nahi hoti

Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai,
maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai

Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo
muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna

Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga,
main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai

jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai
maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai

aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya,
maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya

meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun
maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

'munawwar' maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona
jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti

lipat jaata hoon maa se aur mausi muskurati hai,
main udru mein ghazal kehta hoon hindi muskrati hai

Munawwar Rana
Logged
suman59
Guest
«Reply #6 on: October 17, 2012, 01:58:40 PM »
Reply with quote
Ajab duniya hai na shayar yaha par sar uthate hai
Jo shayar hain wo mehfil mein dari chadar uthate hai

Tumhare shaher mein mayyat ko sab kandha nahi dete
Humare gaon mein chappar bhi sab milkar uthate hai

Inhe firakpasti mat shika dena ki ye bachhe
Jami se chun kar titli ke toote par uthate hai

Samundar ke safar me wapsi ka kya bharosha hai
To aye saahil khuda hafiz ki hum langar uthate hai

Ghazal hum tere aahiq hai magar ek pet ke khatir
Kalam kis par uthana tha kalam kis par uthate hai

Bure chehre ke janib dhekne ki had bhi hoti hai
Sambhalna aaina kano ki hum pathhar uthate hai


(Munawwar Rana)
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #7 on: October 17, 2012, 02:12:24 PM »
Reply with quote
Bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut sukriyaa.
Mujhe Munavvar Rana ki gazle bahut pasand hai.
Aur jo gazal aapne ab dii hai wo to bahut zabardast hai.
Sukriya, sukriya, sukriya, sukriya
Logged
suman59
Guest
«Reply #8 on: October 17, 2012, 02:14:33 PM »
Reply with quote
Bahut bahut bahut bahut bahut bahut bahut sukriyaa.
Mujhe Munavvar Rana ki gazle bahut pasand hai.
Aur jo gazal aapne ab dii hai wo to bahut zabardast hai.
Sukriya, sukriya, sukriya, sukriya

thanks beta. unka likha jo maine last post ki hai Ajab duniya hai
Yeh mujhe bahut bahut pasand aaya  Usual Smile Usual Smile
Logged
vimmi singh
Guest
«Reply #9 on: October 17, 2012, 02:17:27 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
very very very very very niiiiiiiiiiiiiice sharing...........
bahut bahut shukriya Suman ji............
Logged
sunildehgawani
Guest
«Reply #10 on: October 17, 2012, 02:26:33 PM »
Reply with quote
 Applause Applause kya baat hai ek se ek khub gazal ,,,bahut hi nayab aur umda ,,,har ghazal par karodon daad kabul karen
Logged
suman59
Guest
«Reply #11 on: October 17, 2012, 02:59:17 PM »
Reply with quote
thank you vimmi jee and sunil jee Usual Smile
Logged
junaid akhtar
Guest
«Reply #12 on: November 30, 2012, 10:56:41 AM »
Reply with quote
Ajab duniya hai na shayar yaha par sar uthate hai
Jo shayar hain wo mehfil mein dari chadar uthate hai

Tumhare shaher mein mayyat ko sab kandha nahi dete
Humare gaon mein chappar bhi sab milkar uthate hai

Inhe firakpasti mat shika dena ki ye bachhe
Jami se chun kar titli ke toote par uthate hai

Samundar ke safar me wapsi ka kya bharosha hai
To aye saahil khuda hafiz ki hum langar uthate hai

Ghazal hum tere aahiq hai magar ek pet ke khatir
Kalam kis par uthana tha kalam kis par uthate hai

Bure chehre ke janib dhekne ki had bhi hoti hai
Sambhalna aaina kano ki hum pathhar uthate hai


(Munawwar Rana)

Logged
S. Mohsin Rizvi
Guest
«Reply #13 on: March 02, 2013, 01:48:47 PM »
Reply with quote
rana shab salamun ale kum. khuda apki zindgi me izafa kre or apko sehat kamla ata kre.  
bohat dino se apki koi new ghazal nhi mili
Logged
dilip kumar dubey
Guest
«Reply #14 on: December 25, 2013, 01:06:24 PM »
Reply with quote
munnavar rana
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 01:28:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer